Bijli Kadakne Ki Dua

Rasoolullah ﷺ ne jo duayein khud ne parhi darasal unki sakht zarurat hamare hi liye thi. Jaise bijli kadakne ke waqt ki dua ko hi lelo. Asmani bijli se mehfooz rahne ki badi zarurat hamein hai.

1 Bijli Kadakne Ke Waqt Ki Dua Tarjuma Ke Sath

Bijli girne ke kayo nuqsanat hai. Jinhe ham aye din akhbarat mein padte rahte hai. Hazaron voltage ka current jab girta hai to aspas ki tamam chizon ko nest-o-nabood kar deta hai. Gaanv aur aisi kayi hai jahan bijli girti hi rahti hai.

Agar ap asmani bijli ke kadakne se bhi darte hai. Ya phir is bat ka dar hai ke kahin ye aasman se bijli aapke ghar ya janwaro ya phir kisi bhi cheez par na gir jaye.

To Hadees mein batayi hui bijli girne se bachne ki dua ko zarur parh liya kijiye.

Bijli Kadakne Ke Waqt Ki Dua Hadees Mein

Abdullah bin ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ jab bijli ki garaj aur kadak sunte to farmate:

“ALLAHumma Laa Taqtulnaa Bi-Ghazabikaa Wa Laa Tuhliknaa Bi-‘Azaabika Wa ‘Aafinaa Qabla Zaalik.”

Kadakne Ke Waqt Ki Dua-allahumma la taqtulna bi WaLa

Jami ‘at-Tirmidhi 3450 | Darja : Da’if (Darussalam)

To phir hamein bhi chahiye ke aasmani bijli ke har nuqsab se bachne ke liye jab bhi bijli kadke ya garje to is dua ko parh liya karein.

बिजली कड़कने के वक़्त की दुआ हदीस में

बिजली गिरने के कई नुक़सानात है| जिन्हे हम आए दिन अख़बारात में पड़ते रहते है| हज़ारों वोल्टेज का करेंट जब गिरता है तो आसपास की तमाम चीज़ों को नेस्त-ओ-नाबूद कर देता है| गाँव और ऐसी कई जगह है जहाँ बिजली गिरती ही रहती है|

अगर आप आसमानी बिजली के कड़कने से भी डरते है| या फिर इस बात का डर है के कहीं ये आसमान से बिजली आपके घर या जनवरो या फिर किसी भी चीज़ पर ना गिर जाए|

तो हदीस में बताई हुई बिजली गिरने से बचने की दुआ को ज़रूर पढ़ लिया कीजिए|

बिजली कड़कने के वक़्त की दुआ हदीस में

अब्दुल्लाह बिन ‘उमर रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है के रसूलुल्लाह ﷺ जब बिजली की गरज और कड़क सुनते तो फरमाते:

“अल्लाहुम्मा ला तक़तुलना बी-ग-ज़-बिका वला तुहलिकना बि-‘अज़ाबिका वा ‘आफिना क़बला ज़ालिक”

जामी’अत-तिर्मिज़ी 3450 | दर्जा : द’इफ़ (दारुस्सलाम)

तो फिर हमें भी चाहिए के आसमानी बिजली के हर नुक़सान से बचने के लिए जब भी बिजली कड़के या गरजे तो इस दुआ को पढ़ लिया करें|

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

2 Comments on “Bijli Kadakne Ki Dua”

  1. Mujhe apnay supervisor say apni bat urgent manwani hai ta k vo jaldi Mera kaam karwa den warna Mera boht loss ho jaega degree nhi milay please help

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *