Eid-ul-Adha ke roz janwar halal karne se pahle ‘Qurbani Ki Dua Translation’ post ko itminan se zarur parhiyega. Qurbani karne ki dua Hindi, English aur Roman Urdu mein tafseel se parhenge. PDF apne phone mein download zarur kijiye.
Qurbani Bakra Zibah Karne Ki Dua With All Translations

ya ALLAH Team ki taraf se sabse awwal ap sabhi ko Eid-ul-Adha ki dil se mubarakbad. ALLAH apki Eid ki khushiyon me char chand laga de. ALLAH Ta’ala Zarurat mando ki zarurat poori kare. Pareshan halon ke masail hal kare, Ameen.
Ek aham bat ap logo ko batla du,
Eid-ul Adha par Qurbani yani bakra zibah karna har us shakhs yani mard aur aurat par wajib hai. Jis bhi mard aur aurat par zakat wajib hoti hai. Yani jo bhi sahib-e-nisab ho.
Ese sahib-e-nisab janwar ki qurbani ya phir bakra zibah zarur kare.
Ghaur Farmayiyega!
Hujjaj yani Haj karne wale log Mina mein jo Qurbani karte hain. Woh Hajj ke Shukrane ki Qurbani hai. Bakra-eid ke din janwar ki Qurbani Haji par wajib nahi agar wo Hadd-e-shahar ke mutabiq musafir hai to.
Agar kisi admi par Qurbani wajib nahi thi magar usne Qurbani ki niyat se janwar kharida to ab uspar wajib ho gayi.
Qurbani Karne Ki Dua with All The Urdu Translations
क़ुर्बानी की दुआ आसान हिंदी में
इन्नी वज्जहतु वज हिया लिल्लज़ी फतरस्समावती वल अरदा हनीफंव्वमा
अना मिनल मुशरिकीना इन्ना सलाती व नुसुकि व महया-या व-ममाती लिल्लाहि रब्बल ‘आलमीना
ला शरीका लहू व-बिज़ालिका उमिर-तु व-अना मिनल मुस्लिमीना अल्लाहुम्मा लका व-मिनका ‘अन
(जिस की तरफ से क़ुरबानी कर रहे है उनका नाम लीजिए) बिस्मिल्लाही वल्लाहु अकबर

Qurbani yani bakra zibah karne ki duayein aur tamam masail tafseel se niche diye link par zarur parhiye.
Qurbani Rules and Issues on Eid ul Adha
Jis amal ko ibadat na bana diye jaye to wo rasm ban kar reh jati hai. Ibadat aur rasm-o-riwaaz mein yahi ek farq hai. Tyohar jaisi cheez ghairon ke liye hai. Aur ibadat aur Qurbani momin ke liye hai.
Yani bakra ko zibah karne ki dua parhna aur phir use halal karna. Ye ibadat mein shumar hota hai. Janwar chahe koi bhi halal karein. Murgi ho ya phir ke murga bakra ho ya phir ke mendha, gaay ho ya phir ke oont.
Har ek janwar ke zibah karne ka savab alhaida hai. Aham bat sirf niyat ki hai. Janwar ki Qurbani khoob dil laga kar kiya karo. Ye roz sirf bakra halal karke khane ka nahi. Gosht khane ka nahi.
Qurbani bakra zibah karne ko nahi kehte hai. Balki Qurbani to ALLAH ke Qurb wale aamaal ko kehte hai. Aamal khalis aur dil se ho. Khuloos niyat se aur sirf ALLAH hi ki raza ke liye ho. Asal Qurbani to wo hai.
Takbeer-e-Tashreef
ALLAHu Akbar ALLAHu Akbar La Ilaaha Illallahu wALLAHu Akbar ALLAHu Akbar ALLAHu Akbar walillahil ‘Hamd
Zill Hajj ke nau (9) tarikh ki Fajr se lekar teen (3) tarikh ki Asar tak har farz namaz ke bad takbeer-e-tashreef parhna har mard aur aurat par wajib hai. Mard buland awaz se parhe aur aurat aahista se.
Fatawa Aalamgiri
Qurbani Kiski Taraf Se Wajib Hai?
Qurbani sirf apni taraf se wajib hai, aulad ki taraf se nahi. Balki agar nabaligh aulad maldar ho tab bhi uski taraf se wajib nahi. Na apne maal se na uske maal se.
Kyonke ye abhi ahkam-e-sharaiya ka mukallaf nahi hai. Agar koi apni Qurbani ke bad nabaligh aulad ki taraf se Qurbani karta hai to ye nifl hai.
Janwar Ke Gosht Mein Kya-Kya Khana Chahiye Aur Kya Nahi?
Jin janwaron ka gosht halal hai, unki saat (7) chizon ka khana haram hai.
-
Bahne wala khoon.
-
Nar aur maada janwar ki peshabgaah.
-
Haram maghz.
-
Khusiytain jinhe kapoore bhi kahte hai.
-
Gudood.
- Masaana (pishab ki naali).
-
Pitta.
In saat (7) chizon ke ilava kisi cheez ka khana makrooh bhi nahi hai.
Bada-e-Fatawa Shaami
‘Eid-ul-Adha Ki Qurbani Ke Bare Mein Hadees
Hamse Abdullah Bin Taneesi ne bayan kiya, kaha ke hamse Lees ne bayan kiya, kaha ke hamse Qaseed bin Furqad ne Naf’e se bayan kiya, Unse Ibn Umar Radi ALLAHu Ta’ala ‘Anhuma ne ke Nabi-e-Kareem ‘eidgaah hi mein nahar aur zibah kiya karte.
Sahih al-Bukhari 982
Nahr ka matlab jaise kheme lage hote hai.
Abu Hureira Radi ALLAHU Ta’ala ‘Anhu kahte hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
‘Eid-ul-Fitr wo din hai jisme tum log roza tod dete ho, aur ‘Eid-ul-Adha wo din hai jisme tum log qurbani karte ho.
Jild 1, Kitab 7, Hadees 1660
Hamse ‘Umar bin Khalid ne bayan kiya, kaha hamse Lees ne bayan kiya, Unse Yazeed ne, Unse Abu Al-Khair ne aur unse Hazrat ‘Uqbah bin ‘Aamir Radi ALLAHU Ta’ala ‘Anhu ne ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne apne Sahabah mein taqseem karne ke liye apko kuch qurbani ki bakriyan di unhone unhe taqseem kiya phir ek saal se kam ka ek bachcha bach gaya to Unhone Nabi-e-Kareem ﷺ se iska tazkirah kiya. Aan Hazrat ﷺ ne farmaya iski qurbani tum karlo.
Saheeh Al-Bukhari 5555
*Tazkirah yani zikr karna
Qurbani Karne Ka Sahi Waqt Ke Bare Mein Hadees
Sayyidina Anas Bin Maalik Radi ALLAHU ‘Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne namaz parhayi phir khutbah dekar hukm farmaya ke jis aadmi ne namaz (‘eid) se pahle qurbani zibah karli hai wo dobara qurbani zibah karle. Phir Ibn ‘Alay ki Hadees ki tarah Hadees Mubarika zikr ki.
Saheeh Muslim 5080
Qurbani Ka Janwar Kitne Log Shareek Ho Sakte Ho Sakte Hai Iske Bare Mein Hadees
Abdullah Bin Abbas Radi ALLAHu Ta’ala ‘Anhuma kahte hai ke ham log Rasoolullah ﷺ ke sath ek safar mein the ke Qurbani ka din agaya, chunanche hamne gaay ki Qurbani mein saath aadmiyon aur oont ki Qurbani mein das aadmiyon ko shareek kiya.
Jami ‘At-Tirmidhi 1501
मसाइल-ए-क़ुर्बानी और क़ुरबानी बकरा ज़िबह करने की दुआ हिंदी, इंग्लिश और उर्दू में तर्जुमा के साथ
या अल्लाह टीम की तरफ से सबसे अव्वल आप सभी को ईद-उल-अज़हा की दिल से मुबारकबाद| अल्लाह आपकी ईद की ख़ुशियों में चार चाँद लगा दे| अल्लाह पाक ज़रूरत मन्दो की ज़रूरत पूरी करे| परेशान हालों के मसाइल हल करे, आमीन|
एक अहम् बात आप लोगो को बतला दू,
ईद-उल अज़हा पर क़ुरबानी यानि बकरा ज़िबह करना हर उस शख्स यानि मर्द और औरत पर वाजिब है| जिस भी मर्द और औरत पर ज़कात वाजिब होती है| यानि जो भी साहिब-ए-निसाब हो|→ क़ुरबानी के अक़ाइद और मसाइल
ऐसे साहिब-ए-निसाब जानवर की क़ुरबानी या फिर बकरा ज़िबह ज़रूर करे|
ग़ौर फरमाइएगा!
हुज्जाज यानि हज करने वाले लोग मीना में जो क़ुरबानी करते हैं| वह हज के शुक्राने की क़ुरबानी है| बक़रा-ईद के दिन जानवर की क़ुरबानी हाजी पर वाजिब नहीं अगर वो हद-ए-शहर के मुताबिक़ मुसाफिर है तो|
अगर किसी आदमी पर क़ुरबानी वाजिब नहीं थी मगर उसने क़ुरबानी की नियत से जानवर ख़रीदा तो अब उसपर वाजिब हो गयी|
जिस अमल को इबादत न बना दिए जाये तो वो रस्म बन कर रह जाती है| इबादत और रस्म-ओ-रिवाज़ में यही एक फ़र्क़ है| त्योंहार जैसी चीज़ ग़ैरों के लिए है| और इबादत और क़ुरबानी मोमिन के लिए है|→ हाजत पूरी होने की दुआ हिंदी में
यानि बकरा को ज़िबह करने की दुआ पढ़ना और फिर उसे हलाल करना| ये इबादत में शुमार होता है| जानवर चाहे कोई भी हलाल करें| मुर्गी हो या फिर के मुर्गा, बकरा हो या फिर के मेंढा, गाय हो या फिर के ऊँट|
हर एक जानवर के ज़िबह करने का सवाब अलहैदा है| अहम बात सिर्फ नियत की है| जानवर की क़ुरबानी खूब दिल लगा कर किया करो| ये रोज़ सिर्फ बकरा हलाल करके खाने का नहीं| गोश्त खाने का दिन नहीं|→ रमज़ान क्या है? रमज़ान की ‘इबादत और तरीक़ाक़ार
क़ुरबानी बकरा ज़िबह करने को नहीं कहते है| बल्कि क़ुरबानी तो अल्लाह के क़ुर्ब वाले आमाल को कहते है| आमाल ख़ालिस और दिल से हो| असल क़ुरबानी तो वो है जो ख़ुलूस नियत से और सिर्फ अल्लाह पाक ही की रज़ा के लिए हो|
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Pareshani dor karnay ka koi wazifa batai. Chahay pareshani kaisi bi ho.
Pareshani door karne ka wazifa- https://www.yaallah.in/pareshani-ki-dua
Asalam Alaikum.. hum qurbani ki niyat se ek bakra ghar lekr aaye the par qurbani se phle usko chott lag gai hai. Kya usko qurban kar sakte hai. Agar doctor ko batakar vo theek ho jae toh kya uske badh qurbani jayaz hai?
Agar wo sehatmand ho jaye aur bila kisi aib ke ho, yani per kata na ho, seeng na tuta ho, kaana langda etc. na ho to qurbani kar sakte hai, warna nahi.
Mujhe business me bahut saara loss ho raha h his kaam ko bhi karta hu usme loss ho raha h aur me apni wife ki taraf se bhi pareshan hu abhi koi aulad nii h 4 saal ho chuke h kaafi doctors ka ilaaz bhi Kara liya please aap mujhe koi solution batayein
Bhai aap ye amal parh kar mujhe bataiyega surate haal ke bare me- https://www.yaallah.in/islamic-prayer-against-black-magic-causes-social-aspects