Bache Ke Bolne Ka Wazifa

Kuch bachche bade hone ke bad bhi dimaghi taur par kamzor hone ki wajah se bolne ki quwwat nahi rakh pate. Bache ke bolne ka wazifa ke zariye aisi jismani marz se shifa hasil hogi. Aur phir bacha jaldi se bolne lagega.

Bache Ke Bolne Ka Wazifa Jaldi Se

Ye wazifa khas un walidain ke liye hai jo apni aulad ke waqt par batein na karne ki wajah se pareshani se dochar hain. Bache ke bolne ka wazifa parhne se insha ALLAH, unki ye pareshani door ho jayegi. Zarur dekhiye→ Ya Zal Jalali Wal Ikram

Yun to kuch bachche jaldi bolna seekh jate hain, jabki kuch bolne mein takheer (der) kar dete hai. Yahi takheer maa baap ko pareshani mein mubtila kar deti hai. Amooman dekha gaya hai ke bachchiyan, bachchon ke muqalble mein jaldi bolna seekh jati hain.

Teen (3) saal tak ki umr mein bachche agar sahee se bolna nahi seekhte to kuch had tak ye normal baat hai kyunki kuch bachche der se hi baten karna shuru karte hain aur phir bahut jald mukammal baat-cheet seekh jate hain. Lekin agar umr teen (3) baras se badh jaye aur bachcha phir bhi na bolen to ye lamha-e-fikriya (fikr ka baat) hai. Zarur dekhiye→ Musafir Ki Dua

Bachchon Ki Baat-Cheet Seekhne Ki Umr Ka Dauraniya (Waqt)

  • 6-11 Maah Ki Umr

Chhay se giyarah mahine ki umr me bachcha ghun-ghun karne ke sath sath-sath apni zuban mein baten karne ki koshish karta hai. Jaisa ke mukhtalif awazon ki naqal karne ki koshish karta hai. Zarur dekhiye→ Nooh Alaihis Salam Ki Dua

  • 12 Maah Ki Umr

Barah mahine yani ek (1) saal ka bachcha ek, do lafz bolna shuru karta hai. Apne naam ki aur apne ghar walon ke namo ki pahchan karne lagta hai.

  • 1-2 Baras Ki Umr

Ek se do saal ki umr mein bachcha mukhtalif lafz bolna seekh jata hai aur jumle banane ki koshish karta hai. Isharon ka istemal bhi karne lagta hai.

  • 2-3 Baras Ki Umr

Do se teen saal ki umr mein bachcha kafi had tak sahee jumle bolne lagta hai. Zarur dekhiye→ Bismillah Hirrahman Nirrahim Kya Hai?

  • 4 Baras Ki Umr

Char saal ki umr mein bachcha far-far baatein karta hai. Khud se kahaniyan bhi banane lagta hai.

Walidain Ke Liye Lamha-e-Fikriya (Fikr Ka Waqt)

Agar aapka bachcha teen (3) saal ki umr tak bilkul bhi baat-cheet nahi karta. Sirf iharon ki zuban bolta hai ya phir wo bhi nahi istemal karta. To qatayi ghaflat (laparwahi) mat kijiye aur apne bachche ka check up zarur karwaiye. Kahin ALLAH na kare bachche ko koi zehni, jismani ya quwwat-e-sama’at (sunne) ka masla na ho. Zarur dekhiye→ Surah Kausar Ki Tafseer Aur Fazilat

Agar aisa koi masla nahi hai to bilkul mat ghabraiye. Bas ye wazifa parhiye aur bache par khoob dhyan dijiye aur ALLAH se dua kijiye. Insha ALLAH, bachcha chand maah ke andar hi mukammal quwwat-e-goyai (bolna) se roshnaas (waqif) ho jayega. Aur bahut achhi guftagu (baten) karega, aameen.

يُسَبِّحُ لِلّٰهِ مَا فِىۡ السَّمٰوٰتِ وَمَا فِىۡ الۡاَرۡضِ الۡمَلِكِ الۡقُدُّوۡسِ الۡعَزِيۡزِ الۡحَكِيۡمِ‏

Yusabbihu Lillahi Ma FisSamaawaati Wama Fil Arzil Malikil Quddoosil ‘Azeezil ‘Hakeem

Surah #62 | Surah Jum’ah | Ayat #1

هُوَ الَّذِىۡ بَعَثَ فِىۡ الۡاُمِّيّٖنَ رَسُوۡلًا مِّنۡهُمۡ يَتۡلُوۡا عَلَيۡهِمۡ اٰيٰتِهٖ وَيُزَكِّيۡهِمۡ وَيُعَلِّمُهُمُ الۡكِتٰبَ وَالۡحِكۡمَة وَاِنۡ كَانُوۡا مِنۡ قَبۡلُ لَفِىۡ ضَلٰلٍ مُّبِيۡنٍۙ‏

Huwallazee Ba-‘asa Fil Ummiyyeena Rasoolanm Minhum Yatlu ‘Alayhim Aayaatihi Wa-Yuzakkeehim Wa-Yu’allimuhumul Kitaba Wal-‘hikmati. Wa-in Kaanu Min Qablu Lafi Zalaalinm Mubeen

Surah #62 | Surah Jum’ah | Ayat #2

وَّاٰخَرِيۡنَ مِنۡهُمۡ لَمَّا يَلۡحَقُوۡا بِهِمۡؕ وَهُوَ الۡعَزِيۡزُ الۡحَكِيۡمُ‏

Wa-Aa’khareena Minhum Lamma Yal’haqu Bihim. Wahuwal ‘Azeezul ‘Hakeem

Surah #62 | Surah Jum’ah | Ayat #3

ذٰلِكَ فَضۡلُ اللّٰهِ يُؤۡتِيۡهِ مَنۡ يَّشَآءُؕ وَاللّٰهُ ذُوۡ الۡفَضۡلِ الۡعَظِيۡمِ‏

Zaalika Fazlullaahi Yooteehi Manyyashaa-u. Wallahu Zul-Fazlil ‘Azeem

Surah #62 | Surah Jum’ah | Ayat #4

jaldi Bache Ke Bolne Ka Wazifa

Bache Ke Bolne Ka Wazifa Parhne Ka Tareeqa

  1. Ye wazifa kisi bhi din shuru kar sakte hain.
  2. Maa ya baap mein se jo chahe ye wazifa parh sakta hai. Zarur dekhiye→ Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua
  3. Ba-wuzu Fajr ki namaz ada karne ke bad ek (1) martaba Durood-e-Pak parhiye. Jo bhi Durood-e-Pak aapko zubani yad ho, aap parh sakte hain. Phir Surah Jum’ah ki pahli char (4) ayaat ki tilawat kijiye.
  4. Aakhir mein phir se ek (1) martaba wahi Durood-e-Pak parhiye jo shuru mein parhi thi.
  5. Parhne ke bad saaf suthre peene ke pani par dam kar dijiye.
  6. Phir ye pani bachche ko pila dijiye.
  7. Ye amal aap rozana kijiye aur bachche ko rozana pani par dam karke pilate rahiye.
  8. Insha ALLAH, bahut jald aapka bachcha puri tarah se bolne lagega, khoob baatein karega.

Ghaur Talab: Jaisa ke ye ek Qurani amal hai, isliye khawateen haiz/mahwaari/ayyaam mein ye amal na karen.

Apne sabhi pyaron ke sath ye post zarur share kijiye aur savab kamaiye

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

37 Comments

  1. Aslam o alaikum
    Meri beti 8 Saal ki honay wali ha, bataein krti ha lekin mukamil baat nai kr pati, Jo alfaz stay Hain unko not kr baat krti ha, uski wajha se dosron se baat krtay waqt ghubra jati ha, alfaz mun Pir nai churhtay iss wajha se parhai se BHI bhagti ha,buhat pareshan hun usko ke jr please Kuch bta den

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *