Barish Hone Ki Dua

Istiqsa use kahte hai jab ALLAH se khas dua ki jaye aur pani yani barish talab ki jaye. Huzur ﷺ ne kayi bar ‘Istiqsa’ kiya. Kayi martaba waqt dar waqt Sahaba Radi ALLAHu ‘Anhu ki darkhwast par aur zarurat hone par hi ALLAH se Barish hone ki dua ki. Jab kabhi ap ﷺ ke waqt mein sookha parhta tab bhi barish hone ki dua kiya karte.

Barish Hone Ki Dua in English+Hindi+Urdu Translations

Barish Hone Ki Dua in English Hindi Urdu Translations

Barish Hone Ki Dua in Roman English/Urdu:

ALLAHumma Aaghisna, ALLAHumma Aaghisna, ALLAHumma Aaghisna

बारिश शुरू होने की दुआ हिंदी में:

अल्लाहुम्मा अग़िस्ना, अल्लाहुम्मा अग़िस्ना, अल्लाहुम्मा अग़िस्ना

Barish Hone Ki Dua Ka Tarjukma in Roman English/Urdu:

Ae ALLAH Ham par pani barsa, Ae ALLAH Ham par pani barsa, Ae ALLAH Hamein Sairab kar!

बारिश शुरू होने की दुआ का तर्जुमा हिंदी में:

ऐ अल्लाह हम पर पानी बरसा, ऐ अल्लाह हम पर पानी बरसा, ऐ अल्लाह हमें सैराब कर!

Ye bhi zarur parhiye→ Naya Chand Dekhne Ki Dua

‘Istiqsa’ yaani barish hone ke liye ki jane wali dua. Jo Huzur Muhammad Mustafa ﷺ ALLAH ﷻ se kiya karte. Barish aane ke liye Hadees-e-pak mein mukhtalif qism ki duayein maujood hai.

Aj ham un tamam barish hone ki dua ke bare mein Hadees ke hawale ke sath yahan bat karenge.

Jab-jab apko lage barish ki sakht zarurat mehsoos ho. Yani khet khaliyano mein fasle sookhne ki halat hone se pahle. Aur maveshi yani gaay, bakri, bhed wagerah ki jaan par ban aane se pahle hi ALLAH se Istiqsa kiya karein.

Yani barish hone ki dua kiya karein. Ap zarur parhna pasand karenge→ Ayatul Kursi in Hindi HD Images

Ap ﷺ Barish Ki Dua Kaise Kiya Karte The?

Abdullah Bin Zaid Radi ALLAHu ‘Anhu ne bayan kiya ke Nabi-e-Kareem ﷺ Eidgaah gaye. Aap ﷺ ne wahan dua-e-istiqsa wahan Qibla ru hokar ki aur Aap ﷺ ne chadar bhi palti aur 2 rak’at namaz parhi.

Saheeh al-Bukhari 1012

Barish Aane Ke Liye Hadees Mein Khas Duayein

Jab Barish Na Ati Ho Aur Chahe Ke Barish Aana Shuru Ho Jaye To

Anas Bin Malik Radi ALLAHu ‘Anhu bayan karte hai ke ek shakhs juma ke din masjid mein dakhil hua. Ab jahan daar-al-qaza hai usi taraf ke darwaze se wo aya tha. Rasoolullah ﷺ khade hua khutbah de rahe the. Usne bhi khade-khade Rasoolullah ﷺ ko mukhatib kiya kaha ke ya Rasoolullah ﷺ jaanwar mar gaye aur raste band ho gaye. ALLAH Ta’ala se dua kijiye ke ham par paani barsaye. Chunanche Rasoolullah ﷺ ne dono hath uthakar dua farmayi.

ALLAHumma Aghisna, ALLAHumma Aghisna, ALLAHumma Aghisna!

Ae ALLAH ham par paani barsa, Ae ALLAH hamein sairab kar!

Anas Radi ALLAHu ‘Anhu ne kaha ALLAH ki qasam! asman par badal ka kahin nishan bhi na tha. Aur hamare aur Sela pahad ke bich mein makanat bhi nahi the, itne mein pahad ke peechhe se badal namudar hua dhaal ki tarah aur asman ke bich mein pahunch kar charon taraf phel gaya aur barasne laga. 

ALLAH ki qasam! hamne ek hafte tak suraj nahi dekha. 

Saheeh Al-Bukhari 1014

Jab Barish Aana Shuru Ho Jaye To Ye Dua Parhein

Yani barish hote waqt ye dua zarur parhiye.

allahumma sayyiban nafi'a arabic dua meaning with translations

Zyada yani tez barish hone par kya parhna chahiye?

Muhammad Bin Muqatil ne bayan kiya, unhone kaha ke hame Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kahan ke hamein Abdullah ‘Umri Naf’e ne khabar di, unhe Qasim bin Mu’hammad ne, unhe

‘Aisha Radi ALLAHu ‘Anhu ne ke Rasoolullah ﷺ jab barish hoti to ye dua karte:

ALLAHumma Sayyiban Naf’e-‘an

(Ae ALLAH nafa bakhshne wali barish barsa)

Saheeh al-Bukhari 1032

Jab Barish Ki Kasrat Ho Jaye-Barish Band Hone Ke Liye Dua

Phir dusre juma ko ek shakhs usi darwaze se dakhil hua. Rasoolullah ﷺ khade hua khutbah de rahe the, isiliye usne khade-khade kaha ya Rasoolullah (kasrat barish se) janwar tabah ho gaye. Aur raste band ho gaye. ALLAH Ta’ala se dua kijiye ke barish band ho jaye. Rasoolullah ﷺ ne dono hath uthakar dua ki

‘ALLAHumma ‘Hawa Laina Wala ‘AlainALLAHumma ‘Alal Aakaami Waz-Ziraabi Wa Botoonil Awdiyati Wa Manaa Bitish-Shajari’

tez barish band hone ki dua

Chunanche barish ka silsila band ho gaya aur ham bahar aye to dhoop nikal chuki thi.

Shareek ne bayan kiya ke maine Anas Bin Malik se daryaft kiya ke kya ye pahla hi shakhs tha? 

Unhone jawab diya mujhe ma’aloom nahi.

Saheeh al-Bukhari 1016

Zarur parhiyega→ What Is La Hawla Wala Quwwata Illa Billah Meaning

Upar di hui dua ko agar tufani barish hone lage to use rokne ke liye bhi parha ja sakta hai. Insha ALLAH kitni bhi moosladhar toofani barsat yani barish hogi. Fauran thamne lagegi. ALLAH ﷻ se barish ke rukne ki dua bhi zarur karni chahiye.

Is post ko English mein parhiye→ Dua for Rain to Come

बारिश होने की दुआ हदीस में हिंदी में

‘इस्तिक़सा’ यानी बारिश होने के लिए की जाने वाली दुआ| जो हुज़ूर मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ अल्लाह ﷻ से किया करते| बारिश आने के लिए हदीस-ए-पाक में मुख़्तलिफ़
क़िस्म की दुआएं मौजूद है| ज़रूर पढ़िए→ आइना देखने की दुआ

आज हम उन तमाम बारिश होने की दुआ के बारे में हदीस के हवाले के साथ यहाँ बात करेंगे|

जब-जब आपको लगे बारिश की सख़्त ज़रूरत महसूस हो| यानी खेत खलियानो में फ़सले सूखने की हालत होने से पहले| और मवेशी यानी गाय, बकरी, भेड़ वगैरह की जान पर बन आने से पहले ही अल्लाह से ‘इस्तिक़सा’ किया करें|

यानी बारिश होने की दुआ किया करें|

आप ﷺ बारिश होने के लिए दुआ कैसे किया करते थे?

अब्दुल्लाह बिन ज़ैद रदी अल्लाहु ‘अन्हु ने बयान किया के नबी-ए-करीम ﷺ ईदगाह गए| आप ﷺ ने वहाँ दुआ-ए-इस्क़तिक़सा वहाँ क़िब्ला रु होकर की और आप ﷺ ने चादर भी पलटी और 2 रक’अत नमाज़ पढ़ी|

सहीह अल-बुखारी 1012

बारिश आने के लिए हदीस में ख़ास दुआएं

जब बारिश ना आती हो और चाहे के बारिश आना शुरू हो जाए तो|

अनस बिन मालिक रदी अल्लाहु ‘अन्हु बयान करते है के एक शख़्स जुमा के दिन मस्जिद में दाखिल हुआ| अब जहाँ दार-अल-क़ज़ा है उसी तरफ के दरवाज़े से वो आया था| रसूलुल्लाह ﷺ खड़े हुआ ख़ुतबाह दे रहे थे| उसने भी खड़े-खड़े रसूलुल्लाह ﷺ को मुख़ातिब किया कहा के या रसूलुल्लाह ﷺ जानवर मार गए और रास्ते बंद हो गए| अल्लाह त’आला से दुआ कीजिए के हम पर पानी बरसाए| चुनांचे रसूलुल्लाह ﷺ ने दोनो हाथ उठाकर दुआ फरमाई|

‘अल्लाहुम्मा अग़िसना, अल्लाहुम्मा अग़िसना, अल्लाहुम्मा अग़िसना!’

ऐ अल्लाह हम पर पानी बरसा, आए अल्लाह हमें सैराब कर!

अनस बिन मालिक रदी अल्लाहु ‘अन्हु ने कहा अल्लाह की क़सम! आसमान पर बदल का कहीं निशान भी ना था| और हमारे और सेला पहाड़ के बीच में मकानात भी नही थे, इतने में पहाड़ के पीछे से बदल नमूदार हुआ ढाल की तरह और आसमान के बीच में पहुँच कर चारों तरफ फेल गया और बरसने लगा|

अल्लाह की क़सम! हमने एक हफ्ते तक सूरज नही देखा|

ज़रूर पढ़िए→ ला इलाहा इल्ला अन्ता दुआ

जब बारिश आना शुरू हो जाए तो ये दुआ पढ़ें

ज़्यादा यानी तेज़ बारिश होने पर क्या पढ़ना चाहिए?

मुहम्मद बिन मुक़ातिल ने बयान किया, उन्होने कहा के हमे अब्दुल्लाह बिन मुबारक ने खबर दी, कहाँ के हमें अब्दुल्लाह ‘उमरी नाफ़े ने खबर दी, उन्हे क़ासिम बिन मु’हम्मद ने, उन्हें

‘आइशा ‘अन्हु ने के रसूलुल्लाह ﷺ जब बारिश होती तो ये दुआ करते:

अल्लाहुम्मा सय्यिबन नाफ़े’अन 

(ऐ अल्लाह नफ़ाह बख़्शने वाली बारिश बरसा)

सहीह अल-बुखारी 1032

जब बारिश की कसरत हो जाए-बारिश बंद होने के लिए दुआ

फिर दूसरे जुमा को एक शख़्स उसी दरवाज़े से दाखिल हुआ| रसूलुल्लाह ﷺ खड़े हुआ ख़ुतबाह दे रहे थे, इसीलिए उसने खड़े-खड़े कहा या रसूलुल्लाह (कसरत बारिश से) जानवर तबाह हो गए| और रास्ते बंद हो गए| अल्लाह त’आला से दुआ कीजिए के बारिश बंद हो जाए| रसूलुल्लाह ﷺ ने दोनो हाथ उठाकर दुआ की

‘अल्लाहुम्मा ‘हवा ‘अलैयना लैयना वला ‘अलैयनल्लाहुम्मा ‘अलल अकामी वज़-ज़िराबि व बुतूनिल अवदियति व मना बितिश-शजरि’

चुनांचे बारिश का सिलसिला बंद हो गया और हम बाहर आए तो धूप निकल चुकी थी|

शरीक ने बयान किया के मैने अनस बिन मालिक से दर्याफ़्त किया के क्या ये पहला ही शख़्स था?

उन्होने जवाब दिया मुझे मा’अ-लूम नही|

सहीह अल-बुखारी 1016

बारिश बन्द होने के लिए ऊपर दी हुई दुआ का हिंदी में तर्जुमा:

ऐ अल्लाह! हमारे अतराफ़ में बारिश बरसा (जहाँ ज़रूरत है) हमपर ना बरसा| ऐ अल्लाह! टीलों, पहाड़ियों, वादियों और बागों को सैराब कर|अगर तूफ़ानी बारिश होने लगे तो उसे रोकने के लिए भी उपर दी हुई दुआ को पढ़ा जा सकता है| इंशा अल्लाह कितनी भी मूसलाधार तूफ़ानी बरसात यानी बारिश भी  होगी| फ़ौरन थमने लगेगी|

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

8 Comments on “Barish Hone Ki Dua”

  1. Khwab me baal kaatne ka kya matlab mne dekha k koi mere baal kaat rha hai

    1. Aise har khwab ka matlab ham nahi batate hain sis. Aur na hi har khwab ka koi matlab banta hai. Istikhara ke khwab hon to wo aap zarur puch sakti hain.

  2. Assalam walaykum Bhaijjan.. Mujhe periods regular hone ki wazifa padhne ki ijazat dijiye…

  3. Maine khwab me dekha k bohot barish ho rahi hai n barish k saat saat choti machliya bhi gir rahi hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *