Make this lovely dua your daily practice to recite. You will be safeguarded from all evils and get guidance and righteousness. This short yet powerful dua is mentioned in Hadith by Prophet ﷺ. → Subhaanallaahi Wabi Hamdihi Adada Khalqihi
ALLAHumma Alhimni Rushdi Hadith+Benefits
﷽
Sallallahu ‘Alayhe Wasallam
Since Adam A.S this world is full of evil and problems thereto. However, The Last Prophet ﷺ taught us various duas to recite to get safe from the plots of Shaytan.
Al-Hidayah means guidance which means the ability to perform good deeds. The source of Al-Hidayah or guidance comes only from Al-Haadi (from the 99 names of ALLAH).
Al-Haadi means The One who continually shows the right way. The One who kindly guides aright. HE WHO sends Prophets and Messengers to guide humans.
HE is the only one WHO guides hearts to a knowledge of the Divine essence.
It is an indication of the right course of every action. The translation of this dua “Deliver me from the evils within myself refers to the desires of baser self which destroys both the worldly and religious life.
Very small duas can benefit us a lot. Which hardly takes seconds to read. → Turn Impossible into Possible
For your entire safety and protection, you should recite this dua. So that you remain safe and in ALLAH’s shelter.
Save this wallpaper in your mobile and every morning once you open eyes just read this at least 1 time. Insha ALLAH you will entirely be under protection during the whole day. And then pray for the same.
And if you read it before sleeping at night. Insha ALLAH you will entirely be under safety till morning. And then pray for the same.
Benefits of Dua Mentioned in Hadith
‘Imran bin Husain (May Allah be pleased with them) reported:
The Prophet ﷺ taught my father two statements to recite in his Du’a.
These are:
“ALLAHumma Alhimni Rushdi Wa-aa-‘izni Min Sharri Nafsi
(O ALLAH! Inspire in me guidance and deliver me from the evils within myself).”
At-Tirmidhi Hadith #3483 | Riyad as-Salihin 1487
Imam Tirmidhi said this Hadith is Hasan and Ghareeb. This Hadith has also referred other than the Sanad of Imran Bin Hussain.
Ghareeb here means a hadith based on its chain. Which generally defines that it’s not narrated through plenty of narrators at each level of the chain.
ALLAHumma Alhimni Rushdi Ki Fazilat Hadees Mein
Is mubarak dua ko apni roz marrah zindagi ka hissa bana lijiye. Aap har tarah ki buraiyon se mahfuz rahenge. Aur aapko sahee rahnumaayi aur hidayet naseeb hogi. Ye mukhtasir aur mufid dua Hadees-e-Mubarika mein bayan ki gayi hai.
Hazrat Adam A.S ke waqt se hi ye duniya burayi aur masail se bhari pari hai. Nabi Aakhiruz-Zamaan Mu’hammad ﷺ ne hamein shaitan ki saazishon se mahfuz rahne ke liye kayi tarah ki duayen parhna sikhlayin.
Al-Hidayah yani hidayet jisse murad hai nek aimal karne ki salahiyat (taqat). Al-Hidayah yani hidayet ka sar-chashma (asli zariya) Al-Haadi (ALLAH ke 99 namo me se ek) se hi milta hai.
Al-Haadi se murad hai Wo Pak Zaat jo musalsal sahee rasta dikhati hai. Wo Hasti jo meharbani ke sath durust rahnumaayi farmati hai. Wo Buzurg wa Bartar jo Paighambaron aur Rusoolon ke zariye insano ko hidayet deta hai.
Wahi to hai jo dilon ko hidayet deta hai
Ye har fail (kam) ke sahee raste ki alamat hai. Is dua mein apne nafs ke shar se panah mangne se murad ye hai ke zati ikhlaqi usoolon ki khwahishaat. Jo ke na sirf duniyawi balki mazhabi zindagi ko bhi tabah-o-barbad kar deti hain.
Chhoti se chhoti duayen jinhe padhne me bamushkil chand second lagte hain. Hamein bade se bade fayedah pahunchati hain.
Aapki mukammal hifazat aur tahaffuz ke liye, aapko ye dua zarur padhni chahiye. Taa ke aap har tarah se mahfuz rahen aur ALLAH ki panah mein rahen.
Upar diya gaya wallpaper apne mobile mein mahfuz kijiye. Aur har suba jab aap apni aankhen kholen. To is dua ko kam se kam 1 martaba zarur parhiye aur dua mang lijiye. Insha ALLAH, aap din bhar ALLAH Ta’ala ki panah mein rahenge.
Aur agar aap ye dua raat ko sone se pahle parhkar dua mang len. To aap raat bhar mukammal taur par ALLAH ki aman me rahenge.
Dua Ki Fazeelat Hadees-e-Mubarika Ki Roshni Mein
‘Imran bin Hussain R.A. farmate hain:
Nabi Kareem ﷺ ne mere Walid se pucha:
“Ae Hussain! Aaj kal tum kitne Ma’abudon ko poojte ho?”
Mere walid ne javab diya:
Saat ko, jo chhay zameen mein (rahte hain) aur ek aasman mein.
Aap ﷺ ne pucha,
“Un mein se kiski zyada raghbat, dilchaspi, ummeed aur khauf-o-dar ke sath ibadat karte ho?”
Unho ne kaha:
Uski jo aasman mein hai.
Aap ﷺ ne farmaya:
“Ae Hussain! Suno, Agar tum Islam le aate to Main tumhen do kalme sikha deta, wo tumhe barabar nafa pahunchate rahte.”
Phir jab Hussain Islam le aaye to unhe ne arz kiya:
ALLAH ke Rasool ﷺ! Mujhe wo dono kalme sikha dijiye jinhe sikhane ka Aap ne mujh se wada farmaya tha.
Aap ﷺ ne farmaya:
“Kaho, ALLAHumma Inni Alhimni Rushdi Wa-a-‘izni Min Sharri Nafsi”
Imam Tirmazi kahte hain ke ye Hadees Hasan aur Ghareeb hai. Ye Hadees ‘Imran bin Hussain se is sanad ke ilawa dusri sanad se bhi aayi hai.
At-Tirmizi Hadith #3483 | Riyad As-Salihin 1487
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Salaam walekum Bhai – Thoda urgent hai
Mera ek Microsoft ka account hai jo block ho gaya hai kuch violation ke wajeh se. Mujhe nahi pata ke maine shayad hi violation kiya hai. Usme mere kaafi important documents hai. Unki team review kar rahi hai . Agar woh documents nahi mile toh mera bahot bada nuksaan hoga aur pata nahi kya karunga aage.
Main iske baare main pad raha tha toh pata chala ke bi account lock hue hai aur 6 mahine bith gaye abhi take koi response nahi aaya unhe. Aur toh aur kitno ke account permanently band ho gaye
Kuch aisa wazifa bataye jisse mera account unlock ho jaye jaldi aur mera data mujhe mil jaaye baad main agar woh lock b hua toh koi problem nahi hai. Kuch mojiza ho jaye bhai aur aap b dua kijiyega. Iske wajeh meri puri family disturb ho gai hai 3 din se
Bhai, aap ye dua parhiye- https://www.yaallah.in/mushkil-hajat-ka-wazifa