Apni Tareef Sunne Ke Baad Ki Dua
Apni tareef sun kar dil bahut khush hota hai. Lekin haqiqat kya hai wo sirf ALLAH janta hai. Isliye apni tareef sunne ke baad ki dua ko zarur padhein aur ALLAH pak ka shukar ada karein.
Insan sab se zyada khush tab hota hai jab uski tareef ki jaye aur tareef bhi aisi jo dil ko bagh-bagh karde.
Halanke hamari asliyat jo sirf ALLAH paak janta hai, wo agar duniya ke samne aa jaye to log hamare pas khade hona bhi pasand nahi karenge. Yahan Surah Naas in Hindi dekhiye!
Ek tareef kisi ki khubsurti ki hoti hai. ALLAH jab kisi ko khubsurat banata hai tab log use dekh kar uski tareef karte hai. Is surat mein jiski tareef ho rahi ho use chahiye ke duaon ke zariye ALLAH paak ka khub shukar ada kare. Maine deen ki hi ek kitab mein ye parha tha ke jab koi apki tareef kare to aapko muskurana nahi chahiye. Ab ye kahan tak sahi hai ye to mujhe nahi malum lekin ye bat pate ki hai.
Kyunki yeh rang, kad, naak-naksh, akhein sab ALLAH paak ke taraf se nayab taufah hai. Shukar ki adayegi ke sath us khubsurti ki hifazat bhi karni chahiye. Aur sath mein apne jism ke har hisse ki hifazat kayni chahiye ke kahi apki khubsurti apke gunahon ki wajah na ban jaye.
Kabhi-kabhi koyi achha kaam karne ke baad dil-dimagh khud ki hi tarif karne lagta hai. Aise mein shaitani dimagh taqabbur mein daal deta hai, jo badtareen gunahon mein se ek gunah hai.
Aisi surat mein bhi duaon ke zariye ALLAH paak se taqabbur na ane ki karni chahiye.
Ek tareef apke achhe akhlaq ki hoti hai. Kisi ke kaam aa jana, kisi ke sath achha sulook karna, maa-baap ka farmabardar hona bhi tareef ki wajah hai. Isse bhi apki tareef is duniya mein hi nahi us duniya mein bhi hoti hogi.
Yakin janiye jab apki tareef duniya ke wo makhlooq karte hai jo ALLAH paak ke pyaren hai to ALLAH Azzawajal bhi apki tareef karte hai sath mein farishton ki majlis mein bhi apki tareef hoti hai.
Aur jab bhi apki tareef ho to niche di huyi ko padhna lazmi adat bana lijiye. Ta ke ALLAH paak apse razi ho kar apke un gunahon ko mu’af karde jo sirf Rabbul Alamin ke ilm mein hai. Aur usne logo se chhupaye rakhein hai. Yahan Nabeez Benefits in Hindi dekhiye!
Kuch log bina baat ke tareefon ke pul bandhne lagte hai. Sirf isliye ke ap usse khush ho jaye. To aise surat-e-haal mein bhi yeh dua padh sakte hai ta ke ALLAH paak apko us tareef se badh kar tareefon ke qabil bana den. Ameen
Apni Tareef Sunne Ke Bare Me Hadees
Aise logon ko tareef sunkar Aap ﷺ ne shakhs ko farmaya:
Hadees-e-Mubarika
Nabi kareem ﷺ ne suna ki ek shakhs dusre shakhs ki Tareef kar raha hai aur Tareef mein bahot Mubalgha se kaam le raha tha to,
Nabi Kareem ﷺ ne Farmaya:
“Tumne use halaak kar diya ya tumne us Shakhs ki kamar ko tod diya”.
Saheeh Al-Bukhari, no. 6060
Wazaahat: Aisi tareef karne walon ki jhuthhi tareef sun kar unse door bana leni chahiye.
Ya to wo aapko jhoothi tareef kar ke taane de rahe hai ya to phir aapko bila wajah chane ki jhhad par chadha raha hai.
Halanki uske bhi yeh maloom hai ke wo jhuth bol raha hai.
Is dua ko tarjume ke sath padhne se aap apne apko haqeer hi samjhenge, jhuthi tareefon se apne andar taqabbur ka ek qatra bhi ane na dijiye.
Hadees-e-Mubarikai
Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Jis ke dil mein rayi ke dane ke barabar bhi taqabbur hoga, wo Jannat mein nahi jayega”.
Saheeh Muslim, no. 266
ALLAH us haqiqat se achhi tarah se wakif hai. Jo un logo se chhupi huyi hai. Apke sagira-kabira gunahon ki puri list ALLAH Ta’ala ke pas hai. Jo shayad ap bhi bhul gaye honge. Yahan Dua e Masura in Hindi dekhiye!
Isliye ALLAH paak se niche di huyi dua ke zariye apni un gunahon ke pakad se panah mang sakte hai.
To jab bhi apni tareef sune to ALLAH Azzawajal ka shukar zarur ada karein.
Apni Tareef Sunne Ke Baad Ki Dua Ki Hadees
Hadees-e-Mubarika
“Hazrat Adi Ibn Arta R. A. se riwayat hai Rasool ALLAH ﷺ ke Sahaba R. A. mein se agar kisi ki Tareef ki jati to wo yeh dua padhte”.
#Dua
“اللَّهُمَّ لاَ تُؤَاخِذْنِي بِمَا يَقُولُونَ، وَاغْفِرْ لِي مَا لا يَعْلَمُونَ”
“ALLAHumma Laa Tu-Aa khiz-nee Bima Ya Qu-Loona, wagh-fir lee Ma Laa Y’aaLamoon”.
“Oh Allah Do not take me to account for what they say and forgive me for what they do not know”.
“Ae ALLAH! Yeh Log jo Mere bare mein kahte Hain (Yani Tareef karte hain) us par Meri Ghiraft na Farma aur Mere wo Gunah bhi Baksh De jinka Yeh Log abhi iLm naHi Rakhte”.
Al-Adab, Al-Mufrad, Imaam Al-Bukhari no. 761
Tareef Sunne Ki Dua Padhne Ka Tareeqa
Jab bhi apni tareef sune to padh lijiye. Agar apke mann mein khud ki tareef ka khyal aye to bhi padh sakte hai. Lekin tareef karne ki aisi koi khas dua mujhe hadees mein nahi mili.
Lekin behtareen insan wo hai khud ko haqeer samajh kar ALLAH pak ke makhlooqon ke sath behtareen akhlaq se pesh aye, isse ALLAH Azzawajal apse zarur razi hoga. Insha ALLAH.
Hamari post pasand ayi ho to, sawab ki niyyat se is dua ko apne pyaron se zarur share karein!
अपनी तारीफ सुनने के बाद की दुआ
अपनी तारीफ सुन कर दिल बहुत खुश होता है। लेकिन हक़ीक़त क्या है वो सिर्फ अल्लाह पाक जानता है। इसलिए अपनी तारीफ सुनने के बाद की दुआ को ज़रूर पढ़ें और अल्लाह पाक का शुकर अदा करें। यहाँ→ ALLAH Ke 99 Naam देखिए|
इंसान सबसे ज़्यादा खुश तब होता है जब उसकी तारीफ की जाये और तारीफ भी ऐसी जो दिल को बाग़-बाग़ करदे।
हालांकि हमारी असलियत जो सिर्फ अल्लाह पाक जनता है, वो अगर दुनिया के सामने आ जाये तो लोग हमारे पास खड़े होना भी पसंद नही करेंगे।
तारीफ बहुत तरह के होते हैं। एक तारीफ किसी की खुबसुरती की होती है। अल्लाह त’आला जब किसी को खूबसूरत बनाता है तो लोग उसे देख कर उसकी तारीफ करते है। इस सूरत में जिसकी तारीफ हो रही हो उस चाहिए के दु’आओं के जरिये अल्लाह पाक का खूब शुकर अदा करें।
क्योंकि यह रंग, रूप, कद, नाक-नक्ष, आँखें सब अल्लाह पाक के तरफ से नायाब तौफ़ह है। शुकर की अदायेगी के साथ इस खुबसुरती की हीफाज़त भी करनी चाहिए। और साथ में अपने जिस्म के हर हिस्से की हीफाज़त करनी चाहिए के कही आपकी खुबसुरती आपके गुनाहों की वजह न बन जाये।
कभी-कभी कोई अच्छा काम करने के बाद दिल-दिमाग खुद की ही तारीफ करने लगता है। ऐसे में शैतान तक़ब्बुर में डाल देता है, जो बद तरीन गुनाह में से एक गुनाह है।
ऐसी सूरत में भी दुआओं के जरिये अल्लाह पाक से तक़ब्बुर न आने की दुआ करनी चाहिये।
एक तारीफ आपके अच्छे अख़लाक़ की होती है। किसी के काम आ जाना, किसी के साथ अच्छा सुलूक करना, माँ-बाप का फरमा-बरदार होना भी तारीफ की वजह है।
इससे भी आपकी तारीफ इस दुनिया में ही नही उस दुनिया में भी होती होगी।
यकीन मानिये जब आपकी तारीफ दुनिया के वो मख़लुक़ करते है जो अल्लाह पाक के प्यरें है तो अल्लाह अज़्ज़ावजल भी आपकी तारीफ करते है साथ में फरिश्तों की मजलिस में भी आपकी तारीफ होती ही होगी। यहाँ→Surah Kahf in Hindi देखिए|
और जब भी आपकी तारीफ हो तो नीचे दी हुई दुआ को पढ़ना लाज़मी आदत बना लीजिये। ता के अल्लाह पाक आपसे राज़ी हो कर आपके उन गुनाहों को माफ करदे जो सिर्फ रब्बुल अलामीन के इल्म में है। और उसने लोगों से छुपाये रखें है।
कुछ लोग बिना बात के तारीफों के पुल बंधने लगते है। सिर्फ इसलिए के उससे खुश हो जाये। तो ऐसे सूरत-ए-हाल में भी यह दुआ पढ़ सकते है ता के अल्लाह पाक आपको उस तारीफ से बढ़ कर तारीफों के क़ाबिल बाद। आमीन|
अपनी ता’अरीफ़ सुनने के बारे में हदीस में क्या है?
ऐसे लोगों को तारीफ करते सुनकर आप ने उस शख्स से फरमाया:
हदीस-ए-मुबारीका
नबी करीम ﷺ ने सुना की एक शख्स दूसरे शख्स की तारीफ में बहुत मुग़ालबा से काम ले रहा था तो,
आप ﷺ ने फरमाया:
“तुमने उसे हलाक कर दिया या तुमने उस शख्स की कमर को तोड़ दिया”।
सहीह अल-बुखारी, न. 6060
बाज़ाहत: ऐसी तारीफ करने वालों की झूठी तारीफ सुन कर उनसे दूरी बना लेनी चाहिये।
या तो वो आपको झूठी तारीफ कर के ताने दे रहा है या तो फिर आपको बिला वजह चने की झाड़ पर चढ़ा रहा है।
हलांकी उसके भी यह मालूम है के वो झूठ बोल रहा है।
इस दुआ को तरजुमे के साथ पढ़ने से आप अपने आपको हक़ीर ही समझेंगे, झूठी तारीफों से अपने अंदर तक़ब्बुर का एक क़तरा भी आने ना दीजिये।
हदीस-ए-मुबारिका
रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया:
” जिस के दिल में राई के दाने के बराबर भी तक़ब्बुर होगा, वो जन्नत में नही जायेगा”।
सहीह मुस्लिम, न. 266
अल्लाह उस हक़ीक़त से अच्छी तरह से वाक़िफ़ है। जो उन लोगों से छुपी है। आपके सगीरा-कबीरा गुनाहों की पूरी लिस्ट अल्लाह त’आला के पास है। जो शायद आप भी भूल गये होंगे। यहाँ→Bidat Kya Hai? देखिए|
इसलिए अल्लाह पाक से नीचे दी हुई दुआ के जरिये अपनी उन गुनाहों के पकड़ से पनाह मांग सकते है।
तो जब भी अपनी तारीफ सुने तो अल्लाह अज़्ज़ावजल का शुकर ज़रूर अदा करें।
अपनी तारीफ सुनने के बाद की दुआ हदीस में
हदीस-ए-मुबारिका
“हज़रत आदि इब्न अर्ता र. अ. से रिवायत है के रसूल अल्लाह ﷺ के सहाबा र. अ. में से अगर किसी की तारीफ की जाती तो वो यह दुआ पढ़ते”।
#दुआ
“اللَّهُمَّ لاَ تُؤَاخِذْنِي بِمَا يَقُولُونَ، وَاغْفِرْ لِي مَا لا يَعْلَمُونَ”
” ऐ अल्लाह यह लोग जो मेरे बारे में कहते हैं (यानी तारीफ करते हैं) उस पर मेरी गिरफ्त न फरमा और मेरे वो गुनाह भी बख़्श दे जिनकी ये लोग अभी इल्म नही रखते”।
अल-अदब, अल-मुफराद, इमाम अल-बुखारी न. 761
दुआ पढ़ने का तरीक़ा
जब भी अपनी तारीफ सुने तो पढ़ लीजिये। अगर आपके मन में खुद की तारीफ का ख़्याल आये तो भी पढ़ सकते है।
लेकिन बेहतरीन इंसान वो है जो खुद को हक़ीर समझे, इससे अल्लाह सुभानहु व त’आला ज़रूर राज़ी होगा। इंशा अल्लाह
हमारी पोस्ट पसंद आई हो तो, सवाब की निय्यत से इस पोस्ट को अपने प्यारों से ज़रूर शेयर करें।
Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.
अपने प्यारों से शेयर कर सवाब-ए-जारिया ज़रूर कमायें|
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in