Chakkar Ka Ilaj Quran Se-Dua For Dizziness

Jaldi Chakkar Ka Ilaj Quran Se-Effective Dua For Dizziness

Chakkar yani angrezi mein vertigo ya dizziness. Kayi logon ko aam taur par chakkar ki bimari hoti hai. Kayi bar bila marz hi chakkar ate hai. Aur kisi ko jismani kamzori ki wajah se chakkar ka marz pareshan karta hai. Ek asan aur kaarguzar chakkar ka ilaj Quran se parhenge.

Chakkar Ka Ilaj Quran Se

Chakkar Ka Ilaj Quran Se

Chakkar (dizziness/vertigo) jism mein ayi kisi kamzori ya phir kami ki wajah se hone lagta hai. Khawateen ko aam taur par khoon mein ayi kami ki wajah se hota hai. Chakkar yu to aam marz hai lekin ise aam nahi samajhna chahiye.

Chakkar ki bimari ke peeche jism mein chhupi hui koi dusri bimari zarur hoti hai. Us bimari ka ilaj karenge to chakkar khud ba khud ghayab ho jayenge.

Chakkar Ane Par Kya Karein?

  1. Agar chakkar ane lage to fauran bistar par let jayiye. Aur ankhein band kar lijiye.

  2. Chakkar aam taur par nind ki kami se bhi aate hai. Agar apko nind ki kami hui hai. To apni poori kijiye. Ek achi sukoon bhari 8 ghante ki nind lijiye.

  3. Agar chal rahein hai to tez mat chaliye dheere-dheere chaliye. Behtar hoga ke ruk jayiye.

  4. Fauran pani pee lijiye. Kayi martaba chakkar pani ki miqdar badane se bhi ghayab ho jate hai.

  5. Agar koi shakhs diabetes ka mariz hai yani unhe sugar ki bimari hai. To phir unhe sabse awwal sugar ka ilaj karna chahiye. Yahan Sugar control karne ka rohani ilaj dekhiye.

  6. Chakkar ane ki halat mein nadi ya talab jaise pani se door rahiye. Chamkeeli cheez ko na dekhiye, aur unchayi par qatayi bhi nahi jayiye.

Chakkar Aane Ka Gharelu Ilaj in Roman Urdu

  1. Halka-phulka nashta kijiye. Fal khayiye aur falon ka juice pijiye.

  2. Chakkar se fauran nijat hasil karne ke liye ek glass pani mein glucose milakar pi lijiye. Agar glucose na mile to shakkar aur namak dono ko pani milakar pi lijiye. Fauran rahat mehsoos hogi.

  3. Agar chakkar aane ki wajah zyada garmi hai. Yani kisi shakhs ko garmi se chakkar ate hai to esi surat mein aanwla khane mein lijiye. Aanwle ka murabba subah-subah nashte mein bhookhe pet khayiye.  Yahan Qarz Utarne Ki Dua-Karz Ki Adaigi Ka Wazifa dekhiye.

  4.   Cheeni mein sookha pisa hua dhaniya milakar pani se fakki le lijiye. Chakkar se shifa mil jayegi.

  5. Agar leemu se parhez nahi hai to neem garm pani mein leemu nichodkar rozana pijiye. Ye haazmein ko saf karta hai. Aur tamam gandgi bahar kar deta hai. Kayi marz jo chakkar ane ki wajuhat hote hai ye unse nijat deta hai.

  6. Tambaku noshi aur har tarah ke nashe se parhez kijiye.

  7. Tulsi aur adrat ke arq (ras) ko aur shahad mein milakar rozana peene se chakkar se shifa nasib hoti hai.

Chakkar Ka Ruhani Ilaj Quran Se

Chakkar ke marz se nijat pane ke liye. Wuzu ki halat mein ‘Ya Hayyu’ 1000 martaba parhiye. Aur phir khud par dam kar lijiye. Rozana ka ise mamool bana lijiye. Insha ALLAH kuch hi dinon mein chakkar ghayab ho jayenge. Yahan Sakht Pareshani Hal Karne ki Dua dekhiye

Is amal ke sath-sath upar diye hue kuch khane-peene ke gharelu nuskhe bhi kijiyega. To phir is marz se jad se shifa milegi, Ameen.

Do’s and Don’t for Dizziness Patient?

  1. If you feel dizziness/giddiness just lie down on the bed at once. Close your eyes.

  2. Dizziness is caused by insomnia sometimes. Get at least 8 hours of proper sleep.

  3. If you are walking then stop at once. Better to sit somewhere and relax.

  4. Drink a glass of water. Many-a-times dizziness is caused by lack of water in our body.

  5. If an individual who is feeling dizziness is already a patient of sugar. In this case, he should control his diabetes first.

  6. If someone is feeling dizziness get away from pond, river or sea. Do not see the reflections and do not go on the heights.

yaALLAH Dua Wazaif 

Safar ki Dua HD Images

Khana Khane ki Dua HD Images

Chakkar Ke Liye Dua

Urdu Wallpaper

chakkar ke liye dua in urdu

Dizziness Home Remedies

English

  1. Eat a light breakfast with low oil and fat. Drink fruit juices and eat fruits more.

  2. Mix glucose in a glass of water and drink it. This will immediately cure dizziness. If there is no glucose, mix salt and sugar in a water and drink this mixture. This is a natural electrolyte.

  3. If dizziness is due to excess of heat in summers. Consume gooseberries in the breakfast with an empty stomach.

  4. Mix sugar in coriander powder and eat one tablespoon every day. You can use water to swallow.

  5. If the patient of dizziness use lemons. Then, squeeze one lemon in a lukewarm water and drink it. Lemon juice helps in the detoxification of our body. It will also help you to get rid of the cause of dizziness. This will also make your digestion better.

  6. Avoid consuming tobacco, smoking, and liquor. See Wazifa to Make Impossible Possible here.

  7. Grind basil leaves and ginger together and mix it in honey. Eat this every day. It will help you to get rid of dizziness.

Islamic Quranic Dua for Feeling Dizziness

To get rid of the disease of dizziness. Make an ablution and recite ‘ya ‘Hayyu’ one thousand (1000) times. Blow on yourself. Do this every day. Insha ALLAH the disease will be gone within a few days.

Also, follow the above-mentioned tips of do’s and don’ts and home remedies for dizziness patient. Definitely, the patient will get a cure from dizziness permanently.

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

19 Comments on “Chakkar Ka Ilaj Quran Se-Dua For Dizziness”

  1. Assalamualaykum

    Plz help me.me or mere husband 5 sal se aulad k lie try kar rahe hai .har dua har ilaj har wazifa me try jar chuki hu lekin koi asar nahi ho raha he.mere husband. Sperm count bilkul low h to isi wajh se problems aa rhi he .plz ap kuch help kar dijiye kya pata Allah(s.w.t) ne aapki dua qubool kar de or hame aulad se nawaz de.

      1. Assalamualaikum mujhe Apne ammi ke chakkar na aye or Allah unhne jldi chakkar se shifa de mai ye wazifa krti hu jb unko chakkar ate hai tab or Allah ka ke karam s unko shifa bhi hoti hai lkin aap bhi dua kijiye Allah unko jldi shifa de!!!🤲🥺❤️

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *