Chahe wo hawa ho ya toofan ya phir ke aandhi. Har ek shay ko ALLAH ﷻ ne paida kiya hai. Inhe bura nahi kahna chahiye. Han magar ke inke sharr se bachne ki dua zarur karni chahiye.
Badi Se Badi Aandhi Toofan Rokne Ki Dua Ki Hadees
Aandhi Toofan Rokne Ki Dua Arabi Mein Parhne Ke Liye Upar Wallpaper Dekhiye
Andhi toofan se agar kisi ko ye dar ho ke uska koi nuqsan ho sakta hai. Chahe phir ke wo jaan-o-maal ka nuqsan ho. ALLAH ﷻ se aandhi ya toofan ko rokne ke liye dua kar sakte hai. Zarur parhiye→ Bijli Kadakne Ki Dua
Kayi logon ko tez hawa ke chalne se bhi dar lagta hai. Chahe to is dua ko tez hawa ko chalne se rokne ke liye bhi parh sakte hai.
ALLAH Rabbul ‘Izzat ham sabko aandhi aur toofan ke har sharr se mehfooz rakhe.
Aandhi Toofan Ke Sharr Se Bachne Ki Hadees
Hazrat Abu Hureira Radi ALLAHu ‘Anhu kahte hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Hawa ko bura na kaho kyonke wo ALLAH Ta’ala ki rahmat mein se hai, wo rahmat bhi laati hai aur ‘azab bhi laati hai. Albatta ALLAH Ta’ala se iski bhalayi ka sawal kiya karo aur iske sharr se ALLAH ki panah mango.
Sunan Ibn Majah 3727 | Darja : Saheeh (Darussalam)
Zarur parhiye→ Naya Chand Dekhne Ki Dua
Aandhi Toofan Ke Waqt Huzur ﷺ Darr Jate, Kyon?
Nabi-e-Kareem ﷺ ki zaujah Sayyidah ‘Aisha Radi ALLAHa ‘Anha farmati thi ke Rasoolullah ﷺ ka ye qayda tha ke jab aandhi aur badli ka din hota to ap ﷺ ke chehra mubarak par khauf malum hota (yani ‘azabi ilahi se darte) aur ghadi aage jate ghadi peechhe. Phir agar meenah baras gaya to khush hote aur ap ﷺ ka khauf jata rahta. Sayyidah ‘Aisha Radi ALLAHu ‘Anha farmati hai ke maine ap ﷺ se poochha. To Ap ﷺ ne farmaya:
Main darta ke hoon shayad ye koi ‘azab na ho jo ALLAH ne Meri ummat par bheja ho. Aur jab meenah dekhte to farmate: “ye ra’hmat hai.”
Saheeh Muslim 2084
Aandhi Toofan Ke Nuqsanat Se Bachne Ki Dua Hadees Mein
Nabi-e-Kareem ﷺ ki zaujah Sayyidah ‘Aisha Radi ALLAHa ‘Anha farmati hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ki adat mubarak thi ke jab bhi jhonke ki aandhi aati to
ALLAHumma Inni As-aluka ‘Khairaha Wa-‘Khaira Maa Feeha Wa-‘Khaira Maa Ursilat Bihi Wa Aa-‘oozubika Min Sharriha Wa Sharri Maa Feeha Wa Sharri Maa Ursilat Bihi
parhte yani
ya ALLAH! Main TUJHSE Is (Aandhi) Ki Aur Jo Kuch Isme Hai Aur Jiske Sath Ye Bheji Gayi Hai, Uski Bhalayi Ka Sawal Karta Hun Aur Main TERI Panah Mangta Hun Is (Aandhi) Ke Shar Se Aur Us Cheez Ke Shar Se Jo Isme Hai Aur USKE Shar Se Jiske Sath Ye Bheji Gayi Hai
Aur Sayyidah ‘Aisha Radi ALLAHa ‘Anha farmati hai ke jab aasman par badli aur bijli kadakti to ap ﷺ ka rang badal jata aur bahar nikalte aur ander ate aur aage aate aur peechhe jate. Phir agar meenah barasne lagta to ap ﷺ ki ghabrahat jati rahti. Gharaz is bat ko Sayyidah ‘Aisha Radi ALLAHa ‘Anha ne pehchana aur aapse poochha to ap ﷺ ne farmaya:
Ae ‘Aisha Main darta hoon ke kahin aisa na ho jaise ‘aad ki qawm ne dekh kar ke badli hai jo unke aage ayi hai, kahne lage ke ye badli hampar barasne wali hai.
Saheeh Muslim 2085
*Upar di hui Hadees-e-Mubarika mein Meenah ka matlab barish se hai.
Aandhi toofan rokne ki dua upar Hadees-e-Mubarika mein roman mein de rakhi hai. Ap upar se parh sakti hai.
Aandhi Toofan Ki Dua Roman Urdu Mein:
Upar Hadees-e-Mubarika mein parhiye.
बड़ी से बड़ी आँधी तूफान रोकने की दुआ की हदीस
आँधी तूफान से अगर किसी को ये डर हो के उसका कोई नुक़सान हो सकता है| चाहे फिर के वो जान-ओ-माल का नुक़सान हो| अल्लाह ﷻ से आँधी या तूफान को रोकने के लिए दुआ कर सकते है| ज़रूर →आयतुल कुर्सी हिंदी में
काई लोगों को तेज़ हवा के चलने से भी डर लगता है| चाहे तो इस दुआ को तेज़ हवा को चलने से रोकने के लिए भी पढ़ सकते है|
अल्लाह रब्बुल ‘इज़्ज़त हम सबको आँधी और तूफान के हर शर्र से महफूज़ रखे|
आँधी तूफान के शर्र से बचने की हदीस
हज़रत अबू हुरैरा रदी अल्लाहु ‘अन्हु कहते है रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया:
हवा को बुरा ना कहो क्यॉंके वो अल्लाह त’आला की रहमत में से है, वो रहमत भी लाती है और ‘अज़ाब भी लाती है| अलबत्ता अल्लाह त’आला से इसकी भलाई का
सवाल किया करो और इसके शर्र से अल्लाह की पनाह माँगो|
सुनन इब्न मज़ाह 3727 | दर्जा : सहीः (दरुस्सलाम)
ज़रूर पढ़िए→ ला इलाहा इल्ला अन्ता दुआ
आँधी तूफान के वक़्त हुज़ूर ﷺ डर जाते, क्यों?
नबी-ए-करीम ﷺ की ज़ौजह ‘आइशा रदी अल्लाहु ‘अन्हा फरमाती थी के रसूलुल्लाह ﷺ का ये क़ायदा था के जब आँधी और बदली का दिन होता तो आप ﷺ के चेहरा
मुबारक पर ख़ौफ़ मालूम होता (यानी ‘अज़ाबे इलाही से डरते) और घड़ी आगे जाते घड़ी पीछे| फिर अगर मीनह बरस गया तो खुश होते और आप ﷺ का ख़ौफ़ जाता
रहता| सय्यिदाह ‘आइशा रदी अल्लाहु ‘अन्हा फरमाती है के मैने आप ﷺ से पूछा| तो आप ﷺ ने फरमाया:
मैं डरता के हूँ शायद ये कोई ‘अज़ाब ना हो जो अल्लाह ने मेरी उम्मत पर भेजा हो| और जब मीनाः देखते तो फरमाते: “ये र’हमत है|”
सहीह मुस्लिम 2084
आँधी तूफान के नुक़सानात से बचने की दुआ हदीस में
नबी-ए-करीम ﷺ की ज़ौजह ज़ौजह ‘आइशा रदी अल्लाहु ‘अन्हा फरमाती है के नबी-ए-करीम ﷺ की आदत मुबारक थी के जब भी झोंके की आँधी आती तो
अल्लाहुम्मा इन्नी अस अलुका ख़ैरा-हा व ख़ैरा-मा-फ़ीहा व ख़ैरा-मा-उरसिलत बिही व आ-‘ऊज़ुबिका मिन शर्रिहा व शर्रि मा-फ़ीहा व शर्री मा-उरसिलत बिही
पढ़ते यानी
या अल्लाह! मैं तुझसे इस (आंधी) की और जो कुछ इसमें है और जिसके साथ ये भेजी गई है, उसकी भलाई का सवाल करता हूँ और मैं तेरी पनाह माँगता हूँ इस (आंधी) के शर्र से और उस चीज़ के शर्र से जो इसमें है और उसके शर्र से जिसके साथ ये भेजी गई है|
आंधी तूफ़ान से बचने की दुआ हिंदी में ऊपर हदीस-ए-मुबारिका पढ़िए|
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Bhai surh ikhlas Wala process to 90 days rat me karna h par ijazat Wala process kis time or kitne din karna h
Aapne dhyaan se nahi sara tareeqa parha. Ijazat wala part sirf ek din hi parhna hai. Jab chahen parh sakti hain.
I need the English version
You will get its English very soon. Keep in touch with us.
Bhai Maine apko insta main bahut zarruri baat bolli hai please madaat kijiye please bhai
Sis, aap yahan rabta karen kal- https://m.me/yaALLAHyaRasul
6:30-8:30 pm India Time.