Chasht Ki Namaz Ka Tariqa Aur Rizq Ki Barish Ki Dua

Ham sabhi ko kayi bar chasht ki namaz ada karne ka sahi waqt malum nahi hota. Chasht ki namaz ka sahi waqt aur tarika kya hai? Is namaz se rizq ko kaise badhaya jaye? Salatul Chasht ya namaz-e-chasht se rizk me izafah kaise ho sakta hai. Is namaz ki fazilat aur fawaid kya hai? Sabhi ke jawaabat padhiye.

Rizq Ki Dua Aur Chasht Ki Namaz Ka Sahi Tariqa Aur Waqt

Chasht Ki Namaz-Tafseel

Chasht-ki-namaz-Ka-Tariqa-waqt-se-rizq-ki-barish-ki-dua

Chasht Ki Namaz Kya Hoti Hai?

Akhir ye chasht ki namaz kya hoti hai? Kya kabhi iske bare mein malum kiya?

Yu to ap sabhi pyare-pyare logon ko chasht ki namaz yani salatul chasht ki jankari to hogi hi. Yahan ham is namaz ke bare mein aur roshni dalenge.

Chasht ki namaz mustahab nawafil ibadat hoti hai. Jisme 2-2 rakat karke padhi jati hai. Ya phir chahe to 4-4 rakat karke bhi padh sakte hai. Mustahab yani agar is namaz ko tark karenge chhorenge to gunah nahi milega. Magar ke ada karenge to bada sawab hasil hoga. Yahan Salatul Hajat Namaz Ka Tarika dekhiye!

Chasht ki Namaz Mein Kitni Rakatein Hoti Hai?

Salatul chasht mein 8 rakatein tak hoti hai. Ab ye ham par hai ke ham rozana kitni rakat padhte hai. Har do rak’aton par alhaida sawab ka darja hasil hai. Yahan Salatul Tasbeeh Ki Namaz-Procedure Of Salatul Tasbih dekhiye!

Namaz-e-chasht ke bare mein aapne kafi Hadees padhi hogi. Iski kafi fazilat aur ahmiyat batlayi gayi hai.

Main yaqin ke sath keh sakta hu ke is chasht ki namaz ki pabandi karne ke bad aapki zindagiyon mein behtarin tabdeeliyan ayengi.

Maine khud salatul chasht ki pabandi ki hai. Aur ab iske fayde meri zindagi me aane lage hai. Bas khuloos aur pakeezgi bhari ibadat hil sila deti hai akhir.

Chasht Yani Salat-Al-Duha Ki Namaz Aur Ishrak Mein Kya Farq Hai?

Ishrak ki namaz

Ishrak ki namaz ke liye fajr ki namaz parhne ke baad wahin ja-namaz/masjid mein baithe rahiye. Aur ALLAH ki hamd-o-sana karte rahiye. Aur phir jaise hi suraj nikal aye uske taqriban das (10) minute baad ishrak ki namaz ka waqt ho jata hai.

Isi waqt ye ishrak ki namaz ada kar leni chahiye.

Chasht ki namaz ko Ad-Duha bhi kaha jata hai.

Ishrak ki namaz ke baad jab suraj khoob achhi tarah se nikal jaye. Uski dhoop mein shiddat ho jaye. Jab uski garmi tez hone lage. Us waqt se lekar zuhr se pahle tak parhi jati hai. Haan zawal ka waqt taal dena chahiye.

Hazrat ‘Aisha Radi ALLAHu ‘Anha chasht ki namaz parha karti thi.

Hazrat Adam Bin Abi Ayaas ne bayan kiya, unhone kaha ke hamse Ibn Abi Zeb ne bayan kiya, unse Zehri ne bayan kiya, Unse Urwah Bin Zubair ne, unse Hazrat ‘Aisha Siddiqa Radi ALLAHu ‘Anha ne ke maine to Rasoolullah ﷺ chaasht ki namaz parhte nahi dekha magar Main khud parhti hoon.

Sahih al-Bukhari 1177

Chasht Ki Namaz Ke Bare Mein Huzur ﷺ Ne Kya Farmaya?

Abu Hureira Radi ALLAHu A’nhu farmate hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: 

Jisne chaasht ki do rak’aton ki muhafizat ki uske gunah bakhsh diye jayenge, agarche wo samandar ke jhaag ke barabar ho.

Jami ‘At-Tirmidhi 476

Abdur-Rahman Bin Abi Laili kahte hai ke mujhe Um Haani Radi ALLAHu ‘Anha ne khabar di ke unhone Rasoolullah ﷺ ko chasth ki namaz parhte dekha hai, Um Haani Radi ALLAHu ‘Anha bayan karti hai ke fatah Makka ke din Rasoolullah ﷺ unke ghar mein dakhil hue to ghusl kiya aur aath rak’atein parhi, maine apko nahi dekha ke Aapne usse bhi halki namaz kabhi parhi ho, albatta Aap ruk’u aur sajde poore-poore kar rahe the.

*Imam Tirmizi kahte hai ke ye Hadees Hasan Sahih hai

Jami ‘At-Tirmidhi 474

Anas Bin Maalik Radi ALLAHu A’nhu kahte hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: 

“Jisne chaasht ki barah rak’atein parhi, ALLAH uske liye Jannat mein sone ka ek mahal ta’ameer farmayega.”

*Ghareeb Hadees

Jami ‘At-Tirmidhi 473

Abu Hureira Radi ALLAHu A’nhu kahte hai ke Rasoolullah ﷺ ne Mujhe chaasht ki dono rak’aton ka hukm diya, aur ye ke Main witr parhe baghari na soun, aur har mahine mein teen din roza rakh karun. 

* Saheeh

Sunan Nisai 2371

Umm Hani Bint Abu Talib Radi ALLAHu A’nha kahti hai ke Rasoolullah ﷺ ne fatah Makka ke din namaz Ad-Duha (chasht ki nifl) aath rak’atein parhi, aur har do rak’at par salam phera.

*Hasan

Sunan Ibn Majah 1323

Chasht Ki Namaz Ka Sahi Waqt Kya Hai?

Chasht ki namaz ada karne ka sahi waqt muqarrar hai. Suraj tulu hone ke bad yani suraj jab nikal aane ke taqriban 20 minutes guzar jayein. Phir zahaawe kubra tak iska waqt hota hai.

Zahaawe kubra yani suraj sar pe ajaye tab tak isme ishrak aur chasht dono namaz parhi ja skti. Yahan Safar Ki Dua in Hindi Urdu Arabic English-Images dekhiye!

Sidhe-sidhe taur par dekha jaye to zawal ke waqt ke pahle-pahle tak. Har shahar ka zawal ka waqt alag-alag hota hai. Taqriban dopahar ke 12 baje se zawal ka waqt shuru ho jata hai.

To phir is waqt ke pahle-pahle tak chasht ki namaz ada kar sakte hai. Aur thik isi waqt mein ishrak ki namaz ki adayegi ka bhi waqt hota hai.

Agar koi shakh ishrak aur chasht dono namaze ada karna chahta hai to pahle-pahle ishrak ada kare. Phir wo chasht ki namaz ada kare. Ye behtar tariqa hai. Wese to wo jaise chahe parh sakta hai.

Dekhiye Chasht Ki Namaz Ka Tariqa Aur Rizq Ki Barish Ki Dua ka Shandar Video Audio Ke Sath

Chasht Ki Namaz Ki Fazilat Aur Fawaid

Yu to tamam tarah ki fazilat aur fayde aapne parhe honge. Hadees sharif mein iski fazilat batlayi gayi hai.

Sabse badi fazilat iski ye hai ke jo shakhs chasht ki namaz ki 8 rakatein padhega. Uske liye ALLAH Ta’ala jannat mein sone ka mahal taameer karva dega. Yahan Dua for Sleep in English dekhiye!

Subhan ALLAH.

Iske ilaava chaliye chasht ki namaz ke aur kya fayda parhte hai.

Chasht Ki Namaz Aur Rizq Ki Barish Ki Dua

Jo shakhs rozana waqt-e-muqarrar par chasht ki namaz ada kare. Aur phir uske bad dono hath uthakar ALLAH Jalla Jalaaluhoo se rizq ki kushadgi aur rizq mein izafah ki dua kare. ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala uske liye rizq ke darwaze khol dete hai.

Us par rizq ki barish hone lagti hai. Agar naukri nahi hoti to us shakhs ki naukri lag jati hai. Agar dukan sahi nahi chalti to us shakhs ki dukan mein tarakki hone lagti hai.

Agar tijarat mein ghata hasil hote arha hai to ese tijarat mein munafa hone lagta hai. Yani har tarah se rizq ki tangdasti dafah ho jati hai.

Bas chasht ki namaz ada karne ke bad ALLAH Ta’ala se apne rizq ki kushadgi aur usme khoob izafah ki dua kijiye. Chahiye ghar ke rizq mein barkat ki zarurat ho uski bhi dua kar sakte hai.

Agar apke walid ya walida ya bade bhai ya koi afrad jo bhi kamate hai. Aur unke rizk mein tangdasti hai.

Apke ghare ke halat bure chal rahe hai (ALLAH na kare!) Ghar mein maali tangdasti chal rahi hai.

To main aapse guzarish karunga, ke sirf ek maraba aap is namaz ki pabandi kijiye. Mushkil se aapko chasht ki namaz ada karne mein 10 minutes rozana lagenge.

Aap khud karishma dekhenge. Kaise ghar ke halat mein sudhar aur achhi tabdeeli ati hai aap khud kahenge.

Chasht ki Namaz ke Bad Rizq Ki Barish ki Dua Kaise Karni Hai?

Jitni bhi rakatein padhni ho chasht ki namaz ada kar lijiye. Uske bad ek 100 dano wali tasbeeh lijiye aur us par:

  1. Sabse awwal sau (100) martaba ya ALLAHU padhiye.

  2. Phir sau (100) martaba ya Ra’hmaanu padhiye.

  3. Aur phir sau (100) martaba ya Ra’heemu padhiye.

  4. Phir dono hath uthakar ALLAH Ta’ala se khoob dil se rizq ki kushadgi aur izafah ki dua kijiye.

  5. Insha ALLAH 7 roz bhi nahi nikalne payenge yu rizq aane lagega ke aap khud chasht ki namaz aur is tasbih ke amal ka asar mehsoos karenge.

  6. Agar aap chahte hai ke iska asar aur do guna ho jaye to akhir mein sau (100) ALLAHU Lateefun Bi ‘Ibadihee Man yasha-u Wa Huwal Qawiyyul ‘Azeez bhi parh sakte hai aur phir dua kar sakte hai.

Yahan ALLAHU Latifun Bi Ibadihi Yarzuqu Man Yashau ke fayde dekhiye!

ya ALLAH Community Se Judiye!

‘Ilm aur jankari bhare wazifa ke videos dekhiye, YouTube Channel Subscribe Kijiye- YouTube.com/user/yaALLAHUyaALLAH

FB Community mein log ek dusre Ki madad kar rahe hai, Aj hi member baniye- yaALLAH Facebook Community

Instagram par Images dekhne ke liye follow kijiye- instagram.com/yaALLAH.in

20 Comments on “Chasht Ki Namaz Ka Tariqa Aur Rizq Ki Barish Ki Dua”

  1. Bhai yh wazifa meri ammi krna chahti h kya yh wazifa wo kr skti h ijazt h

  2. Bhai AsSalaamuAlaikum chasht ki namaaz ko arabic language main kya kehenge aur “CHE” woed to urdu main aata hai iska arabic name zarur hoga kyunki baaki saari namaazon ke naam arabic main hain plz reply soon …I m very confused

    1. Salat Ad-Duha kahte hain bhai. Chasht ki Namaz/Salat Ad-Duha jab suraj ek dam chamakne lage yani taqriban 8:30 ke as pas se lekar taqriban 10:30 tak parhi jati hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *