Hamare mazhab mein jab koi musalman bhai kisi dusre bhai ko dawat de. To aise mein samne wale shakhs ko us bhai ki dawat qubul karni chahiye. Apna ahlo ayal aur rishtedaro ko halal maal se khana khilana sawab aur barkat ka baais (wajah) banta hai.
Dawat Khane Ki Dua Aur Dawat Ke Adaab

Jab koi musalman bhai kisi dusre bhai ko dawat ke liye iltija kare to use uski dawat qubul karni chahiye. To phir chahe to nikah yani shadi ka khana ho jise ham waleema kahte hai. Ya phir aam koi bhi dawat ho. Zarur dekhiye HD Images→ Khana Khane Ki Dua
Dawat Qubool Karne Ke Bare Mein 2 Hadees
Hazrat Ibn ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhu Nabi-e-Kareem ﷺ (Hadees bayan karte hue) kaha karte the:
Jab tumme se koi apne bhai ko dawat de to wo qubool kare shadi ho ya is jaisi (koi aur) taqreeb.
Saheeh Muslim 3513
*Taqreeb se murad yahan ghar mein kisi bhi kam se hai. Misal ke taur par kisi bhi wajah se khushi mein shirkat karne ke liye ki gayi dawat.
Hazrat Ibn ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai ki, kaha:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Jab tumhe bulaya jaye to dawat mein aao.
Saheeh Muslim 3512
Roze Ki Halat Mein Bhi Dawat Mein Shareek Hone Ke Bare Mein 1 Hadees
Naf’e se khabar di, unhone kaha: Maine Abdullah bin ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhu se suna, wo kah rahe the:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
(Musalman bhaiyon ki taraf se di jane wali) us dawat ko uske liye bulaya jaye, qubool karo. Kaha: Abdullah bin ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhu dawat mein shareek hote khwah wo shadi ki ho ya shadi ke baghair, aur wo roze ki halat mein bhi usme ate the.
Saheeh Muslim 3516
Zarur dekhiye HD Images→ Doodh Peene Ki Dua
Dawat Mein Shareek Zarur Ho Magar Chahe To Khaye Aur Chahe To Na Khaye 1 Hadees
Hazrat Jaabir Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai ki, Unhone kaha:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Jab tum me se ko khane ki dawat di jaye to wo us me aaye, phir agar aur chahe to kha le, chahe to na khaye.
Ibn Masanni ne khane ki dawat ke alfaaz zikr nahi kiye.
Saheeh Muslim 3518
Dekhiye!
→ Ayatul Kursi in Hindi HD Images
Dawat Khane Ki Dua #1 Hadees Mein
Hazrat Miqdad Radi ALLAHu ‘Anhu se riwaya hai ke Sayyidina Miqdad Radi ALLAHu ‘Anhu kahte hai ke Main aur Mere dono sathi aye aur (faaqah wagerah ki) takleef se hamari ankhon aur kanon ki qoowat jati rahi thi. Ham apne aap ko Rasoolullah ﷺ ke ashaab par pesh karte the. Lekin koi hamein qubool na karta tha.
Akhir ham Rasoolullah ﷺ ke paas aye to Aap ﷺ hamein apne ghar le gaye. Wahan teen bakriyan thi. Aap ﷺ ne farmaya ke in ka doodh doho, ham tum sab peeyenge, phir ham inka doodh doha karte aur ham mein se har ek apna hissa pee leta aur Rasoolullah ﷺ rakh chhorhte, Aap ﷺ raat ko tashreef late aur aisi awaz se salam karte jisse sone wala na jaage aur jagne wala sun le. Phir Aap ﷺ masjid mein aate, namaz parhte phir apne doodh ke paas aate aur usko peete.
Ek raat jab main apna hissa pee chuka tha ke shaitan ne mujhe bhadkaya.
Shaitan ne kaha Rasoolullah ﷺ to ansar ke pas jate hai, Woh Aap ﷺ tohfe dete hai aur jo Aap ﷺ ko zarurat hai, mil jata hai Aap ﷺ ko is ek ghoont doodh ki kya zarurat hogi?
Aakhir main aaya aur wo doodh pee gaya. Jab doodh pet mein sama gaya aur mujhe yaqeen ho gaya ke ab wo doodh nahi milne ka to us waqt shaitan ne mujhe nadaamat ki aur kahne laga ke teri kharaabi ho tune kya kaam kiya?
Tune Rasoolullah ﷺ ka hissa pee liya, ab Aap ﷺ ayenge aur doodh ko na payenge to tujhpar baddua karenge aur teri duniya aur akhirat dono tabah hongi.
Maine ek chadar odhe hue tha jab usko paanv par daalta to sar khul jata aur jab sar dhaanpta to paanv khul jate the aur mujhe neend bhi na aa rahi thi jabke mere sathi so gaye aur unhone ye kam nahi kiya tha jo maine kiya tha.
Akhir Rasoolullah ﷺ aaye aur ma’amool ke muwafiq salam kiya, phir masjid mein aye aur namaz parhi, uske baad doodh ke pas aye, bartan khola to usme kuch na tha. Aap ﷺ ne apna sar aasman ki taraf uthaya main samjha ke ab Aap ﷺ baddua karte hai aur main tabah hua.
Aap ﷺ ne farmaya ke
Ae ALLAH! khila usko jo Mujhe khilaye aur pila usko jo Mujhe pilaye.
Ye sunkar maine apni chadar ko mazboot bandha, chhuri li bakriyon ki taraf chala ke jo unme se moti ho usko Rasoolullah ﷺ ke liye zibah karoon. Dekha to uske than mein doodh bhara hua hai. Phir dekha to aur bakriyon ke thanon mein doodh bhara hua hai.
Maine Aap ﷺ ke gharwalon ka ek bartan liya jisme wo doodh na dohte the (yani usme dohne ki khwahish nahi karte the). Usme maine doodh doha, yahan tak ke upar jhaag agaya (itna bahot doodh nikla) aur main usko lekar Aap ﷺ ke pas aya to Aap ﷺ ne farmaya tumne apne hisse ka doodh raat ko piya ya nahi? Maine ‘arz kiya ke ya Rasoolullah ﷺ Aap doodh pijiye.
Aap ﷺ ne pee kar mujhe diya to maine ‘arz kiya ke ya Rasoolullah ﷺ aur pijiye. Aap ﷺ ne aur piya. Phir mujhe diya, jab mujhe maloom ho gaya ke Aap ﷺ sair ho gaye aur Aap ﷺ ki dua maine le li hai.
Tab main hansa, yahan tak ke khushi ke mare zameen par gir gaya.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke Ae Miqdaad! tune koi buri bat ki? woh kya hai?
Maine ‘arz kiya ke ya Rasoolullah ﷺ mera haal aisa hua aur maine aisa qusoor kiya.
Aap ﷺ ne farmaya ke us waqt ka doodh (khilaf ma’amool utra) ALLAH ki rahmat thi. Tune mujh se pahle hi kyon na kaha ham apne dono sathiyon ko bhi jaga dete ke wo bhi ye doodh peete?
Maine ‘arz kiya ke Qasam uski jisne Aap ﷺ ko sachcha kalam dekar bheja hai ke ab mujhe koi parwah nahi jab Aap ne ALLAH ki rahmat hasil karli aur maine Aap ﷺ ke sath hasil ki to koi bhi isko hasil kare.
Saheeh Muslim 5362
Dawat Khane ki Dua Roman Urdu/English Mein
ALLAHumma At-‘im Man At-amanee Wasqee Man Saqaanee
Dawat Khane ki Dua ka Tarjuma Roman Urdu/English Mein
दावत खाने की दुआ हिंदी में
अल्लाहुम्मा अत ‘इम-मन अत-‘अ-मनी वसक़ी मन सक़ानी
तर्जुमा हिंदी में
Zarur dekhiye HD Images
→ Pani Peene Se Pahle Aur Bad Ki Dua
Dawat Khane Ki Dua #2 Hadees Mein
Abdullah Bin Busr se riwayat hai ki kaha:
Rasoolullah ﷺ mere walid ke yahan mehman hue hamne Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein khujoor, paneer aur ghee se tayyar kiya hua halwa pesh kiya, Aapne usme se tanawul farmaya, phir Aapke samne khujoorein pesh ki gayi to Aap khujoorein kha rahe the, aur guthliyan apni do ungliyon ke darmiyan dalte ja rahe the.
(Khane ke liye) Aap ﷺ ne shahadat ki aur darmiyani ungli ikaththi ki hui thi.
Sh’ubah ne kaha mera guman (ghalib) hai aur Insha ALLAH ye bat yani guthliyon ko do ungliyon ke darmiyan daalna is (Hadees) mein hai.
Phir (Aapke samne) mashroob laya gaya. Aapne use piya, phir apni daayin jaanib wale ko de diya. Abdullah bin Busr Radi ALLAHu ‘Anhu ne kaha:
To mere walid ne jab unhone Aap ﷺ ki sawari ki lagaam pakdi hui thi ‘arz ki: Hamare liye ALLAH se dua farmayi.
To Rasoolullah ﷺ ne (dua karte hue) farmaya
“Ae ALLAH! TUNE inhe jo rizq diya hai usme unke liye barkat daal de aur unke gunah bakhsh de aur unpar raham farma.”
Saheeh Muslim 5328
*Mashroob yani koi bhi peene ki cheez jaise ke sharbat wagerah.
Dawat Khane ki Dua Roman Urdu/English Mein
Dawat Khane ki Dua ka Tarjuma Roman Urdu/English Mein
दावत खाने की दुआ हिंदी में
तर्जुमा हिंदी में
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Imran bhai mera ek masla hai apse personally baat karni hai
Bohot majboor hun bohot pareshan hun
Plzzz meri madad kardijiye
Ap yahan text kijiye- https://m.me/yaALLAHyaRasul
6.30-8.30 pm india time
Me ye wazifa Bhi Kar lo gi . Sir wo wazifa Bhi tough Nai bus methods samaj Nai a raha clearly ap agar ose thora or explain kar de to me wo Bhi kar lo gi . Me phele hi khe Chuki Ho , har tough SE tough wazifa Kar lo gi bus onhe nai khona chati
Aap ye video dekhiye, aapko samajh aa jayegi- https://youtu.be/gFWyZFyGrjA
Jazakallah … Ab samaj a Gaya he method . Mene Aj SE start Bhi kar Diya he . Omeed karti Ho mere hak me fesla Ho jae . Ap SE dua Ki talab gar Ho .