Bazar Me Jane Ki Dua

Bazar shaitan ki masjid mani jati hai. Uska adda mana jata hai. Ye un fitnon bhari jagah mein se ek hoti hai jahan gunah aam hote hai. Bazar me jane ki dua ko parhkar jo shakhs bazar mein dakhil hota hai. ALLAH use aisi jagah par bhi sawab se nawazta hai.

Bazar Ki Dua Ko Parhkar Bazar Me Gunah Nahi Sawab Kamayein!

Salim bin Abdullah bin Umar ne apne walid se unhone apne dada se bayan kiya hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya:

“Jisne bazar mein dakhil hote waqt ye dua padhi, “La Ilaha IllALLAHu Wa’hdahu La Shareeka Lahu Lahul Mulku Walahul ‘Hamdu Yu’hyi Wayumeetu Wahuwa ‘Hayyul La Yamootu Biyadihil ‘Khairu. Wahuwa ‘Ala Kulli Shay’in Qadeerun”, (ALLAH Ke Siwa Koi Ma’abud nahi, WO Akaila Hai, USKA Koi Shareek Nahi, USI Ka Mulk Hai Aur USI Ki Ta’areef Hai, WO Zindah Karta Hai Aur Maarta Hai, AUR WO Zindah Hai Kabhi Nahi Marega, Bhalayi USI Ke Hath Mein Hai Aur WO Har Cheez Par Qaadir Hai).

Ye bhi zarur parhiye

Safar Ki Dua in Hindi Urdu Arabic English-Images

Musafir Ki Dua

Tou ALLAH Ta’ala uske liye das lakh nekiyan likhta hai, aur uski das lakh buraiyan mita deta hai, aur uske das lakh darje buland farmata hai.”

Darjah: Da’if (Darussalam)

Reference : Jam’i At-Tirmizi 3428

Kharid-o-farokht ki dua

Bazar mein jab bhi kuch kharidne jaye to is dua ko zarur parh lijiyega. Insha ALLAH isse apko bazar mein rahne ka aur bazar mein us khariddari ka sawab bhi milega.

Bazar Me Jane Ki Dua-la ilaha illallah wahdahu

“La Ilaha IllALLAHu Wa’hdahu La Shareeka Lahu Lahul Mulku Walahul ‘Hamdu Yu’hyi Wayumeetu Wahuwa ‘Hayyul La Yamootu Biyadihil ‘Khairu. Wahuwa ‘Ala Kulli Shay’in Qadeerun”

Darjah: Da’if (Darussalam)

Reference : Jam’i At-Tirmizi 3428

दर्जा : द’ईफ़ दारुस्सलाम

हवाला : जामि’अ अत-तिर्मिज़ी 3428

Zarur dekhiye

Aaina Dekhne Ki Dua When Looking into the Mirror

Marne Ke Bad Ki Dua

Hazrat Umar Bin ‘Khattab RadiALLAHu Anhu se riwayat hai ke Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya,

“Jo shakhs bazar dakhil ho aur ye kalmat padhe:

“La Ilaha IllALLAHu Wa’hdahu La Shareeka Lahu Lahul Mulku Walahul ‘Hamdu Yu’hyi Wayumeetu Wahuwa ‘Hayyul La Yamootu Biyadihil ‘Khairu. Wahuwa ‘Ala Kulli Shay’in Qadeerun”

To ALLAH Ta’ala uske liye das lakh nekiyan likhta hai aur uski das lakh buraiyan door karta hai aur uske das lakh darje buland karta hai aur jannat mein uske liye ek ghar tayyar karta hai.”

Hazrat Mu’hammad Mustafa ﷺ Ka Mamul Mubarak

Huzoor Akram ﷺ ka mamul tha jab Aap ﷺ bazar tashreef le jate to ye dua padhte:

“Bismillahi ALLAHumma Inni As-Aluka ‘Khaira Haazihis Sooqi Wa-‘Khaira Ma Feeha Wa-Aa-‘Oozubika Min Sharriha Wa-Sharri Ma Feeha ALLAHumma Inni Aa-‘Oozubika An Useeba Feeha Safqatan ‘Khaasiratan”

Tarjuma:

Main ALLAH Ka Naam Lekar Bazar Jata Hun. Ae ALLAH! Is Bazar Mein Aur Iski Cheezon Mein Jo Khair Aur Balayi Ho Uska Main TUJHSE Sawal Karta Hun, Aur Isme Aur Iski Cheezon Mein Jo Shar Ho Main Usse TERI Panah Mangta Hun.

Ae ALLAH! Is Baat Se Bhi TERI Panah Chahta Hun Ke Main Is Bazar Mein Koi Ghaate Ka Sauda Karun.

Bazar ki taraf jate waqt is dua ko kam se kam ek (1) bar padhne ka mamul bana lijiye. Chahe aap wuzu mein hon ya na hon, aap ise padh sakte hain. Agar aapko ye dua zubani yad nahi hai to koi masla nahi hai. Aap upar diye gaye wallpaper ko download kar lijiye. Aur bazar pahunch kar apne mobile ki gallery mein is wallpaper se dekhte hue dua padh lijiye.

Ahadees ki roshni mein is dua ki badi fazilat payi jati hai. Padhne par savab bhi khoob hasil hoga aur har khasaare (nuqsan) aur shaitan se mehfuz bhi rahenge, aameen.

Ye dua apne sabhi pyaron ke sath share karke savab kamaiye.

बाज़ार में जाने की दुआ

बाज़ार की दुआ को पढ़कर बाज़ार में गुनाह नही सवाब कमायें!

