Dua For Death in Islam

It’s not about listening to the news of a dead person. Dua for death in Islam means when a person is about to die. There is a dua for his easement. → Janazah Ki Dua

1 Essential Dua For Death in Islam

bi ajalimm musamman fal tasbir tarjuma dua for death

Yahan Mout Ki Dua parhiyeMout Ki Asani Ki Dua-Sakaratal Maut

The Holy Quran lights on the reality of this perishable life. As ALLAH The Almighty, States in The Noble Quran.

كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ

“Kullu Nafsin Zaiqatul Maut”

Every soul shall taste death.

You will read dua for a dead person in Arabic, English, Urdu, and Hindi ahead.→ Strong Dua For Love Back

Every single living thing (human beings, animals, plants) created by ALLAH The Creator, have to finish one day by the will of ALLAH.

Death is an undeniable fact. That is irreversible. That’s the reason it’s the most grievous thing for any living being when he loses someone very special in his life.→ Duas For Shifa For Someone

Our religion Islam provides us the true guideline to minimize and even diminish this pain. If we can know this thing is a necessary part of this universal system. And this is just happened by the will of ALLAH The Biggest.

When we see and accept the wisdom hidden behind this act. We entirely admit that it’s purely a will of ALLAH. And when we hold the weapon of patience in our hands. Our hearts start filling with an inner piece by the Grace of ALLAH.→ Dua For Acceptance Of Dua By Jibraeel A.S.

At the time of death, the dying person should be laid to face Qibla, and he should recite this dua.

بِاَجَلٍ مُّسَمًّی فَلْتَصْبِرْ وَلْتَحْتَسِبْ

“Bi Ajalinm Musamman Faltasbir Wal Ta’htasib”

“बि-अजलिंम-मुसम्मन फ़ल-तस-बिर वल-त’ह-तसिब”

Har ek ki ajal muddat muqarrar-o-muayyan hai, pas tum sabr karo aur savab hasil karo.

Everyone has a fixed time for death, So, be patient and earn reward.

हर एक की अजल मुद्दत मुक़र्रर व मु’अय्यन है| पस तुम सब्र करो और सवाब हासिल करो|

ہر ایک کی اجل مدّت مقرر و معین ہے، پس تم صبر کرو اور ثواب حاصل کرو۔

In case of sudden death, someone else can recite this dua for the dead.

Islamic Prayer When The Soul Leaves The Body

The Holy Prophet Mu’hammad ﷺ recited this dua after the death of Abu Salama RadiALLAHU Anhu after closing his eyes.

اَللّٰهُمَّ اغْفِرْ لِفُلَانِ وَارْفَعْ دَرَجَتَهُ فِي الْمَهْدِيِّيْنَ وَاخْلُفْهُ فِيْ عَقِبِهِ فِي الْغَابِرِيْنَ وَاغْفِرْ لَنَا وَلَهُ يَا رَبَّ الْعَالَمِيْنَ وَأَفْسِحْ لَهُ فِيْ قَبْرِهِ وَنَوِّرْ لَهُ فِيهِ

“ALLAHummaghfir Li fulaani* Warf’a Darajatahu Fil-Mahdiyyeena Wa’khluf-hu Fee ‘Aqibihi Fil-Ghaabireena Waghfirlana Walahu ya Rabbal ‘Aalameena Wa Afsi’h Lahu Fee Qabrihi Wa Nawwir Lahu Feehi”

O ALLAH! Forgive (name of the dead person). Make him among the guided ones, raise his status and be his deputy among the grieving. O Lord of the two worlds! Forgive us and him and make his grave wide and full of light.

(Mishkat from Muslim)

State the name of the dead person in place of *fulan

Being a Muslim, we should pray for those who passed away as they need our prayers. Must include all the deceased persons, deceased families (father, mother, brother, sister) close and distant relatives and even for enemies in your prayers.→ Dua For Everything To Go Well

Children must pray for their parents after death.

Today, if we pray for others, tomorrow there will be someone praying for us too, insha ALLAH.

Dua For Death in Islam in Roman Urdu from Hadith

Marne Ke Waqt Ki Dua Ya Marne Se Pehle Ki Dua

Roman English

Quran Pak zindagi ki asal aqeeqat par wazeh taur par roshni daalta hai. Jaisa ke Quran Shareef me ALLAH Zille Shanahu ne farmaya hai.

كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ

“Kullu Nafsin Zaiqatul Maut”

Har zindah shay ko maut ka maza chakhna hai.

Jo bhi jandaar (insan, haiwan, ped, paudhe) ALLAH Ta’ala ne paida kiye hain. Sab ko ek na ek din khatm hona hi hai.

Maut bar-haq hai. Is haqeeqat ko koi bhi jhhutla nahi sakta. Ye ek aisa amal hai jo paltaaya/wapas nahi ja sakta.→ Yaad Karne Ki Dua

Yahi wajah hai ke ye sab se zyada takleef dah amal hai. Khas kar un insano ke liye jo apne kisi azeez aur pyare ko kho dete hain.

Ye dard kis had tak gahri chot pahunchata hai, ye sirf wahi jante hain jo is dard se guzarte hain.

Hamara mazhab Islam hamen is dard ko kam karne aur isse nijat pane me hamari rahnumayi karta hai. Agar ham is bat ko tasleem kar len ke is fail/kaam me ALLAH Ta’ala ki maslihat chhupi hai.→ Hasbiyallahu Wani’mal Wakeel

Ye kayenaat ke nizaam ka ek khas hissa hai. Wo insan ALLAH ne banaya tha aur ALLAH hi ne wapas le liya.

Jaise hi ham is talkh haqeeqat ko ALLAH ki raza ke taur par tasleem karte hain aur sabr ka hathiyar apne hathon me thaam lete hain. ALLAH Ta’ala hamare dilo ko sukoon ki nemat se bhar deta hai. Aur hamen is sabr par bada inaam deta hai.

Taham, jab kisi insan pe halat-e-naza tari ho jaye. Yani uske marne ka waqt aan pauhanche. To Maut ke waqt marne wale ka munh qibla ki taraf kar diya jaye aur wo ye dua parhe.

“Bi Ajalinm Musamman Faltasbir Wal Ta’htasib”

Agar kisi shakhs ki achanak maut waqe ho jaye. To uske qareeb maujud koi bhi dusra insan ye dua parh le.→ Dua Qabool Hone Ki Surat

Rooh Ke Jism Se Nikalte Waqt Ki Dua/ Jab Ruh Jism Se Nikal Jaye, Us Waqt Ki Dua

Huzoor Nabi Kareem Hazrat Mu’hammad ﷺ ne Hazrat Abu Salama RadiALLAHU Anhu ki wafat ke bad unki aankhen band kar ke ye dua parhi.

“ALLAHummaghfir Li fulaani* Warf’a Darajatahu Fil-Mahdiyyeena Wa’khluf-hu Fee ‘Aqibihi Fil-Ghaabireena Waghfirlana Walahu ya Rabbal ‘Aalameena Wa Afsi’h Lahu Fee Qabrihi Wa Nawwir Lahu Feehi”

(Muslim Se Mishkat)

*Fulan ki jagah par marne wale insan ka naam lijiye.

Muslaman hone ke nate, hamen un tamam logon ke liye jo is duniya-e-faani se rukhsat ho chuke hain/wafat pa chuke hain. Unki maghfirat ke liye dua karni chahiye.

Tamam marhoomeen (jin logon ka inteqal ho chuka hai, khandaan ke faut shudah afraad (maan, baap, behen, bhai) qareebi-o-door ke rishtedaar, ghair aur hatta ke dushmano ko bhi maghfirat ki dua mein shamil kijiye.

Khas kar Bachchon ko apne marhoom walidain ke liye zarur dua mangni chahiye.

Aaj ham dusron ki bakhshish ke liye dua mangen ge to kal ko koi hamare liye bhi dua-go hoga (dua mangne wala hoga), insha ALLAH.

Dua For Death in Islam in Hindi from Hadith

मरने के वक़्त की दुआ या मरने से पहले की दुआ

जो भी जानदार (इंसान, हैवान, पेड़, पौधे) अल्लाह त’आला ने पैदा किए हैं| सब को एक ना एक दिन ख़त्म होना ही है|→ जनाज़े की नमाज़ पढ़ने का तरीक़ा

मौत बर-हक़ है| इस हक़ीक़त को कोई भी झुठला नही सकता| ये एक ऐसा अमल है जो पलटाया/वापस नही जा सकता|

यही वजह है के ये सब से ज़्यादा तकलीफ़ दह अमल है| खास कर उन इंसानो के लिए जो अपने किसी अज़ीज़ और प्यारे को खोते हैं|

ये दर्द किस हद तक गहरी चोट पौहँचाता है, ये सिर्फ़ वही जानते हैं जिनका अपना कोई इस दुनिया-ए-फ़ानी से रुख़सत हो रहा होता हैं|

हमारा मज़हब इस्लाम हमें इस दर्द को कम करने और इससे निजात पाने मे हमारी रहनुमाई करता है| अगर हम इस बात की तसल्ली कर लें के इस फैल/काम मे अल्लाह त’आला की मसलिहत छुपी है|→ या रहमानुद्दुनिया का वज़ीफ़ा

ये काएनआत के निज़ाम का एक खास हिस्सा है| वो इंसान जिसे अल्लाह ही ने बनाया था और अल्लाह ही ने हमसे वापस ले लिया|

जैसे ही हम इस तल्ख़ हक़ीक़त को अल्लाह की रज़ा के तौर पर तसल्ली करते हैं और सब्र का हथियार अपने हाथों मे थाम लेते हैं| अल्लाह त’आला हमारे दिलो को सुकून की नेमत से भर देता है| और हमें इस सब्र पर बड़ा इनाम देता है|→ या मुजीबु की फ़ज़ीलत और वज़ीफ़ा

जहाँ, जब किसी इंसान पे हालत-ए-नज़ा तरी हो जाए| यानी उसके मरने का वक़्त आन पहुंचे| तो मौत के वक़्त मरने वाले का मुँह क़िब्ला की तरफ कर दिया जाए और वो ये दुआ पढ़े|

दुआ ऊपर देखिए

अगर किसी शख्स की अचानक मौत वाक़ए हो जाए| तो उसके क़रीब मौजूद कोई भी दूसरा इंसान ये दुआ पढ़ ले|→

रूह के जिस्म से निकलते वक़्त की दुआ/ जब रूह जिस्म से निकल जाए, उस वक़्त की दुआ

हुज़ूर नबी करीम हज़रत मुहम्मद ﷺ ने हज़रत अबू सलमा ऱदि अल्लाहु ‘अन्हु की वफात के बाद उनकी आँखें बंद कर के ये दुआ पढ़ी|

अल्लाहुम्मग़ फ़िर लि फुलानी व-र-फ़’अ द-र-ज-त-हु फ़िल महदिय्यीना वख़ लुफ़ हु फ़ी अक़िबहि फ़िल ग़ाबिरीना वग़-फ़िरलना व ल हु या रब्बल आलमीना व अफसि’ह लहु फ़ी क़ब्रिही व नव्विर लहु फ़ीही

(मुस्लिम से मिशकत)

*फुलन की जगह पर मरने वाले इंसान का नाम लीजिए|

मुसलमान होने के नाते, हमें उन तमाम लोगों के लिए जो इस दुनिया-ए-फानी से रुखसत हो चुके हैं/वफात पा चुके हैं| उनकी मग़फ़िरत के लिए दुआ करनी चाहिए|

तमाम मरहूमीं (जिन लोगों का इन्तेक़ाल हो चुका है, खानदान के फौत शुदाह अफ़राद (मान, बाप, बहन, भाई) क़रीबी-ओ-दूर के रिश्तेदार, ग़ैर और हत्ता के दुश्मनो को भी मग़ फ़िरत की दुआ में शामिल कीजिए|

खास कर बच्चों को अपने मरहूम वालिदैन के लिए ज़रूर दुआ माँगनी चाहिए|

आज हम दूसरों की बखशिश के लिए दुआ माँगेंगे तो कल को कोई हमारे लिए भी दुआ-गो होगा (दुआ माँगने वाला होगा), इंशा अल्लाह|

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

12 Comments

  1. Aslamualaium bhai! bhai muje ap jo jo keh rahe han main wo kar rahy hun par meri hajat nai poori ho rahy abh main kya karu main chahti hun ke meri hajat ramzan se pehle poori ho jaye kyun ke ramzan main muje uski cheez ki bhohat zaroorat hai bhai main sadqa bhi dhe rahy hun har roz astaghfar bhi qasrat se par rahy hun par phir bhi koi asbaab nai baan rahe muje kuch samaj nai ha rahi bhai muje samaj nai ati meri hajat poori hone main dheer kyun lagh rahy hai jab ke muje urgent chahiye sirf yehi nai sabi hajaton main hota hai please bhai kuch esa btaye jisse meri hajat RAMZAN se pehle poori ho jaye please bhai ap jo kehte main zaroor krty hun

    1. Har cheez ka ALLAH Ta’ala ne ek waqt muqarrar kar rakha hai sis. Sahee waqt pe wo aapko mil jayegi. Aapko bas sabr se dua mangni hai.

      1. G shukria bhai. Bhai ek aur baat jab hum namaz parte han sajde main kya hum dua maang sakte han? Aur agar namaz adah karne ke baad dua na maangh saken aur thori der baad mangh len ya masalle se uth ke maangh len bina wuzu ke to koi masla to nai hai.

        1. Namaz ada karte waqt sajde me dua nahi mangiye balki namaz ada karne ke bad wahin musalle pe baithe hue aap sajde me ja kar dua mangna chahen to mang sakti hain. Baqi dua kabhi bhi mang sakte hain.

          1. Assalamualikum bhaijaan.. mai apni zindagi se bohat pareshan hu… mujhe koi aisa wazifa bataiye jisse mai mar saku.. mujhmai khudkhushi karne ki zara si b himmat nai hai.. madad karen…
            Jazakallah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *