Hamein sirf namaz parhne se matlab. Lekin isi namaz mein kayi aisi duayein hoti hai jo Huzur ﷺ parha karte the. Aur jinki apni-apni fazilat hai. Namaz mein kiye jane wale do sajdon ke beech ki dua ki fazilat parhiye. Jiska sawab bhi azeem aur jiske fazail bhi azeem.
Namaz Ke Dono Sajdon Ke Beech Ki Dua Aur Fazail (Hadees)
Watch Awesome Islamic Videos by→ yaALLAH Website Official
Jalsa Kise Kahte Hai?
Dono sajdon ke darmiyan jo thoda sa waqfa hota hai. Use ‘Jalsa’ kahte hai. Hadees-e-Mubarika mein namaz mein jalsa mein parhne wali dua ka bayan bhi aya hai.
Huzur ﷺ ne jo bhi duayein parhi un sabhi ki apni-apni azeem ahmiyat hai. Aur fazail bhi hai. Inke ajar-o-sawab ka ham andaza nahi laga sakte.
Halanki Ap ﷺ ki ummat ki umr badi hi kam hai. Magar hamari isi kam umr mein zyada se zyada ajar-o-sawab kamane ke liye hi Huzur ﷺ ne chhoti-chhoti duayein bhi ham tak pahunchayi.
→ ALLAH Ki Qurbat Aur Mohabbat Pane Ki Dua
Kya ALLAH ka ye kam raham-o-karam hai ke in chhoti si duaon se ham kitne bhari aur bade sawab kama sakte hai.
Do Sajdon Ke Beech Ki Dua Ke Bare Mein Hadees
Huzeifa Radi ALLAHU ‘Anhu se riwayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ dono sajdon ke darmiyan (Jalsa mein) “Rabbighfir li, Rabbighfir li Ae Mere Rabb! Mujhe bakhs de, Ae Mere Rabb! Mujhe bakhs de” parhte the.
Sunan Ibn Majah | Vol. 1, Book 5, Hadith 897
Ek Hadees-e-Mubarika se ye bhi malum hota hai ke Huzur ﷺ jalsa mein ye dua bhi parha karte the.
Huzeifa Radi ALLAHU ‘Anhu se riwayat hai ke Uhone Rasoolullah ﷺ ke sath ramazan mein namaz parhi.,To Ap ﷺ ne ruk’u kiya aur ye utna hi lamba tha jitna Apka qayam tha, Apne apne ruk’u mein Subhan Rabbi-al ‘Azeem kaha, phir aap utni hi der bethe jitni der khade the, aur Rabbighfir li, Rabbighfir li kahte rahe, phir Ap ﷺ ne utni hi der tak sajdah kiya jitni der tak Ap khade the, Subhan Rabbiyal A’ala kahte rahe to Aapne sirf 4 rak’atein parhi yahan tak ke Bilal Radi ALLAHu ‘Anhu subah ki namaz ke liye bulane agaye.
Abu Abdur-Rahman Nasa’i kahte hai ke: ye Hadees mere nazdeek mursal (munqat’a) hai. Main nahi janta ke Talha bin Yazeed ne Huzeifa Radi ALLAHu ‘Anha se kabhi suna hai, ‘Alaa bin Musayyib ke ilava dusre logon ne is Hadees mein yun kaha: ‘An Talha, ‘An Rajul, ‘An Huzeifa.
Sunan An Nasa’i | 1666
→ How to Study for Exams- Get Good Grades in Results
*Munqat’a yani jod hata hua.
Sajdon ke Bich Rabbigh Firlee parhne ke bare mein ek aur Hadees.
Huzeifa Radi ALLAHU ‘Anhu kahte hai ke wo Nabi-e-Akram ﷺ ke pas pahunche aur Aapke pahlu mein jakar khade ho gaye, Aapne ALLAHu Akbar Dhul-malakut wal-jabarut wal-kibriya’ wal ‘azamah kaha phir Aapne Surah Al-Baqarah parhi, phir ruk’u kiya, Aapka ruk’u taqriban Aapke qayam ke barabar raha, aur Aapne ruk’u mein: Subhan Rabbi-al ‘Azeem kaha, aur jab Aap ﷺ ne Apna sir uthaya to: Li Rabbial-hamd, Li Rabbial-hamd kaha, aur Aap apne sajdah mein Subahana Rabbial-A’ala, Subahna Rabbial-A’ala aur dono sajdon ke darmiyan Rabbighfir li, Rabbighfir li kahte the.
Sunan an-Nasa’i 1146 | Grade : Sahih (Darussalam)
→ ALLAHumma A’inni Ala Zikrika Wa Shukrika
Dono Sajdon Ke Beech Ki Dua Ke Fazail
Namaz ke dauran jo do sajdein hai unke hi darmiyan ye chhoti si dua parhne wale ko ALLAH Rabbul ‘Izzat kya inamat dega. Hamare pyare Mu’hammad Mustufa ﷺ ne ALLAH se is dua mein kya-kya manga?
-
Rabbighfirli yani ya ALLAH Mujhe bakhs de!
-
War’hamni yani Muhpar raham farma!
-
Wajburni yani Mere nuqsan ki talaafi farma!
-
Wahdini yani Mujhe hidayat de!
-
Warzuqni yani Mujhe rizq ata farma!
→ Sayyidul Astaghfar Ki Dua In Hadees
Yani dono sajdon ke bich is dua ko jo koi bhi shakhs parhega. ALLAH ne chaha to use ye panchon (5) cheezein ata hongi.
-
ALLAH Ta’ala bada ghafoorurRaheen hai uske gunahon ko bakhsh dega!
-
ALLAH Ta’ala bada hi Raheem hai parhne wale par khas raham ki nazar karega.
-
ALLAH Jalla Jalaaluhu An-Naaf’i hai, use jaise chahega nafah pahunchayega aur uske nuqsan ki talaafi farma dega!
-
ALLAH Rabbul ‘Izzat Al-Haadi hai use hidayat ata farmayega.
-
ALLAH Jalla Jalaaluhu Ar-Razzaaq hai jo apni makhlooqat ko mufeed tareen ashya ata farmata hai. Use behtareen rizq ata farmata hai.
English
Dua Between Two Prostrations (Sujood)
We only mean to fulfill the duty of offering prayers. But there are many supplications that ALLAH’s Apostle ﷺ used to recite in His prayers. Those are significantly important. This short dua is to be recited between the two prostrations while performing a prayer. Which is having enormous rewards and benefits.→ La Ilaha Illallah Dua in Benefits Hadees
Dua Between The Two Prostrations Of A Prayer And Its Benefits (Hadith)
What Is Jalsa?
The small pause between the two prostrations is known as ‘Jalsa’.
All the duas recited by our Beloved Prophet Mu’hammad ﷺ have great importance and virtues. We can not even imagine the rewards behind the recitation of these supplications.
As the Ummah of Prophet Mu’hammad ﷺ has a very short life span. Even then He ﷺ provided us with all those lovely and easy to recite duas with countless rewards.
Is this Mercy of ALLAH less worthy as we can earn big and heavy rewards through these small prayers.
The Virtues Of Dua Between Prostrations
What reward can be earned after reciting this dua between prostrations by ALLAH The Almighty. What was asked by our Dearest Prophet Mu’hammad ﷺ to ALLAH The Sole Creator of the Universe in this dua?
-
Rabbighfirli means O ALLAH forgive me!
-
War’hamni means have Mercy upon me!
-
Wajburni means compensate me for my loss!
-
Wahdini means guide me!
-
Warzuqni means grant me sustenance!
Whoever will recite this dua between the two prostrations during his prayer. He will get the following five (5) blessings by the Grace of ALLAH.
→ ALLAHumma A’inni Ala Zikrika Wa Shukrika
-
ALLAH, Al-Ghafoor The Great Forgiver will forgive his sins.
-
ALLAH, Ar-Raheem The Most Merciful will shower HIS Mercy on him.
-
ALLAH, An-Naaf’i will benefit him in any way HE wants and compensate him for his loss.
-
ALLAH, Al-Haadi will grant him guidance.
-
ALLAH, Ar-Razzaaq WHO bestows HIS creatures with all the beneficial things, will grant him the best sustenance.
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Aoa bhai ma cahti hun mje lecturer ki job mil jae uske liye mje koi wazifa bta dein qk iska test butbht muskil he bs koi asa wazifa bta dein k ye job mill jae
Aap ye wazifa parhiye Sis- https://www.yaallah.in/berojgari-ka-wazifa