सलीम बिन अब्दुल्ला बिन उमर ने अपने वालिद से उन्होंने अपने दादा से बयान किया है के रसूल्लुल्ला ﷺ ने इरशाद फरमाया:

“जिसने बाज़ार में दाखिल होते वक़्त यह दुआ पढ़ी,

दुआ ऊपर वॉलपेपर में पढ़िए

तो अल्ला त’आला उसके लिए लाख नेकियाँ लिखता है, और उसकी दस लाख बुराइयाँ मिट देता है, और उसके दस लाख दर्जे बुलंद फरमाता है। ”

दर्जा : द’ईफ़ दारुस्सलाम

हवाला : जामि’अ अत-तिर्मिज़ी 3428

खरीद-ओ-फरोख्त की दुआ

बाज़ार में जब भी कुछ खरीदने जाए तो इस दुआ को ज़रूर पढ़ लीजियेगा। इंशा अल्ला इससे आपको बाज़ार में रहने का और बाज़ार में उस खरीदारी का सवाब भी मिलेगा।

“ला इलाहा इल’लल्लाहु व’हदहु ला शरीका लहू लहुल मुल्कु वालाहुल ‘हमदु यू’हई वायुमीतू वहुवा ‘हैय्यु ला यमूतु बियादिहिल ‘खैरु। वहुवा ‘आला कुल्ली शय’इन क़दीरुन”

दर्जा : द’ईफ़ दारुस्सलाम

हवाला : जामि’अ अत-तिर्मिज़ी 3428

हज़रत उमर बिन ‘खत्ताब र.आ से रिवायत है के रसूल अल्ला ﷺ ने फरमाया,

” जो शख्स बाज़ार दाखिल हो यह कलमात पढ़े:

“ला इलाहा इलल्ललाहु व’हदहु ला शरीका लहू लहुल मुल्कु व’लाहुल ‘हमदू यू’हई वायुमीतू बियादिहिल ‘खैरु” (दुआ ऊपर वॉलपेपर में पढ़िए)

तो अल्ला ता’आला उसके लिए दस लाख नेकियाँ लिखता है और उसकी दस लाख बुराइयाँ दूर करता है और उसके दस लाख दर्जे बुलंद करता है और जन्नत में उसके लिए एक घर तईयार करता हौ। ”

हज़रत मु’हम्मद मुस्तफाﷺ का मामूल मुबारक

हुज़ूर अकरम ﷺ का ममुल था जब आप ﷺ बाज़ार तशरीफ ले जाते तो यह दुआ पढ़ते:

“बिस्मिलही अलाहुम्मा इन्नी अस-अलुका ‘खैरा हाज़ीहिस सूक़ि वा-‘खैर
मा फीहा वा-आ-‘उज़्यूबिका मिन शर्रिहा वा-शर्रि मा फीहा अलाहुम्मा इन्नी आ-‘ऊजुबिका अन् उसीबा फीहा सफक़तन ‘ खासिरतन”

तर्जुमा:

मैं अल्ला का नाम लेकर बाज़ार जाता हूँ। ऐ अल्ला! इस बाज़ार में और इसकी चीज़ों में जो खैर और इसकी भलाई हो उसका मैं तुझसे सवाल करता हूँ, और इसमे और इसकी चीजों में जो शर हो मैं उस तेरी पनाह मांगता हूँ।

ऐ अल्लाह! इस बात से भी तेरी पनाह चाहता हूँ के मैं इस बाज़ार में कोई घाटे का सौदा करूँ।

बाज़ार की तरफ जाते वक़्त इस दुआ को कम से कम एक(1) बार पढ़ने का ममुल् बना लीजिये।चाहे आप वुज़ू में हों या ना हों, आप इसे पढ़ सकते हैं। अगर आपको ये दुआ ज़ुबानी याद नही तो कोई मसला नही है। आप उपर दिये गए वॉलपेपर को डॉनलोड कर लीजिये। और बाज़ार पहुँच कर अपने मोबाइल की गैलेरी में इस वॉलपेपर से देखते हुए दुआ पढ़ लीजिये।

हदीस की रोशनी में इस दुआ की बड़ी फ़ज़ीलत पाई जाती है। पढ़ने पर सवाब भी खूब हासिल होगा और हर खसारे(नुक़्सन्) और शैतान से मेहफूज़ भी रहेंगे, आमीन।

यह दुआ अपने सभी प्यारों के साथ शेयर करके सवाब कमाइये।

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

61 Comments

  1. AssalamuAlaikum Bhai.
    Main bahot pareshan raheta hun muzhe logo se milna jhulna bhi pasand nahi aaraha hain ek ajib sa darr aur ghabrahat raheti hai dil me ghar par bhi kisi se baat karne ko dil nahi chahta bas ghussa aata hai sab par aur jaise hi ghar se bahar kaam par ya aur kahi jaata hun to gharwalon ki hi yaad aur fiqr satati hai, aisa hi haal ghar ke 3-4 logo par hain is uljhan se nikalne ka koi rasta bataye.
    Allah aap se raji ho.

  2. Assalamualikum bhai Maine shadi ke liye bhut wazife padhe ek rishta aaya tha ab woh bhi chala gaya mai kya karu kuch samjh nahi aa raha hai sirf rishte aate hai koi dekhne bhi nahi aata aur phir chale jate hai ya qahahrru bhi padhti hu pata nhi kyu aisa hota hai

  3. Assalamualikum bhai kisi aalsi Insaan ko mehnati banane ka aur achi kismat ka wazifa Bata de plz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *