Azan Ke Baad Ki Dua Hindi Mein With All Translations

Azan ke baad ki dua ki khoob fazilat batlayi gayi hai. Lekin kya hamein wo yad hai? Chaliye aj azan ki dua ke video mein asan tarjuma aur alfazon ki adayegi ke sath ise yad karein. → Allahumma Antas Salamu Wa Minkas Salam Full Dua

Azan Ke Baad Ki Dua Hindi Mein Video & Translations

Azan Ke Baad Ki Dua with All Translations
Azan Ke Baad Ki Dua

Azan ke bad parhi jane wali dua kya hai?

Azan ke bad parhi jane wali dua Roman Urdu Mein

Ae ALLAH! Ae parvardigaar badle is pukar ke jo mukammal hai aur qayam hone wali namaz ke,

Hazrat Mu’hammad ﷺ ko waseela aur fazeelat aur buland darja ‘ata farma aur Unko khada kar Maqaam-e-Mahmood mein jiska TUNE Unse

w’ada kiya hai, aur hamko qayamat ke din unki shafa’at naseeb kar.

Beshak TU w’ada khilaafi nahi Karta.

→ Namaz Ke Baad Ki Dua

  1. Hadees shareef mein aya hai ke

    1. Azan ke 19 kalime hai jinhe sab hi jante hai.

    2. Subah ki azan mein “As-salatu khairunm minannoom” –namaz sone se behtar hai. Ye kalimat do martaba zyada parhe jate hai.

  2. Jab muazzin ki awaz sune yani azan sune to jo kalimat wo kahte jaye wohi kalimat aap khud bhi kahte jayein.

  3. Aur “‘hayya alas-salati aur “‘hayya alas-falahi” ki jagah “La hawla wala qoowwata illa billah” kahein.
  4. Ya “Ash-hadu anlla ilaha illallahu” ke jawab mein ye dua parhein:

Ash-hadu anlla ilaha illallahu Wa dahu, la shareeka lahu, wa anna Mu’hammadan ‘Abduhu wa Rasooluhu, wa razeetu billahi rabbanw-wabi Mu’hammdinr-Rasoolanw-wabil islami Deenan

Tarjuma: Main gawahi deta hoon ke ALLAH ke siwa koi mabood nahi, WOH akela hai, US ka koi shareek nahi, aur yah ki Mu’hammad ﷺ ALLAH ke bande aur USKE Rasool hai. Maine ALLAH ko apna RABB aur Mu’hammad ﷺ ko apna Rasool aur Islam ko apna deen pasand kar liya hai.

→ Allahummaghfirli Warhamni Wahdini Warzuqni

Azan ke jawab dene ki fazilat kya hai?

  1. Hadees shareef mein aya hai ke jo shakhs dil se azan ka jawab dega wo jannat mein dakhil hoga.

  2. Jo shakhs kalima-e-tauheed ka jawab upar ki dua se dega uske gunah bakhsh diye jayenge.
  3. Jo shakhs muazzin ki jagah hi azan ke kalime kahega uske liye jannat hai.

  4. Aur Nabi-e-Kareem ﷺ (kabhi kabhaar) shahadar ke dono ke kalimon ke jawab mein sirf “wa ana” “wa ana” yani

“aur main bhi” “aur main bhi” farma diya karte.

Azan Ke Poora hone Ke Baad Kya Parhe?

Azan ke pura hone ke bad neeche azan ki dua jo ki durud shareef hai wo parhiye.

Maqam-e-Mahmood Kya Hai?

Is dua mein waseela maqam-e-mahmood se murad qayamat ke din Nabi-e-Kareem ﷺ ka maqam-e-shafa’at hai. Ap ﷺ do shafa’atein farmayenge. → Allahumma Inni As’aluka Al Afiyah Full Dua

Maqam-e-mahmood se murad jisko dene ka wada ALLAH Ta’ala ne Surah Bani-Israeel ki ayat #79 mein farmaya hai. Ye maqam-e-shafa’at hai.

  1. Shafa’ate Kubra- Ye aam logo ko qayamat ke din ALLAH ke ghazab se bachane ke liye hogi. Is shafa’at ke bad ALLAH ka ghussa thanda aur hisab kitab shuru ho jayega.
  2. Shafa’ate Sughra- Ye Apni ummat ke gunahgaron ko bakhshwane ya Jahannam ke azab se nijat dilane ke liye hogi.

Dua-e-Waseela ko pabandi ke sath parhna ek musalman ko shafa’at ka haqdar bana deta hai. Isliye is dua ko zarur parhna chahiye. Taki Nabi-e-Kareem ﷺ ki shafa’at naseeb ho.→ Khana Khane Ki Dua

-Idrees

अज़ान के बाद पढ़ी जाने वाली दु’आ हिंदी में 

azan ke baad ki dua hindi mein

अज़ान के बाद की दुआ का तरजुमा हिंदी में

ऐ अल्लाह! ऐ परवरदिगार!

बदले इस पुकार के जो मुकम्मल है और क़ायम होने वाली नमाज़ के, हज़रत मु’हम्मद ﷺ को वसीला और फ़ज़ीलत और बुलन्द दर्जा ‘अता फरमा और उनको खड़ा कर

मक़ाम-ए-महमूद में जिसका तूने उनसे वादा किया है और हमको क़यामत के दिन उनकी शफा’अत नसीब कर|

बेशक तू वादा ख़िलाफ़ी नहीं करता|

Call of The Prayer Line by Line Translation in English With Lyrics

O ALLAH! Lord of this perfect call

and of the regular prayer which is going to be established!

Kindly give Mu’hammad ﷺ the right of intercession and superiority

and send him to the best and the highest place in Paradise

which You promised him.

and bless us with his intercession on The Day of Resurrection

Indeed, you never neglect promises.

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *