Bismillah Hirrahman Nirrahim Kya Hai?

Bismillah Hirrahman Nirrahim mein unnees (19) huroof hote hain aur ise tasmiya kahte hain. Quran Majeed ki ye nihayet azeem aur ba-barkat ayat hai. Iski azmat ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke ye ayat Sar-e-Qurani hai. Yani isi ayat se Quran Pak ka aaghaz hota hai. 

Bismillah Hirrahman Nirrahim Ke Bare Mein Sabkuch Janiye!

Bismillah Quran Majeed mein parhi jane wali pahli ayat hai. Is mukhtasir (chhoti) si char (4) lafzon ki ayat mein ALLAH Ta’ala ke intehayi buzurgi ke naam (ALLAH, Rahman, Raheem) behad jaamiyat (jama) ke sath jama kiye gaye hain jo Quran ke jaame kalmaat ki behtareen misal hain. Dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua

Quran Pak ki tilawat se pahle is ayat-e-mubarika ka parhna farz hai jiske liye Quran mein hukm bhi maujud hai.

Bismillah Hirrahman Nirrahim ka tarjuma

Bismillah hirRahmaan nirRaheem Arabi Mein

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحمٰنِ الرَّحِیمِ

Bismillah hirRahmaan nirRaheem Ka Matlab Yani Tarjuma Roman Urdu/English Mein

Bismillah HirRa’hmaan NirRa’heemi

Hindi Mein बिस्मिल्लाह हिर्रहमान निर्रहीम

Bismillah ka Tarjuma Roman Urdu/English Mein: Shuru ALLAH Ke Naam Se JO Bada Meherban, Nihayet Raham Karne WALA Hai

Bismillah ka Tarjuma Hindi Mein: शुरू अल्लाह के नाम से जो बड़ा मेहरबान, निहायत रहम करने वाला है

Namaz ke dauran Surah Fatiha parhne se pahle bismillah hirrahmaan niraheem parhi jati hai. Magar ke ise is tariqe se parha jaye ke zuban aur honth to hile magar pas wale ko iski awaz na aye. Aur yahi sunnat tariqa bhi hai.

Quran-e-pak ki tilawat jab ki jati hai to har ek surah shuru karne se pahle bismillah hirrahmaan nirraheem parhi jati hai.

Magar kya apko ye malum hai ke sirf ek Surah Tawbah hi aisi surat hai jise parhna shuru karne se pahle bismillah… nahi parhi jati.

Bismillah hirrahmaan nirraheem ko arabi mein alag-alag karke matlab kya hai:

‘ba’ ka matlab sath hota hai

‘ism’ ka matlab naam hota hai

‘ilah’ ka matlab ‘Rabb’ se hota hai

‘Ar-Rahmaan aur ‘Ar-Raheem ALLAH Jalla Jalaaluhoo ke 99 muqaddas naamon mein se 2 naam hai. Jo ALLAH ki behad rahmat aur sabse zyada raham karne wali sifat bayan karta hai.

Aam taur par bismillah (poori) is tarah se likhi jati hai:

  • Bismillah hir Rahman nir Raheem
  • Bismillah al Rahman al Rahim
  • Bismillah ir Rahman ir Rahim
  • Bismillah hirRahman nirRaheem
  • Bismillah ar-Rahman ar-Rahim
  • Bismillah hir Rahman nir Raheem

Barkat ki Haqeeqat

Yeh barkat bhi bari ajeeb o gareeb cheez hai, yeh barkat wo cheez hai jo kisi ginti mai nahi aati, koi meter is ki paimaish nahi kar sakta aur koi aala is ko naapne ke liye ijaad nahi hua.

Barkat ke ma’inee yeh hain ke thori si cheez mai zyada kaam nikal ae. Aur be-barkati ke ma’inee yeh hain ke buhat sari cheez hai lekin us mai faida nahi ho raha. Dekho kitne log hain jo thore waqt mai buhat sa kaam karlete hain, thora khana hai lekin pet bhar gaya, thodi si nend nikali lekin insaan ko bahot si sairabi (jee bhar ke) hasil hogai.

Aur bahot se log hain jo bahot sa khana khate hain lekin us se faida hasil nahi kar sakte, is ko kehte hain be-barkati.

To jab Bismillah Hirahman nir Raheem parha to tumhara raabta us ne ALLAH ta’ala ke sath jod diya aur ab jo kaam karoge us mai barkat hogi. Wo sara ka sara tauluk ALLAH ke matehet ajaega aur gaflat tumhari door hojaegi bashartiya ke zara samajh kar parha ho.

Bismillah hirRahmaan nirRaheem Hadees Shareef Ki Roshni Mein

Umm Kulsum bayan karti hai ke Ummul Mumineen ‘Aisha Radi ALLAHu ‘Anha ne farmaya:

Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jab tum logon me se koi khana khaye to (Bismillah) parhle, agar shuru mein bhool jaye to kahe (Bismillahi Fee Awwalihee Wa Akhirihee)

Hawala: Jam’i At-Tirmizi #1858 | Saheeh Darussalam

Bismillahi Fee Awwalihee Wa Akhirihee ka tarjuma: ALLAH ke nam se iske shuru aur akhir mein.

Bismillah hirRahmaan nirRaheem Ki Fazilat Aur Ahmiyat

Fazilat Number 1

Bismillah Hirrahman Nirrahim ki fazilat mein se sabse pahli (1) fazilat ye hai ke jab ise parhkar koi kaam shuru kiya jata hai to usme hamare sath shaitan nahi lagta. Aur jis kam mein shaitan nahi lagta us kam mein barkatein nazil hoti hai. Aur wo kam hamare haq mein ho jata hai. Dekhiye→ Pani Peene Se Pahle Aur Bad Ki Dua

Misal ke taur par jab bismillah hirrahmaan nirraheem parhkar khana khana shuru karte hai. To us khane mein barkat hoti hai. Aur hamare sath shaitan us khane ko kha nahi sakta. Magar wahin bila bismillah ke khana khaya jaye to shaitan usi khane ko khane lagta hai.

Aur jaise hi bismillahi awwalu wa akhiru parh liya jaye to shaitan us khane ki ulti kar deta hai. Dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua

Har nek aur achhe kamon ko bismillah parhkar kiya karo. Yahi hamare Huzur ﷺ ki sunnat bhi hai.

Quran Pak Ki Roshni Mein

Surah Alaq Ki Ibtidayi (Shuru Ki) Panch (5) Ayaat

Surah Alaq ki shuru ki panch (5) ayaat, Nabi Kareem ﷺ par nazil hone wali pahli Wahi-e-Ilaahi hain. Aur jiske nuzool ke sath hi musalmano par bismillah ka parhna farz qarar de diya gaya hai. Dekhiye→ Aaina Dekhne Ki Dua When Looking into the Mirror

Quran Pak mein ye hukm-e-Ilahi hai,

“Apne Rabb ka naam lekar parho JISNE paida kiya.”

Goya bismillah parhkar Quran Pak ki tilawat ki jaye.

Bismillah Har Surah Ka Ibtidayi Kalma

Bismillah har surah ka shuruaati (shuru ka) kalma hai. Yani Quran Pak ki ek sau terah (113) suraton ki ibtida isi se hoti hai. Sirf ek surah ki ibtida is kamle se nahi ki gayi hai aur wo hai Surah Taubah.

Albatta Surah An-Namal, Ayat 30 mein ye kalma ayat ke taur par aaya hai. Is tarah se Quran Pak ki ek sau chaudah (114) suraton ki tarah se is aham aur ba-barkat kalme ki taadad bhi ek sau chaudah (114) ho gayi. Dekhiye→ Qabr Ke Azab Se Bachne Ki Dua

Fazilat Number 2

Mukhtasir ham ye kah sakte hain ke har jayaz kaam shuru karte waqt bismillah parhna mustahab (pasandeedah) aur afzal hai. Magar najayaz aur ghalat kaam par bismillah parhna mana hai. Bismillah parhne ka ek aham maqsad ye bhi hai ke ye is bat ka ailaan hai ke,

“Ae ALLAH! Main TERA banda hun. Shirk se bezaar (uktaya gaya) hon. Sirf TUJHI ko Rahmaan aur Raheem maan kar khuloos niyyat ke sath TERI taraf se madad aur ista-anat (madad) ka khawastigaar (talabgaar) hun. Meri madad farma. TERI zaat paak hai. Bas yahi ummeed hai ke TU meri iltija, darkhwast (arzi) aur meri ibadaton ko zaroor sharf-e-qubooliyat bakhshega.”

Bismillah hirRahmaan nirRaheem Ko Ism-e-azam Ka Darjah

Bismillah Shareef ko ism-e-azam ka darjah hasil hai. Aaima Karam mein Imam Abu Haneefa aur baz auliya-e-karam ne is ayat ko ism-e-azam kaha hai.

Khana Khane Se Pahle Bismillah Zarur Parhiye

Fazilat Number 3

Hazrat Aisha Siddeeqa RadiALLAHu Anha se riwayat hai:

“Huzoor Nabi Kareem ﷺ chhay (6) saathiyon ke sath khana tanawul (kha) farma rahe the ke itne mein ek dehaati (gaanv ka aadmi) aaya aur do (2) luqmon (nawalon) mein hi sara khana chat (khatm) kar gaya. Huzoor ﷺ ne farmaya, agar ye shakhs bismillah parh leta to ye khana tum sab ke liye kafi hota.”

Tafseer Kabeer Ke Mutabiq Bismillah hirRahmaan nirRaheem

Fazilat Number 4

Tafseer Kabeer mein likha hai ke Hazrat Nooh Alayhis Salam ne aadhi bismillah parhi thi. Yani bismillah Majrihaa Wa Moosaahaa (Surah Hood, ayat 41) to toofan se nijat payi. Dekhiye→ Marne Ke Bad Ki Dua

Jo shakhs apni zindagi mein mukammal bismillah parhta rahe to wo nijat se kaise mahroom rah sakta hai.

Bismillah Ka Na Parhna Be-Barkati Ka Zariya Hai

Fazilat Number 5

Sarwar-e-Do-Aalam ﷺ ne farmaya:

“Har aham aur nek kaam jo bismillah se shuru na kiya jaye wo be-barkat rahta hai.”

Har Kaam Ka Aaghaz Bismillah Se Kijiye

Fazilat Number 6

Aap ﷺ ne farmaya:

“Ghar ka darwaza band karo to bismillah kaho. Charaagh gull (bujhao) karo to bismillah kaho. Bartan dho to bismillah kaho. Gharz khana khate waqt, pani pete waqt, Wuzu karte waqt, sawari par sawar hote waqt aur utarte waqt bismillah parhne ki hidaiyaat Hadees mein bar-bar aayi hain.

(M’ariful Quran)

Fazilat Number 7

Hadees Pak mein hai ke agar koi shakhs apne kapde tabdeel karke dusre pahnna chahta hai to agar wo bismillah parhle to Khudawand Kareem jinnaat hon ya farishte, insan ke darmiyan aarh (deewar) bana deta hai wo insan ko be-libas (bina kapdon ke) nahi dekh sakte.

Fazilat Number 8

Yahan ye baat yad rakhna zaruri hai ke agar ham bismillah ko apne kaam mein mamul bana len to ye jahannum ke farishton aur hamare darmiyan aarh (deewar) ban jayegi. Dekhiye→ CoronaVirus Ki Dua

Gunaho Ki Bakhshish Ka Ek Khas Zariya

Fazilat Number 9

Bismillah Hirra’hman Nirra’heen me kul char (4) alfaz hain aur char (4) hi tarah ke gunah hote hain. Har insan zaher ya chhup kar gunah karta hai ya din ya raat mein gunah karta hai. Bismillah ka har lafz gunahon ka kaffarah banega.

Agar ap logon ko ye post pasand aye to ise sadaqah-e-jariyah hasil karne ke liye apne pyaro se zarur share kijiye. Taki wo bhi isse fayda paye aur apko ALLAH iski jaza de!

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

4 Comments on “Bismillah Hirrahman Nirrahim Kya Hai?”

  1. Aslm bhai.me jaadu ke Kat ka taweez ka wazifa kar rahi hoon mere aur meri ammi ke liye .1st day me aur meri ammi side by side betkar apne apne chiraq dekhe.dusre din ammi ki tabiyat bahot kharab hogayi.3rd aur 4th day hum dono ki ladayi hogayi ..hum dono ko bahot hi gussa aur ghum ho raha hai.please help

  2. Salam Sarah Yaseen 7 Mubeen wala wazifa jo hai
    Kiya hum surah yaseen 7 mubeen wale wazifa ko ghar walo k samne b kr skte hai
    Kiya ic k liye tanhai zarori tuo nahi??

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *