Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua

Akhir cheenk kyon aati hai? Cheenk aane ke baad ki dua Alhamdulillah aur YarhamukALLAH hai. Aur cheenk ane ke bad kyon dimagh aur yahan tak ke jism bhi halka-halka aur sukoon mehsoos karta hai. Cheenk ko ALLAH ki rahmat mana jata hai.

Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua,Tarika Aur Fayde

  • Cheenk ane ke bad ki dua hindi mein: अल’हमदुलिल्लाह
  • Pas wale ko jo dua parhni hai uski hindi: यर’हमुकुल्लाह
  • Aur cheenkne wala phir se jo dua parhega uski hindi: यहदीकुमुल्लाहु व यूसलि’हु बा-लकुम
  • Islam mein cheenk ko ALLAH ki ra’hmat mana jata hai.

Agar dimagh mein bukharaat (gas ki halat mein pani) jama hote chale jayen. To ye dard aur beemari ka sabab bante hain. Cheenkne ke amal se tabiyat mein bada sukoon mahsus hota hai. Isliye iske bad aapko ALLAH Jalla Jalaaluhu ka shukr ada karna chahiye. Zarur dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua

Cheenk Ka Jawab YarhamukALLAH Dijiye

Cheenkne ke amal ka agar ham sciency aur mantaqi taur par jayeza lein. To dono tareeqon se ye sabit hota hai ke cheenk aana achhi sehat ki alamat, mazboot mudafa’ati nizaam (beemariyon se ladne ka nizaam) aur ek sehatmand jism ki nishani hai.

Hazrat Mu’hammad sallALLAHu ‘Alayhe Wasallam ke zamane ke log science ki is haqeeqat se be khabar the, ke cheenkna darasal jaraseem yani virus aur takleef dah anaasir ke khilaf insani jism ki quwwat-e-mudafa’at (ladne ki taqat) ka radde amal (javab) hai.

Isliye jab koi cheenke to cheenkne ke baad ki dua parhni chahiye yaani usay chahiye ke ‘Alhamdulillah‘ kahte hue ALLAH Ta’ala ka shukr ada kare. Ye cheenkne ki dua hai jiska matlab hai tamam ta’areef ALLAH hi ke liye hai. Zarur dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua

Jab kisi ko cheenkte hue dekhein apni taraf se jawab mein ‘yarhamukALLAH‘ kahiye. Jiska matlab hai ALLAH tum par ra’ham farmaye.

Aur jab ap cheenke aur aas-paas wala kahe ‘yarhamukALLAH‘ to phir aise mein khud aap jo cheenk rahe hain, ‘yahdikumullah wa yuslihu baalakum‘ kahte hue javab dijiye. Jiska matlab hai ALLAH tumhen hidayet de aur tumhari halat durust kare.

Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua

Kuch to Bahot Hi Kam Aur Kuch Itna Zyadah Kyun Cheenkte Hain?

Bahut se aise log hain jo bahut hi kam cheenkte hain. Aur bahut se log aise hain jo aksar cheenkte hi rahte hain. To isme aisi koi jismani beemari wali bat nahi hai jiski wajah se fikr ki jaye.Zarur dekhiye→ Pani Peene Se Pahle Aur Bad Ki Dua

Akhir Main Itna Zyadah Kyun Cheenkta Hoon?

Kuch log bar-bar cheenkte hain. Main khud bhi ek sath taqriban 2 ya 3 bar to zaroor cheenkta hi hoon. Bahut baar aisa hota hai ke jhunjhulaahat paida karne wale (pareshan kun) anaasir pahli cheenk se naak ya gale se khaarij nahi hote. Yani bahar nahi nikalte. Aur inhe bahar nikaalne ke chakkar mein bar-bar cheenkein aati rahti hain.

Kuch log to aise bhi hain jo kisi khas cheez se allergy hone ke bayis (wajah se) cheenkne lagte hain. Inhi cheenkon ki wajah se unke naak aur gale ka rasta saaf ho jata hai.

Kya Ap Sirf Ek Ya Do Hi Baar Cheenkte Ho?

Jo log ek ya do baar cheenkte hain unhe pareshan hone ki koi zarurat nahi hai. Ye is baat ki alamat hai ke unka gale ka rasta sirf ek ya do cheenkon se hi saaf ho jata hai. Zarur dekhiye→ Yaad Karne Ki Dua

Cheenkne Par Akhir ALLAH Ka Shukr Kyun Ada Karun?

Isme koi shak nahi ke insano ko sirf ek Khaaliq ne paida kiya hai jo ke sirf ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala hai. Insan ko chahiye ke wo jitna zyadah ALLAH Ta’ala ka shukr ada kar sakta hai, karta rahe.

Lekin kitna hi shukr kyun na kar le, ye haqeeqat hai ke beshak koi bhi insan ALLAH ki ata kardah ne’maton ka shukr ada kar hi nahi sakta.

Jab ham cheenkte hain to ham yani hamara jism hazaaron ki ta’adad mein jaraseem khaarij (bahar) karta hain. Wo jaraseem itne maheen (chhote-chote) hain ke ham unhe apni aknhon se dekh taj nahi sakte. Ye jaraseem hamare pure jism, sar, phephde aur naak mein sans ke raste par jama hue hote hain. Inme se kayi jaraseem nuqsan dah hote hain. Agar ye jism me thahre rahen to dard aur beemari ka moajjib (wajah) ban jate hain.

Yahi wajah hai ke hamen is ne’mat par ALLAH Ta’ala ka shukr ada karna chahiye.

Cheenk se Kaise Malum Ho Ke Zuqam Hai ya Nahi?

Ek khoobsurat Hadees Shareef hamein is bat se agaah karayegi.

Ilyas bin Salamah bin Akwa’ se riwayat hai ke unke walid ne farmaya:

“Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya: ‘Jo koi cheenkta hai usay teen baar javab diya ja sakta hai; agar wo isse zyadah baar cheenke, to usay zukam hai.’”

Sunan Ibn Majah 3714 | Darjah : Saheeh (Darussalam)

Abdullah ibn Abi Bakr ne apne walid saheb se riwayat ki hai ke Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:

“Agar koi cheenke to javab do. Dobara cheenke to javab do. Sah barah (teesri baar) cheenke to javab do aur chauthi baar cheenke to kah do ke tumhen zukam hai.”

Abdullah ibn Abi Bakr ne farmaya, “Mujhe nahi malum ke teesri dafa aisa kahe ya chauthi dafa.”

Muwatta Malik

Abu Hurairah Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai:

“Jab tumhara bhai cheenke to usay teen baar javab do, aur agar wo isse zyadah cheenke, to uske sar ko sardi lagi hai.”

Sunan Abi Dawud 5034

Hadees-e-Mubarika Se Sabit Cheenkne Ki Khas Duayen

Abu Hurairah Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai:

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya, “Agar tum mein se koi cheenke, usay ‘Al-hamduli-llah’ kahna chahiye (Tamam Ta’areef ALLAH hi ke liye hai), aur uske (Musalman) bhai ya saathi ko ye kahna chahiye, ‘Yar-hamuka-l-lah’ (ALLAH tum par ra’ham farmaye). Jab bad wala shakhs ‘Yar-hamuka-llah’ kahta hai, pahle wale ko ye kahna chahiye, ‘Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum’ (ALLAH tumhen hidayet de aur tumhari halat durust kare).”

Saheeh Al-Bukhari 6224

Anas bin Malik Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai:

Do log Huzoor Pak ﷺ ke samne cheenke. Huzoor Pak ﷺ ne unme se ek se farmaya, “ALLAH tum par apni ra’hmat nazil farmaye,” lekin Unho ne ye dusre shakhs ko nahi kaha. Puchhne par, Huzoor Pak ﷺ ne farmaya ke ek ne ALLAH ki ta’areef bayan ki (cheenkte waqt), jabke dusre ne ALLAH ki ta’areef bayan nahi ki.”

Saheeh Al-Bukhari 6221

YarhamukALLAH Kitni Bar Kahoon?

Hamein ye to malum ho gaya hai ke jab koi shakhs cheenkta hai to sunne wale ko ‘YarhamukALLAH’ kahna chahiye. Lekin ye nahi malum hua ke kitni baar kahna chahiye. Zarur dekhiye→ Naya Chand Dekhne Ki Dua

Darj zail (agli) Hadees Shareef is sawal ka javab degi:

‘Umar bin Ishaq bin Abi Talhah ne riwayat kiya:

Apni walidah se, walidah ne apne walid se, Unhon ne farmaya: “Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya: ‘Cheenkne wale shakhs ko teen baar javab do. Agar wo zyadah baar cheenke, to agar tum javab dena chaho to de do nahi dena chaho to mat do.’”

Jam’i At-Tirmizi 2744 | Darjah : Da’eef (Darussalam)

Ghaur kijiyega ke upar bayan ki gayi Hadees Da’eef (kamzor) hai.

Cheenk ALLAH ki Taraf se Hamare Liye Tohfa Kaise?

Cheenk tashmeet hai yani ALLAH ki rahmat hai.

Cheenkne ka pura amal jisme cheenk lene wale aur saamne sunne wale ke liye parhne ki duayen shamil hain. Ye sara amal shaitan ko bada hi nagawaar (bura) guzarta hai.

Shaitan hairan aur pareshan rah jata hai jab momin ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala ki ta’areef bayan karta hai aur USKA shukr baja lata hai.

Hadees-e-Mubarika Mein Cheenkne Ke Aadab

Jaisa ke aap jaan chuke hain ke cheenkte waqt hamare jism se bukharaat ke sath sath jaraseem bhi bahar khaarij hote hain. Aur ye nuqsan dah hote hain. Isi wajah se inhe apne munh aur naak se bahar nikaalte waqt hamein is baat ka khas khayal rakhna chahiye, ke ham dusron par cheenk kar in jaraseemon ko un tak muntaqil (idhar se udhar phailana) na karen. Ye sciency tahqeeq ka natija hai ke cheenkne se jaraseem phailte hain. Zarur dekhiye→ Aaina Dekhne Ki Dua

Jabke Hamare Pyare Aaqa Mu’hammad ﷺ ne ye haqeeqat chaudah sau (1400) saal pahle hi bayan farma di thi.

Cheenk Ki Awaz Kitni Honi Chahiye?

Hazrat Mu’hammad ﷺ cheenk ki awaz jitni dheere rakh sakte the rakhte. Jabke aaj ham apne mu’ashre mein dekhte hain ke log cheenk ka maza lene ke liye jaan boojh kar oonchi se oonchi awaz me cheenkna pasand karte hain. Kuch log to itna ooncha cheenkte hain ke padosi bhi aasani se pahchan jaye ke falan shakhs cheenk raha hai.

Yad rahe ke kabhi bhi apni cheenk ko rokna nahi chahiye kyunke aisa karna khatarnaak sabit ho sakta hai. Aur jan tak jane ka khatra ho jata hai.

Abu Hurairah Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai:

Jab Rasool Pak ﷺ cheenkte, to Aap ﷺ apna chehra mubarak apne hath mubarak ya kapde se dhaanp lete, aur cheenk ki awaz ko isse daba dete.

Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua Parhne Ke Fayda Kya Hai?

Ye dua parhne ka jo koi bhi mamul bana leta hai. Wo kabhi bhi daant aur kaan ke dard mein mubtila nahi hoga.

Al-Adab Al-Mufrad Mein,

‘Ali Radi ALLAHu ‘Anhu ne farmaya,

“Jab koi cheenk sunta hai aur kahta hai, ‘ALLAH hi ke liye tamam ta’areef hai, tamam jahano ka baadshaah, har haal mein usay kabhi daant ka dard aur kaan ka dard na hoga.”

Al-Adab Al-Mufrad 926

Hamein is behad chhoti aur savab kamane wali Sunnat ki umr bhar ke liye pairwi karni chahiye. Agar aapko ye post pasand aayi hai to ise apne pyaron ke sath share zarur kijiyega taaki unhe bhi ye beshqeemti bat malum ho!

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

2 Comments

  1. Mai ak ladki se mohabbat karta ho o v karta tha ab nahi kar ta haa mai u se sadi karna chati hoo lakin o mujhe nahi chati haa ab mai kaya koru app hi bataya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *