Read this Allahumma Inni As’aluka Al Afiyah Full Dua from Hadith in Arabic, English, and Hindi with detailed translations in other languages.→ Corona Virus Ki Dua
Allahumma Inni As’aluka Al Afiyah Full Dua in Arabic
Dua In Arabic, Roman English And Hindi With Translation/Meaning in English, Roman English, Hindi And Urdu
ALLAHumma Inni As-alukal ‘Afwa Wal-‘afiyah Fid-Dunya Wal-A’khirah
O ALLAH! I ask you for forgiveness and well-being in this world and hereafter.
ya ALLAH! Main aapse bakhshish aur ‘afiyat mangta hoon is duniya aur akhirat mein.
اے اللّٰه! بے شک میں آپ سے دنیا اور آخرت کی عافیت اور بخشش مانگتا ہوں۔
Jam’i At-Tirmizi | Vol. #6 | Book #48 | Hadith : 145
जामि’अ अत-तिर्मिज़ी | वोल. #6 | बुक #48 | हदीस : 145
What Is ‘Afiyah In Islam?
The word aafiyah originates from the Arabic words ‘afaa and ‘afoo. That means safety, protection, peace, freedom from illness, good health, well-being and much more.→ Dua for Travelling in Quran
It also means being protected from any problem, worries, calamity, and adversity. Simply, to remain entirely in ALLAH’s protection is known as aafiya in Islam.
Basically, aafiyah can be meant in two ways:
- Religiously Aafiya (Well-being)
- Worldly Aafiya (Well-being)
Religiously Well-being
This means to stay away from all the sins and activities which are forbidden in Islam. Entirely turn towards ALLAH The Almighty by defeating all the devil’s whispers.→ Wazifa for Hajat in 1 Day-Emergency Dua from Quran
Worldly Well-being
This means to remain safe in all the aspects/matters/affairs of life. Getting safety from all the sufferings, distress, troubles, tribulations, diseases, financial difficulties, and misfortune.→ Exam Wazifa Islamic Success
Benefits/Importance Of Dua ALLAHumma Inni As’aluka Al Afiyah
Afiyah (goodness) in this world and in the afterlife is the second great thing granted to a human being after the belief of oneness of ALLAH.
Our Beloved Prophet Mu’hammad ﷺ used to ask Afiyah from ALLAH The Gracious. He gave these teachings to His family as well.
In The Light Of Hadith Shareef
Narrate that Ibn ‘Umar said: Prophet Mu’hammad ﷺ never skip reciting these supplications.
He ﷺ always recite these supplications in the morning and in the evening
ALLAHumma inni as’alukal-‘afwa wal-‘afiyah Fiddunya wal-Akhirah.
ALLAHumma inni as’alukal-‘afwa wal-‘afiyah fi deeni wa-dunyaya wa-ahli wa-mali.
ALLAHummastur ‘Awrati, wa-amin raw-’ati wahfaznee min baynee yadayya, wa-min khalfi, wa-‘an yameeni wa-‘an shimaali, wa-min fawqee, wa-aa’uzu bika an ughtala min tahtee
English Translation: O ALLAH, Cover my weakness and ease my fear. O ALLAH, Protect me from in front of me and behind me, from my right and left sides, and from above me; and I seek refuge in your greatness that I may be attacked from underneath me.
Recorded by Abu Daawood, An-Nasai, and others. Al-Albany
→ Dua For Fear Of Something Bad Happening
Saheeh (Darussalam) Reference: Book #34, Hadith #45
Furthermore, in another Hadith Abdulillah narrated Ibn ‘Umar that Prophet Mu’hammad ﷺ never skipped these supplications.
He always keep reciting these supplications every morning and in the evening.
Saheeh (Al-Albani) Reference: Book #43, Hadith #302
“If one of you sees someone who is in the midst of tested (by ALLAH) then recite this:
Al’hamdulilllaah-allazee ‘Aafaanee Mimma-btalaaka Bihi Wa-Fazzalanee ‘Alaa Kaseerin Mimman-Khalaqa Tafdeelaa
All Praise is due to ALLAH Who saved me from that which HE has afflicted you with, and blessed me greatly over many of those whom HE has created.
then you have thanked for that blessing.”
If ALLAH wills, the one will not get into that affliction lifetime.
→ Sayyidul Astaghfar Ki Dua In Hadees
At-Tabrani, 729, Hassan Al-Bayhaqqi, 472 Hassan
#555, Saheeh al-Jaami as-Sagheer wa Ziyaadatuh
Al-Abbas Ibn Abdul Muttalib (May ALLAH be pleased with him), the Uncle of The Prophet Mu’hammad ﷺ, came to the Prophet Mu’hammad ﷺ and said:
“ya Rasool ALLAH ﷺ, teach me a supplication.”
The Prophet Mu’hammad ﷺ said:
“O my Uncle, ask ALLAH for safety.”
“ALLAHumma Inni As-alukal ‘Aafiyah”
Al-Abbas (May ALLAH be pleased with him) waited for some days and then came back again and asked The Messenger of ALLAH ﷺ:
“Teach me to supplicate something from ALLAH.”
The Messenger of ALLAH ﷺ said:
“My dear uncle! Ask ALLAH for forgiveness and well-being in this life and in the hereafter.”
ALLAHumma Inni As-alukal ‘Afwa Wal-‘afiyah Fid-Dunya Wal-A’khirah
Saheeh Al-Albani
Arabic Reference : Book 1, Hadith 726
Sayyidina Ma’az Bin Rafa’ah reported from his father.
One day, Hazrat Abu Bakar Siddeeq RadiALLAHU Anhu started crying while standing on the pulpit and said.
The Messenger of ALLAH ﷺ stood on the very first year of His migration and said.
“Beseech ALLAH for aafiyah as there is no great blessing other than aafiyah bestowed upon a human being after faith and belief.
(Jam’i At-Tirmizi)
→ All Chahal 40 Rabbana from Quran Dua Fazail & Benefits
How Many Times One Should Read This Dua?
This is a very virtuous dua for this world and the afterlife too. Make a routine of reciting this dua while walking, sitting, standing and even working. → Powerful Duas for Forgiveness of Sins in Islam
There is no fixed number of amount to read this dua. One should read this as much as one can. Better in the state of purity. The best is to read it in the state of ablution.→ Dua for Debt Repayment
If ALLAH Wills this small dua will impart immense virtue to the reciter.
Recommend it to your family members, friend, and knowns and let them avail the virtues of this tremendous dua.
-
Worldy problems will be ward off.
-
Difficulties and hardships will be removed.
-
Get a cure from every disease.
-
The abundance of provision during the scarcity.→ Surah Al Imran Ayat 31 For Love Marriage
-
Peace, satisfaction, and prosperity during the entire lifetime.
- Safety and security will always be there.
-
The one will be safeguarded from the accidents.
- Will always be prevented from sudden calamities and troubles
-
Blessings (sacraments) in the house
- He/she will be safeguarded from the cruel enemies from his exploitation, oppression, and wrongdoings.
Note: Females can also read this dua during their menses/periods.
Aafiyat Se Kya Murad Hai?
Roman English
Aafiyat Arbi zuban ke alfaaz ‘afaa aur ‘afoo se nikla hai jiska matlab hai salamti, bachaw, itminaan, tahaffuz, tandrusti, sukoon, khairiyat aur bhalayi.→ Sone Se Pahle ki Dua | Achi Neend Ke Liye Amal
Har musibat, pareshani, bala aur afat se hifazat me rahne ka dusra naam aafiyat hai. Aasan lafzon me har tarah se mukammal ALLAH ki panah aur hifazat me rahne ko aafiyat kaha jata hai.→ Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal
Aafiyat buniyadi taur par do tarah ki hoti hai.
- Deeni aafiyat
- Duniyawi aafiyat
Deeni Aafiyat
Isse murad har tarah k gunaho aur haram kamo se parhez hai. Shaitani wasaawas se nimat kar kulli taur par (mukammal taur par) ALLAH ki taraf raghbat (ruju) karna hai.→ Musibat Ke Waqt Ki Dua
Duniyawi aafiyat
Isse murad duniya ke har mamle me aafiyat (hifazat) hai. Yani har musibat, masaib, mushkilaat, bimariyon, maali aur nagahaani afat se hifazat hai.→ Maa Baap Ko Shadi K Liye Razi Karne Ki Dua
Allahumma Inni As’aluka Al Afiyah Dua Ki Fazeelat/Fayede
Tauheed ke bad insan ko is duniya me jo nemat-e-azeem (badi nemat) ata ki gayi hai, wo deen aur duniya ki aafiyat hai.
Hamare Pyare Nabi Kareem ﷺ din raat ALLAH Ta’ala se aafiyat mangte the aur apne khandan ko bhi iski takeed karte the.
Hadees Shareef Ki Roshni Mein
Janab Abdullah bin Umar R.A. se Sunan Abi Dawood aur Sunan ibn-e-Maajah mai in se riwayat hai ke Rasoolullah SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim in kalmaat ko subah-o-sham ko adaa karna nahi bhoolte the.
Ya ALLAH mai tujh se apne deen-o-duniya, ahal aur maal mai afoo aur ‘Aafiyat ka sawaal karta hoon. Ya ALLAH mere gunahon par pardah rakh aur mujhe apne gham aur khauf se aman mai rakh. Ya ALLAH mujhe apne samne se aur peeche se aur dayen, bayen aur upar se hifazat mai rakh aur mai teri azmat ke wastay se teri panah chahta hoon ke mai apne neeche se (kisi musibat mai) mubtila kia jaun.
Tashreeh (Tafseel)
Is dua mai Aap SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne ALLAH Ta’ala se duniya-o-akhirat mai ‘Aafiyat ke sawaal se ibtida ki hai aur ‘Aafiyat ke barabar koi cheez nahi ho sakti aur jis ko duniya-o-akhirat mai ‘Aafiyat mili usse khair se mukammal hissa mil gaya.
Imam Tirmeezi R.A. ne apni sunan mein Janab Abbas bin Abdul Mutallib R.A. se riwayat kia hai ke mai ne kaha:
“Ae ALLAH ke Rasool SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim mujhe aisi cheez sikhlaen jis ka mai ALLAH Ta’ala se sawaal karun?
Farmaya: ALLAH se afiyat ka sawaal karo, phir kuch din guzre. Aur mai Aap SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ke paas aya aur kaha: Ae ALLAH ke Rasool SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim mujhe aisi cheez sikhlaen jis ka mai ALLAH Ta’ala se sawaal karun?
Aap SallALLAHu Alaihe Wasallim ne farmaya: “Ae Abbas! ALLAH ke Rasool ke chacha, ALLAH Ta’ala se duniya-o-akhirat mai ‘aafiyat ka sawaal karo”.
Musnad Ahmed aur Sunan tirmeezi mai Janab Abu Bakar Siddiq R.A. se riwayat hai ke Rasoolullah SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne farmaya: ” ALLAH Ta’ala se ‘ufuw (mu’afi) aur ‘Aafiyat mango, kyun ke kisi bhi shakhs ko yaqeen ke baad ‘Aafiyat se behtar koi cheez nahi milegi”.
● Gunahon ko mitana aur un par pardah rakhna. Zarur dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua
● Is ka ma’ani hai ALLAH Ta’ala ki taraf se banday ko har musibat, saza aur ibtila-o-azmaish se aman mai rakhna. Is tarah ke is se burai ko door karde aur is ko masaib aur bimariyon se bachaye aur sharoor aur gunahon se hifazat mai rakhe.
Is dua mai Rasoolullah SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne duniya-o-akhirat, deen aur ahal-o-maal mai ‘Aafiyat ka sawaal kia hai.
Deen mai ‘Aafiyat se murad har us cheez se bachao talab karna hai, jo insaan ki deendari ko kharab kare aur us mai rukawat bane aur duniya mai ‘Aafiyat ka matlab yeh hai ke har us cheez se bachao talab karna jo banday ko us ki duniya mai zarar puhanchaye. Maslan musibat, azmaish aur nuqsan wagairah. Zarur dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua
Aur akhirat mai ‘Aafiyat se murad akhirat ki haulnakiyon aur shiddaton aur jo is ke andar ‘azaab ki iqsaam hainun se bachao talab karna hai. Aur ahal mai ‘Aafiyat se murad yeh hai ke unhe fitan aur azmaish aur ibtila se panah mile. Aur maal mai ‘Aafiyat se murad yeh hai ke Rabb Ta’ala usse gark hone, jalne ya chori wagairah se talf hone se mehfooz rakhe.
Isi tarah ALLAH Ta’ala usse gark hone, jalne ya chori wagairah se talf hone se mehfooz rakhe. Isi tarah Aap SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne sari mozi awariz aur khatrat se hifazat ka sawal kia hai.
ALLAH Ta’ala usse gark hone, jalne ya chori wagairah se talf hone se mehfooz rakhe. Isi tarah Aap SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne sari mozi awariz aur khatrat se hifazat ka sawal kia hai.
Yani mere ‘Ayub aur nuqs par aur har wo cheezjis ka izhaar mujhe bura zahir karde, us par pardah rakh. Us mai sharamgah ka dhanpna bhi dakhil hai. Zarur dekhiye→ Surma Lagane Ki Dua
Mard ki sharamgah naaf se lekar ghutno tak hai. Aur ‘Aurat ka sara badan dhanpne ki cheez hai aur ‘Aurat ke liye zaroori hai ke wo is dua ko hameshgi ke sath ada kare. Khas tor par us waqt jabke duniya mai har jagah ‘Aurat ki be-hurmati ho rahi hai.
Aur wo satr-o-hijab ka koi khayal nahi rakh rahi. Koi bazu nanga kar rahi hai, to koi pindli, koi seena khole hui hai, to koi gardan. Aur dusri ‘Aurten wo kuch kar rahi hain jo ke is se bhi barh kar qabeeh hai. Is haal mai ba ‘Ifat aur ba-abru musalman ‘Aurat is sari ‘Aryaniyon aur be-hayaiun se bachti hai, aur hamesha ALLAH Ta’ala se dua karti hai ke usse fitan se mehfooz rakhe. Aur usse apni sharamgah aur jism dhanpne ki tofeeq ‘Inayat farmaye.
Aman se hai. Jo ke khauf ka Raw’at aur ru’at ki jama hai.
Jis ka ma’ani khauf aur gham-o-pareshani hai. Is dua mai ALLAH Ta’ala se sawal kia gaya hai ke usse har us cheez se bachaye jo usse khaufzadah kare, ya ghamgeen aur pareshan kare aur Ro’at ke Sabga jam’a ke andar is ki kasrat aur ziyadat-e-aqsam ki taraf isharah hai.
“Is mai ALLAH Ta’ala se halakat khez ashiya aur in shuroor se bachao ka sawal kia gaya hai jo ke insaan ko chey atraaf se pesh aate hain kyunke shar aur musibat samne, peeche, dayen, bayen, upar aur neeche se aati hai. Aur insaan ko pata hi nahi chalta ke konsi taraf se shar aur bala ne usse aa pakra hai. Zarur dekhiye→ Qabr Ke Azab Se Bachne Ki Dua
Is liye Aap SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne Rabb Ta’ala se sawal kia hai ke usse har taraf se hifazat mai rakhe. Phir sab se bara shar shaitan ka hai ke jis se hifazat ki insaan ko ashad zaroorat rehti hai. Kyunke shaitan insaan ke liye har waqt masaib ke intezar mai rehta hai. Aur us ke samne, peeche, dayen aur bayen se ata hai. Taake usse musibaton mai phansa de, aur usze ibtila aur halakat ki taraf dhakel de. Aur usse khair aur istikamat ke raste se door kare. Jis tarah us ne da’awa kia hai.
Bayan karte hai ke Ibn ‘Umar ne kaha: Huzur ﷺ ne ye duayein kabhi tark nahi ki.
Yani in duaon ko har subah aur sham rozana parhna kabhi nahi chhorha.
ALLAHumma inni as’alukal-‘afwa wal-‘afiyah Fiddunya wal-Akhirah.
ALLAHumma inni as’alukal-‘afwa wal-‘afiyah fi deeni wa-dunyaya wa-ahli wa-mali.
ALLAHummastur ‘Awrati, wa-amin raw-’ati wahfaznee min baynee yadayya, wa-min khalfi, wa-‘an yameeni wa-‘an shimaali, wa-min fawqee, wa-aa’uzu bika an ughtala min tahtee
Saheeh (Darussalam) Hawala: Book #34, Hadees #45
Ek aur Hadees-e-Mubarika mein Abdullah ibn ‘Umar bayan karte hai ke Huzur ﷺ ne ye duayein kabhi tark nahi ki yani in duaon ko har subah aur sham parhna kabhi nahi chhorte the.
Saheeh (Al-Albani) Hawala: Book #43, Hadees #302
Agar tumme se koi kisi ko aazmaish ki ghadi mein paye (ALLAH use aazmaye) to kaho:
Al’hamdulilllaah-allazee ‘Aafaanee Mimma-btalaaka Bihi Wa-Fazzalanee ‘Alaa Kaseerin Mimman-Khalaqa Tafdeelaa
All Praise is due to ALLAH Who saved me from that which HE has afflicted you with, and blessed me greatly over many of those whom HE has created.
Tamam tareefein ALLAH hi ke liye hai JISNE meri usse hifazat ki jis (pareshani) me tum mubtila ho, aur mujhpar raham ata farmaya un sab me se jinhe USNE paida kiya.
To wo shakhs us musibat mein kabhi mubtila na hoga.
At-Tabrani, 729, Hassan Al-Bayhaqqi, 472 Hassan
#555, Saheeh al-Jaami as-Sagheer wa Ziyaadatuh
Rasool ALLAH ﷺ ke Chacha Hazrat Abbas Ibn Abdul Muttalib RadiALLAHU Anhu se riwayat hai.
“Main Rasool ALLAH ﷺ ke pas aaya aur kaha:
Mujhe koi aisi baat batayen jiske sath main ALLAH se dua mangun.”
Aap ﷺ ne farmaya:
“ALLAH se aafiyat ka sawal karen.”
Hazrat Abbas RadiALLAHU Anhu farmate hain ke kuch din bad main phir Aap ﷺ ke pas aaya.
Phir maine kaha:
“Mujhe koi aisi dua batayen jiske sath main ALLAH se dua mangun.”
Aap ﷺ ne farmaya:
“Ae Mere Chacha (Abbas)! ALLAH se duniya aur aakhirat dono ke liye aafiyat mangiye.”
Sayyidina Ma’az Bin Rafa’ah RadiALLAHU Anhu ne apne walid se riwayat ki hai:
Ek din Abu Bakar Siddeeq RadiALLAHU Anhu ne minbar par khade hokar rona shuru kar diya aur farmaya:
Rasool ALLAH ﷺ hijrat ke pahle saal minbar par khade hue aur irshad farmaya:
“ALLAH se aafiyat ka sawal karo, kyunke iman-o-yaqeen ke bad aafiyat se badi nemat kisi bande ko nahi ata ki gayi.
(Jam’i At-Tirmizi)
Kitni Bar Ye Dua Parhni Hai?
Ye dua duniya aur aakhirat dono ki bhalayi ke liye afzal dua hai. Is dua ko zyada se zyada parhiye. Paki ki halat mein ya phir pak saf aur wuzu ki halat mein parhna bada hi afzal hai. Chalte phirte uthte baithte parhne ka mamul bana lijiye.
Insha ALLAH, is chhoti si dua ke bade faiz hai. Tamam ghar ke afrad yani ghar walon ko ise rozana parhne ka mamool banane ke liye kahiye aur niche di gayi fazilat aur inse bhi badhkar fawaid-o-fazail hasil honge.
-
Duniyawi tamam pareshaniyon se nijat milegi.
-
Mushkilaat aur masaib ka khatma hoga.
-
Har tarah ki beemari se shifa milegi.
-
Tangdasti me rizq ki aamad hogi.
-
Gharz ye ke, aapki zindagi aur ghar me sukoon hi sukoon aur na khatm hone wali khush haaliyan aa jayengi, Aameen.
- Aman-o-Aamaan mein rahoge.
-
Achanak ki aafat aur achanak ke haadson se mahfooz rahoge.
- Nagahani aafat us par kabhi na ayegi.
-
Khair-o-barkat aur kashaish ki barish hogi.
- Zaalim ke zulm se panah mein rahoge.
Ghaur Talab: Khawateen ye dua haiz/maahwari/ayyaam me bhi parh sakti hain.
अल्लाहुम्मा इन्नी अस-अलुकल ‘आफ़ियाह फिद्दुनिया वल आख़िराह
‘आफियत से क्या मुराद है?
‘आफियत ‘अरबी ज़ुबान के अल्फ़ाज़ ‘अफ़ा और ‘अफू से निकला है जिसका मतलब है सलामती, बचाव, ‘इतमीनान, तहफ्फुज़, तंदुरुस्ती, सुकून, ख़ैरियत और भलाई|→ ला ‘हवला वला क़ुव्वता का वज़ीफ़ा
हर मुसीबत, परेशानी, बला और आफ़त से हिफ़ाज़त मे रहने का दूसरा नाम आफियत है| आसान लफ़्ज़ों मे हर तरह से मुकम्मल तौर पर अल्लाह की पनाह और हिफ़ाज़त मे रहने को आफियत कहा जाता है|→ दूल्हा दुल्हन के लिए दुआ
आफियत बुनियादी तौर पर दो तरह की होती है|
- दीनी आफियत
- दुनियावी आफियत
दीनी ‘आफियत
इससे मुराद हर तरह क गुनाहो और हराम कामो से परहेज़ है| शैतानी वासावस से निमत कर कुल्ली तौर पर (मुकम्मल तौर पर) अल्लाह की तरफ रग़बत (रूजू) करना है|→ मनपसंद रिश्ते के लिए तावीज़
दुनियावी ‘आफियत
इससे मुराद दुनिया के हर मामले मे ‘आफियत (हिफ़ाज़त) है| यानी हर मुसीबत, मसाइब, मुश्किलात, बीमारियों, माली और नागहानी आफ़त से हिफ़ाज़त है|→ दुरुद-ए-पाक का वज़ीफ़ा
अल्लहुम्मा इननी अस’अलुका अल ‘आफियाह दुआ की फ़ज़ीलत/फायदे
तौहीद के बाद इंसान को इस दुनिया मे जो नेमत-ए-अज़ीम (बड़ी नेमत) ‘अता की गयी है, वो दीं और दुनिया की आफियत है|
हमारे प्यारे नबी करीम ﷺ दिन रात अल्लाह त’आला से ‘आफियत माँगते थे और अपने ख़ानदान को भी इसकी ताकीद करते थे|
हदीस शरीफ की रोशनी में
बयान करते है के इब्न ‘उमर ने कहा: हुज़ूर ﷺ ने ये दुआएं कभी तर्क नही की|
यानी इन दुआओं को हर सुबह और शाम रोज़ाना पढ़ना कभी नही छोड़ा|
अल्लाहुम्मा इन्नी अस’अलुकल ‘अफ़वा वल ‘आफियाह फिद्दुनिया वल आख़िराह
अल्लाहुम्मा इन्नी अस’अलुकल ‘अफ़वा वल वल ‘आफियाह फ़ी दीनी व दुनियाया व अहली व माली
अल्लाहुम्मस्तुर अवरति व मिन रव अति वह फ़ज़नी मिन बयनी यदय्या, व मिन ख़ल्फी, व अन यमीनी, व अन शिमाली, व मिन फ़वक़ी, व-आ’ऊज़ु बिका अन उग़-तला तहती
सहीह: (दरुस्सलाम) हवाला: किताब #34, हदीस #45
→ व इलाहुकुम इलाहुंव वाहिदुन हदीस में दुआ
एक और हदीस-ए-मुबारिका में अब्दुल्लाह इब्न ‘उमर बयान करते है के हुज़ूर ﷺ ने ये दुआएं कभी तर्क नही की यानी इन दुआओं को हर सुबह और शाम पढ़ना कभी नही छोड़ते थे|
सहीह: (अल-अल्बानी) हवाला: किताब #43, हदीस #302
अगर तुममे से कोई किसी को आज़माइश की घड़ी में पाए (अल्लाह उसे आज़माए) तो कहो:
अल्हम्दुलिल्लाहल्लज़ी ‘आफ़ानी मिम्मब तलाका बिही व फ़ज्ज़लनी ‘अला कसीरिन मिम्मन ख़-ल-क़ा तफ्दीला
तमाम तारीफें अल्लाह ही के लिए है जिसने मेरी उससे हिफ़ाज़त की जिस (परेशानी) मे तुम मुबतिला हो, और मुझपर रहम अता फरमाया उन सब में से जिन्हे उसने पैदा किया|
तो वो शख़्स उस मुसीबत में कभी मुबतिला ना होगा|
अत-तबरानी, 729, हसन अल-बयहक़्क़ी, 472 हसन
#555, सहीह: अल-जामी अस-सग़ीर वा ज़ियादतुह
रसूल अल्लाह ﷺ के चचा हज़रत अब्बास इब्न अब्दुल मुताल्लिब ऱदि अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है:
“मैं रसूल अल्लाह ﷺ के पास आया और कहा:
“मुझे कोई ऐसी बात बताएँ जिसके साथ मैं अल्लाह से दुआ माँगूँ”
आप ﷺ ने फरमाया:
“अल्लाह से आफियत का सवाल करें”
हज़रत अब्बास ऱदि अल्लाहु ‘अन्हु फरमाते हैं के कुछ दिन बाद मैं फिर आप ﷺ के पास आया|
फिर मैने कहा:
“मुझे कोई ऐसी दुआ बताएँ जिसके साथ मैं अल्लाह से दुआ माँगूँ”
आप ﷺ ने फरमाया:
“ऐ मेरे चचा (अब्बास)! अल्लाह से दुनिया और आख़िरत दोनो के लिए आफियत मांगिए”
सय्यिदिना म’आज़ बिन रफ़’आह ऱदि अल्लाहु ‘अन्हु ने अपने वॉलीड से रिवायत की है:
एक दिन अबू बकर सिद्दीक़ ऱदि अल्लाहु ‘अन्हु ने मिंबर पर खड़े होकर रोना शुरू कर दिया और फरमाया:
रसूल अल्लाह ﷺ हिजरत के पहले साल मिंबर पर खड़े हुए और इरशाद फरमाया:
“अल्लाह से आफियत का सवाल करो, क्यूंके ईमान-ओ-यक़ीन के बाद ‘आफियत से बड़ी ने’अ-मत को ‘अता की गई”
(जामि’अत-तिर्मिज़ी)
कितनी बार ये दुआ पढ़नी है?
ये दुआ दुनिया और आख़िरत दोनो की भलाई के लिए अफ़ज़ल दुआ है| इस दुआ को ज़्यादा से ज़्यादा पढ़िए| पाकी की हालत में या फिर वज़ु की हालत में पढ़ना बड़ा ही अफ़ज़ल तरीन है| चलते फिरते उठते बैठते पढ़ने का मामूल बना लीजिए|→ खाना खाने की दुआ
इंशा अल्लाह, इस छोटी सी दुआ के बड़े फ़ैज़ हासिल होंगे| तमाम घर के अफ़राद यानी घर वालों को इसे रोज़ाना पढ़ने का मामूल बनाने के लिए कहिए और नीचे दी गयी फ़ज़ीलत और इनसे भी बढ़कर फवाइद-ओ-फ़ाज़ैईल हासिल होंगे|
-
दुनियावी तमाम परेशानियों से निजात मिलेगी|
-
मुश्किलात और मसाइब का ख़ात्मा होगा|
-
हर तरह की बीमारी से शिफ़ा मिलेगी|
-
तंगदस्ती मे रिज़्क़ की आमद होगी|
-
ग़रज़ ये के, आपकी ज़िंदगी और घर मे सुकून ही सुकून और ना ख़त्म होने वाली खुशहालियाँ आ जाएँगी, आमीन|
- अमन-ओ-आमान में रहोगे|→ वुज़ू की दुआ
-
अचानक की आफ़त और अचानक के हादसों से महफूज़ रहोगे|
- नागाहनी आफ़त उस पर कभी ना आएगी|
-
ख़ैर-ओ-बरकत और कशाइश की बारिश होगी|
- ज़ालिम के ज़ुल्म से पनाह में रहोगे|
ग़ौर/ध्यान दीजिएगा: ख़वातीन इस वज़ीफ़ा को हैज़/माहवारी/अय्याम के मख़सूस दिनों में पढ़ सकती है|
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
اسلام و علیکم بھائی میں جن سے شادی کرنا چاہتی ہوں انکی امی ہمارا رشتہ نہیں کروا رہیں حالاںکہ وہ مجھ سے راضی ہیں لیکن انکی بڑی بہن کے اچھے ریشتے نہیں آ رہے ہیں کیونکے وہ بہوت دین دار ہیں اسلئے تو آپ مجھے کوئی ایسا وزفا بتائیں جس سے انکا کسی نیک سے رشتہ ہو جائے اور شادی بھی ہو جائے اور ہم دونوں کا بھی ساتھ میں نکاح ہو جائے الله کے واسطہ
Walaikum as Salam
https://www.yaallah.in/jaldi-shadi-ki-dua-in-quran/
Assalamualaikum bhaijan. Mai bht zyada preshan hu. Mre bade mamu jan bol nhi pate h bht kam bolte hai. Unki shadi ko 3 sal ho gae h ladki ne property ke lie shadi ki thi aur ab wo trh trh ki dhamki de rhi. Mamujan ki trf se case kia ja rha dua krie k mre mamujan mahfuz rahe aur koi wazifa btae k jise mamujan mahfuz rahe aur faisla unke huq me ho. Qk mamujan sachche hai. Please wazifa btaie.
Aap ye wazifa parhiye Sis- https://www.yaallah.in/wazifa-win-court-case
Ji shukriya bhaijan