Badhazmi khatm karne ki dua khane ke shauqeen logon ke liye hai. Aise log kha to khoob lete hai lekin iski wajah se unhe badhazmi hone lagti hai. Bila dawa ke ye ilaj bada mufeed sabit hoga.
Badhazmi Khatm Karne Ki Dua
Par jab insan ka hazma kharab ho. Uska pet yani ki ma’ida hi sahi na ho to. Khana to door ki baat hai. Khane ke bare mein sochkar hi jee mitlane lagta hai. Zarur dekhiye→ Blood Pressure Ka Wazifa
Badhazmi ki dua khas un logo ke liye bhi hai. Jo ki dawayi nahi khana chahte hain. Aur yeh baat sahi bhi hai kyonki. Akhir jab insan ko khane ke liye hi dawayi leni padi to zindagi berangeen si lagne lagti hai.
Badhti umr ke sath bhi insan ka hazma kharab hone lagta hai. Jaise insan jawani mein achhe achhe zayeqah-daar khana kha leta hai. Budhhape mein aise zayekah-daar khana khane ke liye insan tarasta hai.
Lekin is dua ke barkat se ALLAH Ta’ala badhazmi se to shifa denge hi sath-sath aapke ma’ide ko bhi majbooti denge.
Jisse ke aap zayekah-dar khana kha sakenge. Beshaq khana, ALLAH Ta’ala ki di huyi ne’maton mein se ek bahut badi ne’mat hai. Alhumdullilah. Zarur dekhiye→ Pet Dard Ki Dua in Arabic-Stomach Pain K Liye Wazifa
Jab ‘Eesa ‘Alayhis Salam ne ALLAH Ta’ala se khana ke liye dua ki thi to unhone kaha tha:
‘Aye mere rab humpe rizq nazil kar aur ye din beshaq humare liye eid hoga.’
Khana, ALLAH Ta’ala ke tarf se bheji huyi ek anmol rizq hai. Par is ne’mat ke naseeb hone ke liye hazme ka aur ma’ide ka sahi hona lazmi hai.
Badhazmi Kyon Hoti Hai?
Badhazmi hone ke waise to kayi wajuhat (wajah) hain. Lekin kuchh khas wajah yeh hain.
- Gas ki pareshani;
- Mai’de (pet) ka kamzor hona;
- Zyada khana khane se bhi badhamzi hoti hai;
- Ma’ide ki koyi khas beemari ho to badhamzi ki shikayat rehti hai;
- Khana khakar chahal-qadmi (walk) na karna;
- Ya dopeher ka khana khakar araam na karna, is wajah se bhi badhamzi hoti hai;
- Ya phir jaldbazi mein khana;
- Raat ka khana khakar fauran so jana;
- Zyada dawayiyan lene se bhi badhamzi ki shikayat hoti hai.
- Cigarette aur alcohol lene se;
- Pet achhe tareeqe saaf na hone ke wajah se bhi badhazmi hoti hai. Yani ke qabz ke shikayet ki wajah se.
Medical ki boli mein badhamzi jise indigestion kehte hain. Badhamzi ko ‘Dyspepsia’ kehte hain. Sunne mein to yeh beemari aam lagti hai.
Par yeh ek takleef dene wali beemari hai. Aur insan ki laparwahiyan bhi is beemari ko badhane ki ek badi wajah hai. Zarur dekhiye→ Muh Ke Chhale Ki Dua
Badhamzi ke marz (beemari) mein pet mein jalan; ulti aur pet mein dard ki shikayet rehti hai. Aur agar jald isse shifa na mile to insan ka ma’ida kamzor ho jata hai. Jisse ke insan din-ba-din kamzor hota jata hai.
Yeh marz aam hai lekin ma’ide ki kisi khas beemari ke wajah se bhi yeh marz hota hai. Jaise ke gurde ki beemari ya pet mein paththar. Ya phir typhoid; malaria; insab beemariyo mein bhi hazma kharab rehne lagta hai.
Aise mein ek shakhs ke liye bahut zaroori hai ki. Wo awwal is marz ka fauran ilaaj shuru karwaye aur sath-sath is amal ko padhna shuru kare. To fauran is marz se shifa hogi.
Badhamzi Khatm Karne Ka Ilaaj- Ek Gharelu Nuskha
Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ne farmaya:
“Khane se pehle kharbooje ka istemal pet ko bilkul saaf kar deta hai. Aur beemari ko jad se khatm kar deta hai.”
[Ibn Asakar]
Badhamzi Ke Beemari Se Shifa Ke Liye In Cheezon Se Parhez Kariye
Chahe aapko badhamzi ho ya na ho in cheezon ke istemal se lazmi parhez kariye. Aur agar badhazmi ho gayi hai tab to bilkul yeh sab cheezen khana band kar dein. Zarur dekhiye→ Mahwari ka Ilaj in Urdu
- Choclate; pyaaz; lehsun;
- Soda ya cold drink, iske jagah zyada se pani peeyein;
- Coffee;
- Cigarette ya sharab;
- Raat ke khane ke bad chahal-qadmi karke soyein;
- Masale daar khane se bhi parhez kariye.
Badhamzi Khatm Karne Ka Ruhani Ilaaj
Badhazmi se fauran shifa hasil karne ke liye
- Wuzu banane ke bad;
- Gyarah (11) martaba Surah Qadr padhiye;
- Pani par dam kar dein;
- Dam kiye hue pani ko dinbhar mein teen (3) martaba peeyein;
- Yeh amal saat (7) roz ka hai;
- Insha ALLAH pehle din se hi shifa milne lagegi.
Surah Qadr Arbi | Roman English Mein
Yaha dekhiye:
Surah Qadr Qur’an paak ki para #30 mein hai aur surah #97 hai.
اِنَّاۤ اَنۡزَلۡنٰهُ فِىۡ لَيۡلَةِ الۡقَدۡرِ ۖ ۚ
وَمَاۤ اَدۡرٰٮكَ مَا لَيۡلَةُ الۡقَدۡرِؕ
لَيۡلَةُ الۡقَدۡرِ ۙ خَيۡرٌ مِّنۡ اَلۡفِ شَهۡرٍؕ
تَنَزَّلُ الۡمَلٰٓـئِكَةُ وَالرُّوۡحُ فِيۡهَا بِاِذۡنِ رَبِّهِمۡ ۚ مِّنۡ كُلِّ اَمۡرٍ
سَلٰمٌ هِىَ حَتّٰى مَطۡلَعِ الۡفَجۡرِ
Inna Anzalnahu Fee Laylatil Qadr
Wa-Maa Adraaka Maa Laylatul Qadr
Laylatul Qadri Khairun Min-Alfi Shahar
Tanaz-zalul Malaai-katu War-Roo’hu Feeha Bi-Iznihi Rabbihim Min Kulli Amr
Salamun Hiya ‘Hatta Mat-la’il Fajr
Ghaur Talab:
Yeh amal ma’ide (pet) ki badhamzi ke liye to hai hi. Lein agar kisi ka ma’ida kamzor ho is halaat mein bhi is amal ko padh sakte hain. Yaqeenan ALLAH Rabbul ‘Alameen aapke is marz se shifa karenge. Aur phir aap zayekah-dar khana kha payenge.
Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Asslaam o alaikum bhai .. Many Alli help chahiye.. Me ek istakhara Krwana hai kia ap meri Help kar salty gain??
Check this link https://www.yaallah.in/?s=istikhara