Dua E Hizbul Bahr Ki Fazilat

Amaliyat ke maidan mein dua-e-hizbul bahr ke takkar ka koyi amal nahi hai. Dua e hizbul bahr ki fazilat har muhim me azeem hai.

Dua E Hizbul Bahr Ki Fazilat Aur Amaliyat

Dua E Hizbul Bahr Ki Fazilat

Sabse pahle ham hizb-ul-bahr ka durust matlab janenge. Yahan→ Shahar Mein Dakhil Hone Ki Dua dekhiye!

Hizb ka lughvi yani dictionary mein matlab jama’at jise ham party ka dal aur paksh bhi kah sakte hai.

Bahr Ke lughvi yani dictionary mein maane samandar jo ki arbi me maane bhi hai. To inhe agar milakar inka matlab nikale to hoga Dua-e-Hizb-ul- Bahr ‘Samandar ki Jama’at.

Jin logo ne dua e hizbul bahr ke amaliyat kiye hain wo apne ankhon se iska mojiza dekh chuke hai. yeh dekha hai ke ALLAH Ta’ala ke taraf se zindagi me qadam qadam par ALLAH paak ki madad aur nusrat hasil huyi hai.

Yeh dua kisi tareef ki muhtaaj nahi hai. Aap iske amal ikhtiyaar karenge to apne aap hi iski fawaid aur barkaton ko mehsus karne lagenge.

Hizbul Bahr Ki Dua Ka Sachcha Waqiyah

ALLAH ke wali Imam-e-Tariqat, Qutb-ul-Aqtab Hazrat Shaikh Sayyed Abu Al-Hasan Shaazli R. A. Qahira ke sheher mein rahte the.

Hajj ka mahina qarib aa gaya tha. Unko hajj pe jane ka khwaab aya. Phir wo apne sathiyon ke sath kashti par sawar ho kar Hajj pe nikle.

Qahira sheher se nikle to neel nadi mein mukhalif hawayein chalne lagi. Aur tufani hawaon ki wajah se jis kashti me aap tashreef farma the ghote khane lagi. Ab waqt par Hajj ke liye pahunchna namumkin hone laga tha. Yahan→ Badhazmi Khatm Karne Ki Dua dekhiye!

Kashti ke sare log sochne lage Hazrat ko Hajj pe jane ka hukm hua lekin Hajj ke liye jaa nahi pa rahe hai. Kuch mukhalif log bhi tane dene lage the.

Hazrat Abu Al Hasan Shaazli R. A. ek dopaher aram farma rahein the. Tab Hazrat Muhammad ﷺ unke khwab mein aye aur unko hizbul bahr ki dua sikhayi.

Phir Hazrat Abu Al Hasan Shaazli R. A. ne dua hizbul bahr padhi, kashti chalane wale se jhando ko (yani jiski wajah se kashti hawaon se chalti hai), kholne ko kaha. Yahan→ 12 Rabi ul Awal Kya Hai dekhiye!

Phir ALLAH Ta’ala ka aisa mojiza hua ke neel nadi mein aisi hawayein chalne lagi ke kashti ko hi paar laga diya.

Aur phir jakar aap apne sathiyon ke sath Hajj ke liye waqt par pahunch paye.

Dua-e-Hizbul Bahr Ki Fazilat

Hazrat Sheikh Abul Al-Hassan Shaazli R. A. ko khwab me ye dua ‘ata huyi.

Iske bare mein farmate hai ke mera yeh hizb wafa hone wala wada aur hifazat karne wala dhal hai.

Jadu, Seher, Aseb, Nazr-e-bad, Rizk ki Bandish Aur Shadi ki Bandish Se Hifazat Aur Mukammal Tod

Aseb, Nazar-e-Bad, Rizq Ki Bandish, Jadu, Jinnat Aur Seher Se Nijat Ke Liye Dua-e-Hizbul Bahar Ka Amal #1

  1. Ramazan ki 13, 14 aur 15 shab ko yeh amal karna hai.
  2. Ek bottle mein saaf pine ka pani rakh lijiye.
  3. 13 tareekh ko dua-e-hizbul bahr ki puri dua ko 33 martaba padhiye dua kijiye aur pani par dam kijiye.
  4. 14 tareekh ko 21 martaba padhna hai.
  5. 15 tareekh ko 11 martaba padhna hai.
  6. 3 dino tak is dua ki tilawat kijiye, dua kijiye aur usi bottle ke pani par dam kijiye.
  7. Phir 3 din pure hone ke baad us pani ko khud bhi pijiye aur ghar walon ko bhi pilayiye.
  8. Ghar ke charon konon mein is tarah chhidak dijiye ke us pani ki be-adbi na ho.

Is amal ki barkat se ALLAH Ta’ala apke ghar ko aur ghar walon ko har tarah ke nazr-e-bad se mehfooz rakhega, ghar mein jinnat ek qadam bhi nahi rakh sakenge.

Koyi bhi jadu seher aaseb asar nahi karega aur jo jadu seher aaseb rizk aur shadi ki bandish pahle se aap par hai wo khatam ho jayegi.

ALLAH ke taraf se aap ek mehfooz hisaar mein band ho jayenge dushman se ke war se bache rahenge ALLAH ki hifz-o-amaan mein rahenge. Insha ALLAH. Yahan→ Tera Teji Kyon Manate Hain? dekhiye!

Yahan dua e hizbul bahr ki pdf download kijiye → Dua e Hizbul Bahr

Har Jayaz Murad Ke Liye Dua-e-Hizbul Bahar Ka Amal #2

Har Tarah Ki Hajat Ko Pura Karne Ke Liye Dua-e-Hizbul Bahr

Fajr ki namaz ke baad 10 bar Surah Al-Yaseen padhein aur 70 bar hizbul bahr ki mukammal dua padhein. Maqsad pura hone tak padh sakte hai.

To ALLAH paak is amal ke karne wale ki har jayaz muraad puri farmayega. Chahe wo hajat bilkul namumkin hi kyun ka dikh rahi ho. Aur zindagi ki sari pareshaniya khush haali mein badal jayegi, mushkilen asaniyon mein badal jayegi. Aap khud is dua ki barkaton ko dekh kar hairan ho jayenge. Insha ALLAH.

Makan Me Afaton Aur Balaon Se Chhutkare Ke Liye Dua-e-Hizbul Bahr Ka Amal #3

Jis makan mein mera yeh hizb padha gaya wo afaton aur balaon se mehfooz raha.

Zalim Ke Shar Aur Dushman Se Mehfooz Rahne Ke Liye Amal #4

Jis kisi ne zalim ke shar se mehfooz rahne ke liye padha wo dushman ke shar se mehfooz raha jisne.

Achanak Ki Maut Se Hifazat Ka Amal #5

Jo koyi is dua ko baqayegi se padhne ka adat bana li ho wo doob kar ya jal kar ya achanak marne se mahfooz rahega. Note: Ye Kisi hadees se sabit nahi hai. Magar sawab hasil karne ke liye parha ja sakta hai.

Hadsat Se Mehfooz Rahne Ke Liye Amal #6

Jis sheher ya ghar ki diwaron par likh diya jaye to haadsaton afaton se mehfooz rahega.

Ghani, Maldar Aur Daulat Hone Ke Liye Amal #7

Rozana panjgana namaz ke baad padha wo hawale se zamane se mehfooz rahega ghani hoga maaldaar daulat mand hoga.

Logon Ki Dilon Me Mohabbat Ke Liye Amal #8

Jisne jumuah ki namaz ke baad padha wo afaton se aman mein raha aur ALLAH Ta’ala uski muhabbaton logon ke dilon mein daal dega.

Sabse khas baat is amal ki barkat se ALLAH ki khushnudi bhi hasil hogi. Insha ALLAH. Note: Ye kisi hadees se sabit nahi hai lihaza sawab hasil karne ki niyyat se parha ja sakta hai.

Shadi Ke Liye Hizbul Bahr Ke Liye Amal #9

Shadi ke liye hizbul bahr ka wazifa bahot hi karguzar hai. Jo koi halal maqsad ke liye kisi ladki ya ladke se nek niyyat ki wajah se nikah ki sunnat ada karna chahta ho. Lekin haram bilkul na kare.

Aur 5 waqt ki namaz ki pabandi karte hue ye dua hizbul bahr jo neeche pdf mein di hui hai. Ise 1 martaba din mein kisi bhi waqt yani koi ek hi waqt muqarrar karke rozan parhe. ALLAH Pak se phir dua kare. Is amal ko kam se kam 21 roz kare. To wo din door nahi Insha ALLAH ke uska nikah jahan wo chahega ho jayega. Yahan Surah Yaseen 7 Mubeen Wazifa for Shadi dekhiye!

Lekin haram se parhez rakhna hi hoga.

Dua Hizbul Bahr Parhne Ka Sahi Waqt Kya Hai?

Log aksar ye sawal bhi pucha karte hai ke dua hibzbul bahr parhne ka sahi waqt kya hai?

Yad rahe ye dua masnoon dua nahi hai. Aur na hi kisi Hadees se sabit hai. Ye dua to sirf ALLAH Pak ke 1 nek bande ke zariye parhi gayi kuch suraton aur duayein ka majmu’a hai. Jise parhne ke liye koi khas tayshuda waqt nahi hai.

Han ye zarur hai ke agar koi shakh is dua ko kisi khas waqt muqarrar kar rozan parhein. Yani kisi khas hi maqsad ke liye parhe. To yaqinan ALLAH pak use wo ‘ata farmayenge jo wo mangega, Insha ALLAH.

Download Dua e Hizbul Bahr PDF Here

Download the pdf of dua e hizbul bahr here → Dua e Hizbul Bahr

Is post ko zyada se zyada share karein aur khoob sawab kamaye!

Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

10 Comments on “Dua E Hizbul Bahr Ki Fazilat”

  1. Assalamualaikum…bhai me ek nursing home me job karti Hun dr bahut qabil or bahut ache hain pehle patients bahut aate the hamare yahan ab patients Kam hogaye hain plz koi dua batayein Jo me pad saku jisse patients khoob aane Lage pehle ki tarah dua sirf me hi pad Sakti Hun kyunki waha sab non muslim hain sirf mujhe chod Kar isliye sirf me hi pad Sakti Hun dua

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *