Ayat-e-Sakina Ki Fazilat

Akhir Quran-e-pak mein ayat-e-sakina kaunsi hai? Aur inki fayde aur fazilat kya hai? Is post mein ayat e sakinah ke bare mein sabkuch tafseel se janiye.

Ayat-e-Sakina Kya Hai? Aur Uski 6 Hairat Angez Fazilat

Ayat e Sakina Ki Fazilat aur kya hai

Ayat e Sakina Ka Matlab Kya Hai?

Ayat-e-Sakina, Sakeenat wali ayaat ke naam se bhi jani aur pahchani jati hain. Sakeena ka matlab hai ‘sukoon dene wali’. Taham (halanki) in ayat ka mafhoom (matlab) hi sukoon dene wali ayaat hain. Zarur parhiye→ Surah Kausar Ki Tafseer Aur Fazilat

Quran Pak mein har marz ki shifa, har pareshani se nijat, har takleef ka ilaj aur har masle ka hal maujud hai. In khas ayaat ki tilawat beqarar dil ko qarar aur bechain rooh ko chain naseeb karti hai.

Ayat e Sakina Kya hoti hain?

Quran Pak ki kuch suraton ki khas ayaat ka majmooa (jama) jo ke niche pesh kiya gaya hai, ayat e sakina ke naam se jana jata hai.

وَقَالَ لَهُمۡ نَبِيُّهُمۡ اِنَّ اٰيَةَ مُلۡکِهٖۤ اَنۡ يَّاۡتِيَکُمُ التَّابُوۡتُ فِيۡهِ سَکِيۡنَةٌ مِّنۡ رَّبِّکُمۡ وَبَقِيَّةٌ مِّمَّا تَرَكَ اٰلُ مُوۡسٰى وَاٰلُ هٰرُوۡنَ تَحۡمِلُهُ الۡمَلٰٓٮِٕكَةُ‌ ؕ اِنَّ فِىۡ ذٰلِكَ لَاٰيَةً لَّـکُمۡ اِنۡ كُنۡتُمۡ مُّؤۡمِنِيۡنَ

Surah Baqarah, Ayat #248

ثُمَّ اَنۡزَلَ اللّٰهُ سَكِيۡنَـتَهٗ عَلٰى رَسُوۡلِهٖ وَعَلَى الۡمُؤۡمِنِيۡنَ وَاَنۡزَلَ جُنُوۡدًا لَّمۡ تَرَوۡهَا‌ۚ وَعَذَّبَ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا‌ؕ وَذٰلِكَ جَزَآءُ الۡـكٰفِرِيۡنَ‏

Surah At-Taubah, Ayat #26

فَاَنۡزَلَ اللّٰهُ سَكِيۡنَـتَهٗ عَلَيۡهِ وَاَيَّدَهٗ بِجُنُوۡدٍ لَّمۡ تَرَوۡهَا وَجَعَلَ كَلِمَةَ الَّذِيۡنَ كَفَرُوا السُّفۡلٰى‌ ؕ وَكَلِمَةُ اللّٰهِ هِىَ الۡعُلۡيَاؕ وَاللّٰهُ عَزِيۡزٌ حَكِيۡمٌ

Surah At-Taubah Ayat #40 ka aakhri hissa

هُوَ الَّذِىۡۤ اَنۡزَلَ السَّكِيۡنَةَ فِىۡ قُلُوۡبِ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ لِيَزۡدَادُوۡۤا اِيۡمَانًا مَّعَ اِيۡمَانِهِمۡ‌ ؕ وَلِلّٰهِ جُنُوۡدُ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضِ‌ؕ وَكَانَ اللّٰهُ عَلِيۡمًا حَكِيۡمًاۙ

Surah Al-Fath, Ayat #4

لَّـقَدۡ رَضِىَ اللّٰهُ عَنِ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ اِذۡ يُبَايِعُوۡنَكَ تَحۡتَ الشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِىۡ قُلُوۡبِهِمۡ فَاَنۡزَلَ السَّكِيۡنَةَ عَلَيۡهِمۡ وَاَثَابَهُمۡ فَتۡحًا قَرِيۡبًاۙ‏

Surah Al-Fath, Ayat #18

اِذۡ جَعَلَ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا فِىۡ قُلُوۡبِهِمُ الۡحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ الۡجَـاهِلِيَّةِ فَاَنۡزَلَ اللّٰهُ سَكِيۡنَـتَهٗ عَلٰى رَسُوۡلِهٖ وَعَلَى الۡمُؤۡمِنِيۡنَ وَاَلۡزَمَهُمۡ كَلِمَةَ التَّقۡوٰى وَ كَانُوۡۤا اَحَقَّ بِهَا وَاَهۡلَهَا‌ؕ وَكَانَ اللّٰهُ بِكُلِّ شَىۡءٍ عَلِيۡمًا

Surah Al-Fath, Ayat #26

Zarur parhiye

→ Naya Chand Dekhne Ki Dua

→ Aandhi Toofan Rokne Ki Dua

Ayat e Sakina Ki Fazilat/Fawaid

Benefits of Ayat-e-Sakina

Ayat e Sakina parhne ke beshumaar fazilat aur fayede hain, yahan 5 ka zikr hai:

  1. Har tarah ki mozi (khatarnaak) beemariyon se shifa pane ke liye ayat e sakina ka wird bahut mujarrab hai.
  2. Har mushkil aur pareshani se nijat pane ke liye ayat e sakina ki tilawat akseer (fayedah mand) hai.
  3. Rizq ke masail aur qarzajaat se nijat hasil karne ke liye ayat e sakina ki tilawat bahut madadgaar sabit hoti hai.
  4. Shadi ki bandish aur rukawat door karne ke liye ayat e sakina ka wazifa bahut taawwun (madad) karta hai.
  5. Dil ki bechaini/beqarari/besukooni se rahat pane ke liye ayat e sakina ka amal bahut mufeed hai.

Gharz ye ke kisi bhi bala, pareshani aur bad-hali mein in ayaat ka wird-e-khas kamal ka natija laata hai.

Parhna Mat Bhuliyega:

→ Barish Hone Ki Dua

→ Bijli Kadakne Ki Dua

Ibnul Qayyim Ra’hmatullah ‘Alayh Ki Zubani Ayat-e-Sakeena Ki Fazilat

Amraz (Bimariyan) Door Karne Ki Ayat-e-Sakina Ki Khas Fazilat

Ibnul Qayyim Ra’hmatullah ‘Alayh farmate hain:

Jab kabhi Shaikhul Islam Ibne Tameemah Ra’hmatullah ‘Alayh par mamalaat shiddat Ikhtiyaar kar lete (mushkilaat pesh aatin) to wo ayat e sakina ki tilawat farmate. Ek bar unhe ek hairat angez aur naqabil-e-faham waqeya unki beemari mein pesh aaya, jab shaitani arwaah (roohein) kamzori ki halat mein unpar ghalib aayen.

Maine unhe kahte suna, Wo farmate hain,

“Jab ye mamla zyadah zor pakad gaya to maine apne rishtedaaron aur ird gird ke logon se kaha,

“Ayat e sakina parho.”

Dil Ki Bechaini Door Karne Ki Ayat-e-Sakina Ki Khas Fazilat

Kahte hain,

“Phir meri ye kaifiyat khatm ho gayi, aur main uthkar baith gaya (theek ho gaya) aur mujhe koi beemari baqi na rahi.”

Isi tarah maine bhi iztaraab-e-qalb (dil ki bechaini) door karne ke liye in ayaat ki tilawat ka tajurba kiya. Aur haqeeqatan isme sukoon aur itminaan ke hawale se badi taaseer payi.

Sakeenat asal mein wo itminaan, waqqaar (izzat) aur sukoon hai jo ALLAH apne bande ke dil par us waqt utaarta hai jab wo shiddat-e-khauf ki wajah se lahaq iztaraab ke bawajood Usse khafa nahi hota. Aur isse uske imaan, quwwat-e-yaqeen aur musbat (sahee) soch mein izafa hota hai.

6. Khaufzada Ke Liye Ayat-e-Sakina Ki Fazilat

Ayat e Sakina parhne ke chhathi (6) fazilat

Yani jab insan behad khauf me ghira ho aur us waqt bhi ALLAH par tawakkal kare. Chahe khauf ki halat me bechaini urooj par pauhanch jaye. Tab bhi ALLAH se shikwa na kare, narazgi ka izhaar na kare, na ummeed na ho balki yaqeen ko aur mazboot kar le. Uske bechain dil ko qaraar mil jayega, insha ALLAH. Zarur parhiye→ Dua for Exam-Imtihan Mein Kamyabi ka Wazifa

Ayat-e-Sakeena Ka Wazifa Parhne Ka Khas Tareeqa

  1. Din bhar mein jab bhi wazifa parhne ka irada karen, khoob khush khuzu (achhe tareeqe) se wuzu bana lijiye.
  2. Poori Bismillah Shareef ek (1) martaba parhiye.
  3. Phir upar batlayi gayi ayaat ko ek sath mukammal parh lijiye.
  4. Parhte waqt apne maqsad ko zehan mein rakhiye.
  5. Wird mukammal karne ke bad dil ki gahraiyon se ALLAH Tabarak Wata ‘Ala se apni dili zarurat ko talb kijiye.
  6. Aap chahen to rozana ye amal parh sakte hain.

Insha ALLAH, ek (1) hi din ki parhayi se ye ayaat apna karishma dikhlayengi. Aapka maqsad zarur bar aayega (poora hoga).

Agar aapko ye post pasand aaya hai to apne qareebi pyare logon ke sath ise zarur share kijiye. Khud bhi istifaadah (fayedah) hasil kijiye aur apno ko bhi fayedah hasil karne ka mauqa dijiye.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

22 Comments on “Ayat-e-Sakina Ki Fazilat”

  1. Assalamu alaikum. WB.
    Mere ghar ko koi kirayedar nahi aa rahe hain. Koi wazifa bataiye koi Jald aajaye. Jazakallah.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *