12 Rabi ul Awal Kya Hai

Fitne ke is daur mein tamam musalmano ko ye janna bahot hi zaruri hai ke 12 Rabi ul awal kya hai akhir? Jise ‘Eid-e-Milad-Un-Nabi’ aur kuch log bara wafat bhi kahte hai.

12 Rabi ul Awal Kya Hai?

12 rabi ul awal Eid Milad un Nabi

Kya waqayi ye Eid-e-Milad-un-Nabi Hai ya phir 12 rabi awwal hai? Ek khushi ka din hai ya gham ka. 12 Rabi-ul-awwal ki haqeeqat jante hai. Aur ye hoti kya hai akhir?

Rasool-e-Akram ﷺ Ki Wafat Kaise Hui?

Riwayaat mein ye ata hai ke aap ﷺ ke visaal ke kayi baras pahle ek aurat jo yahudi thi. Ap ﷺ ko dawat di. Aap ﷺ apne 2 sahaba ke saath us dawat mein tashreef le gaye. Us yahudiya aurat ne aapke khane mein zahar mila diya.

Ek riwayat mein ye bhi ayat hai ke bakri ka gosht tha jisme zahar mila diya gaya tha. Wo dono sahaba inteqal farma gaye. Huzur ﷺ ne wo luqma chabakar jab aapko andesha ho gaya to use thoonk diya. Lekin zahar ka asar na gaya. Zarur dekhiye→ Tera Teji Kyon Manate Hain?

Riwayaat mein ye aya hai ke us zahar ka asar aapko ta-umr raha aur aap ﷺ ki wafat ka baais bana. Kabhi wo marz bad jata kabhi kam ho jata. Aur akhir kaar apka visal 12 rabi-ul-awwal ke roz Hazrat ‘Aisha r.a. ke ghar mein aapke hujre ke ander ho gaya.

Hazrat ‘Aisha r.a. ke ghar ke saamne hi masjid thi. Ap ﷺ ne jab hujra mubarak se parda uthaya to dekha ke fajr ki namaz ho rahi thi. Aap khushi se hans parhe. Riwayat mein ye bhi aya hai ke Hazrat Abu Bakr Siddique ne us din imamat ki. Aur ap ﷺ ki wafat ke baad ap hi khalifa ke auhde par baithe aur haqdar bhi the.

Bahar haal jab ap ﷺ parda utha kar khushi se hans parhe to sahaba ikram ki khushi ki inteha na thi. Magar aap ﷺ ne ishare se unhe roka aur phir se parda daal diya. Sahabah ko pyare nabi ka akhri deedar tha.

Kayi bar gashi chhayi behoshi hui. Zarur dekhiye→ Kunde Ki Niyaz in Hindi

Hazrat Fatima radi ALLAHu ‘Anha ki zuban se shiddat e gham me ye alfaz nikal gaye “haye re mere baap ki bechaini!” Aap ﷺ ne farmaya “Ae beti! tumahra baap aaj ke baad kabhi bechain na hoga.”

Bukhari, Jild:2, Safah:241, Baab:Marz-un-Nabi ﷺ

Rasool-e-Akram ﷺ Ke Akhri Alfaz Mubarak

Wafat se thodi der pahle aapke seena mubarak me saans ki ghargharahat mehsoo hone lagi. Itne mein apke lab mubarak hile aur logon ne ye alfaz sune “namaz aur ghulamon ka khayal rakho.”

Apke pas pani ki ek lagan thi isme baar-baar hath dalte aur apne chehra-e-aqdas par malte, aur kalme parhte. Apni chadar mubarak ko kabhi munh par dalte to kabhi hata dete.

Hazrat ‘Aisah r.a. aapke sar-e-mubarak ko apne seene se lagaye baithi hui thi. Itne me aapne hath uthakar ungli se ishara kiya aur 3 martaba farmaya (tarjuma: Ab koi nahi! balki wo bada Rafeeq chahiye).”

Yahi alfaz zuban-e-muqaddas par the ke aapke haath latak gaye. Aur aankh upar ki taraf khuli rah gayi.

Inna Lillahe Wa Inna Ilayhe Raji’oon!

Saheeh Al-Bukhari Jild 2 Page 640

Aap ki wafaat aur paidaish men ‘ulmaa-e-kiraam ka ittifaak hai ke mahinaa Rabiul Awwal ka tha aur taareekh 12 thi.

ALLAH Ke Nabi ﷺ Ki Wafat ka Sahaba Par Kya Asar Hua?

ALLAH ke rasol ﷺ ki wafat par sahaba ikraam ko itna sadma hua ki iska bayan hi nahi kiya ja sakta.

Hazrat Usman r.a. par aisa waqt a gaya ki woh idhar-udhar mare-mare phirte the. Kisi se na kuch sunte the na kisi se kuch bat karte the. Is qadar ranj-o-gham ka alam tha.

Hazrat Ali r.a. ranjo gham mein is tarah nidhal ho gaye the ke unme uthne-baithne ki taqat baqi na rahi.

Hazrat Abdullah Bin Unais r.a. ko jab Nabi-e-kareem ﷺ ki wafat ki khabar mili to unhe is qadar shadeed sadma pahuncha ke dil ka daura hi pad gaya aur wo inteqal farma gaye.

Hazrat Umar r.a. to is qadar bechain ho gaye the ki unhone talwar nikaal li aur idhar-udhar tahalne lage aur kahne lage “Agar kisi ne ye kaha ke Mohammad ﷺ ka inteqal ho gaya to main uski gardan uda dunga.” Zarur dekhiye→ Dua E Hizbul Bahr Ki Fazilat

Huzur ﷺ Ki Wafat ke Baad Abu Bakr Siddique Ka Khutbah

Hazrat Abu Bakr Siddique r.a. ko jab ye pata chala ke aap ﷺ pardah farma chuke hai to aap seedhe Hazrat ‘Aisha r.a. ke hujre mein aye aur aap ﷺ ke rukhe anwar se chadar hatakar aap ﷺ ke dono aankhon ke darmiyan mein bahot hi garamjoshi ke sath bosa diya aur farmaya, “aap apni zindagi aur wafat dono hi halat mein pakizah rahe mere maa-baap aap par fida ho hargiz ALLAH Ta’ala aap par do mauto ko jama nahi farmayega aapki jo maut likhi hui thi aap us maut ke zariye wafat paa chuke hai.”

Iske baad Hazrat Abu Bakr Siddique Radi ALLAHu ‘Anhu masjid mein tashreef laye aur logon se mukhatib karte hue khutbah diya.

Tum me se jo shakhs Muhammad ﷺ ki pooja karta tha wo jaan le ke Muhammad ﷺ ki wafat ho chuki hai. Aur tum me jo ALLAH ki ibadat karta tha wo jaan le ke ALLAH Ta’ala zinda hai wo kabh nahi marta.

Phir uske bad Hazrat Abu Bakr Siddique Radi ALLAHu ‘Anhu ne surah aale ‘imran ki tilawat farmayi.

Zarur dekhiye→ Zina Se Bachne Ki Dua

“Aur Muhammad ﷺ to ek rasool hai, unse pahle bahot se rasool ho chuke hai. To kya agar wo inteqal kar jaye ya shaheed ho jaye to kya tum ulte paanv phir jaoge aur wo ulte paanv phirega wo ALLAH ka kuch nuqsan nahi karega aur anqareeb ALLAH Ta’ala shukr karne walon ko sawab dega.”

Surah Aale-‘Imran #3:144

Hazrat Abu Bakr Siddique Radi ALLAHu ‘Anhu ka khutbah sunkar bahot se sahabi is ayat ko dohrane lage aur unhone khud par qabu paya aur unko yaqeen ho gaya ke Muhammad ﷺ is duniya se pardah farma chuke hai.

12 Rabi-ul-Awwal Se Hamein Kya Seekhne Ko Milta Hai

12 rabi ul awwal wo din hai jab Hazrat Fatima r.a. ke sar se walid ka saya uth gaya.

Ye wo din hai jab sahaba ikram sadme ki wajah se gash khakar gir rahe the. Koi kahin gira koi kahin behosh ho raha tha.

Ji han ye wohi din hai jab aap ﷺ par wahi ka nuzool hona band ho chuka tha.

12 rabi ul awwal wo din hai jab azwaj-e-mutahharaat bewa ho chuki thi.

12 rabi ul awwal wo din hai jab dushman musalmano ke beech ghusne ka mauqa pa gaye aur unme nafrat phailana shuru kar diya.

Yahi wo munafiq the jinke liye 12 rabi ul awwal khushi ka din tha.

Zarur dekhiye→ Isale Sawab Ka Tariqa Aur Fazilat

12 Wafat Aur 12 Rabi ul Awwal Dono Alag Hai Ya Ek?

Yaqeen janiye aaj se kuch saal pahle tak 12 rabi ul awwal 12 wafat ke hi naam se jana jata tha. Lekin dhire-dhire shaitan ka fitna itna phaila ke is din ka naam badal kar Eid yani eid-e-milad-un-Nabi kar diya gaya.

12 Rabi ul Awwal Ko Kya Karna Chahiye?

12 wafat yani 12 rabi ul awwal ko akhir hamein kya karna chahiye?

Log is din jashn manate hai khushiyon ka izhaar karte hai. Door na jao ye ham musalmano hi ke ander hota hai. Ye din khushiyon ka izhar karne ka nahi balki dil hi dil mein ranj-o-gham rakhkar na ke zahiri taur par balke ander se sanjeedgi se rahte hue. Ehtaram se rahen.

Aur aap ﷺ ki bargah-e-aqdas mein durood-o-salam pesh karein. Ye unhe pahunchega wo aapko sawab hasil hoga.

Qatayi is din juloos nikaal kar ye na zahir karein ke ye din hamare nabi ﷺ ka birthday hai. Ye ghalat aur shaitani fitna hai.

Aapse dil se guzarish karunga khud bhi samjhe aur apne pyaron ko bhi samjhaye taki wo is gunah mein shumar na hoye.

Beshak Huzur ﷺ ki padaish ka din yahi hai aur ye har momin ke liye khushi ka baais bhi hai. Lekin hamari khushiyan shariyat ki paband hai. Is din khushiyan manane mein siyasi rangon mein na range. Ghair musalmanon par khushi me is din fakhr dikhane wale na bane.

Huzur ﷺ aur Sahaba ikram ki zindagiyon ko apni zindagiyon mein utare wahi hamare liye sachi daleel hai.

12 Rabi ul Awal Kya Hai Aur Kyon Manate Hain?

‘12 Rabi ul Awwal’ jise aajakal musalman ‘Eid Milad un Nabi’ bhi kehte hain ye Islami calendar ke mutabiq Rabiul Awwal ke maah (mahine) mein 12 tarikh ko hoti hai. Chaliye jante hai ke Deen ki roshni mein iski kya haqeeqat hai? Aur sahaba-e-kiraam ke is din ke kya mamool the?

‘12 Rabi ul Awwal’ manana kya yeh Islam mein jayez hai? Ya najayez hai? Hum tafseel se padhenge. Zarur dekhiye→ Shaban Ke Mahine Ki Fazilat

Nabi-e-Kareem ﷺ Ki Seerat Aur Humari Zindagi.

Aapka Tazkira Bais-e-Sa’adat

‘12 Rabi ul Awwal’ humare muashare (zamana), humare mulk aur khas kar barre-sagheer mein ba-qayedah ek jashn aur ek tyohar ki shakl ikhtiyar kar chuka hai. Jab ‘Rabiul Awwal’ ka mahina ata hai to sare mulk mein seerat-un-Nabi aur milad-un-Nabi ka ek ghair mutnahi silsila shuru ho jata hai.

Zahir hai ki Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ ka mubarak tazkira itni badi sa’adat hai. Ki uske barabar koyi aur sa’adat nahi ho sakti. Lekin mushkil yeh hai humare muashare (zamane) aapke mubarak tazkire ko is ‘Rabiul Awwal’ ke mahine ke sath nahi.

Balki sirf ‘12 Rabiul Awwal’ ke sath makhsoos (muqarrar) kar diya gaya hai. Aur yeh kaha hai ki choonki ‘12 Rabiul Awwal’ ko Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ ki wiladat huyi. Zarur dekhiye→ Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika

Isliye aapka youm-e-wiladat (wafat ka din) manaya jayega. Aur isme aapki seerat aur wiladat ka bayan hoga. Lekin yeh sab kuchh karte waqt hum bhool jate hain, ki jis zaat-e-Aqdas Mu’hammad ﷺ ki wiladat ka yeh jashn manaya ja raha hai.

Khud us zaat-e-Aqdas Mu’hammad ﷺ ki kya taleem hai? Aur us taleem ke andar kis qism ka tasawwur maujood hai ya nahi?

12 Rabi-ul-Awwal ya Eid-e-Milad-un-Nabi?

Tareekh-e-Insaniyat Ka Azeem Waqi’ah

Isme kisi musalman ko shubah (shaq) nahi ho sakta ki aap Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ ka duniya mein tashreef lana, tareekh-e-insaniyat ka azeem (khas) waqiya hai. Isse zyada azeem, isse zyada masarrat wala, isse zyada mubarak aur muqaddas waqiya is rooh-e-zameen pe pesh nahi aaya.

Insaniyat ko Nabi-e-Kareem ﷺ ki taleemat ka noor mila. Apki muqaddas shakhsiyat ki barkatein naseeb huyin. Yeh itna bada waqiya hai ki, tareekh ka koyi aur waqiya itna bada nahi ho sakta. Zarur dekhiye→ Tera Teji Kyon Manate Hain?

Aur agar Islam mein kisi ka youm-e-paidayish (paidayish ka din) manane ka koyi tasawwur hota, to Huzoor Purnoor ﷺ ke youm-e-paidayish se zyada koyi din is baat ka mustahik (qabil) nahi tha.

Ki usko manaya jaye, aur usko ‘Eid’ qarar diya jaye. Lekin nabuwwat ke bad aap teyis (23) saal is duniya mein rahe. Aur har saal ‘Rabiul Awwal’ ka mahine aata tha.

Lekin na sirf yeh ki aap ne ‘12 Rabiul Awwal’ ko youm-e-paidayish nahi manaya balki aapke kisi sahabi ke khayal mein bhi yeh nahi guzra.

choonki ‘12 Rabiul Awwal’ aapki paidayish ka bhi din hai, isliye isko kya kisi khas tareeqe se manana chahiye?

12 Rabiul Awwal Aur Sahaba-e-Ikraam

Iske bad Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ is duniya se tashreef le gaye.

Aur taqreeban ek lakh pachees hazar (1,25,000) sahab-e-Ikraam is duniya mein chhor gaye. Sahab-e-kiraam aise the ki, Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ ke ek sans ke badle apni poori jaan nichhawar karne ke liye tayyar.

Aapke jaan-nisar (jaan dene wale), aap par fida-kaar, aapke ashiq the. Lekin koyi ek sahabi aisa nahi milega jisne ehtimam karke yeh din manaya ho. Zarur dekhiye→15th of Shaban Par Bidah

Ya is din koyi jalsa mun’aqid kiya ho. Ya koyi juloos nikala ho, ya koyi chiragan kiya ho, ya koyi jhandiyan sajayi hon. Sahaba-e-Kiraam ne aisa kyon nahi kiya? Isliye ki Islam koyi rasm-o-riwaz ka deen nahi hai.

Jaisa ki doosre mazhab wale hain, ki unke yaha chand (kuchh) rasmo ko ada karne ka naam deen hai. Jab wo log ye rasmein ada karlein to bas phir chhutti ho gayi, balki Islam amal ka deen hai.

Aur hum musalmano par ye farz hai ki paida hone se marte dam tak har insan apni islah ki fikr mein laga rahe. Aur Huzoor Purnoor Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ki sunnat ki ittiba (ita’at) mein laga rahe.

Milad-un-Nabi Ki Shuruat Kab Huyi?

ALLAH Ta’ala insani nafsiyat aur uski kamzoriyon se waqif hai. ALLAH Ta’ala yeh jante the ki agar usko zara si shosha (chhoot) di gayi. To kahan se kahan baat pahunchegi. Isliye kisi din ke manane ka koyi tasawwur nahi rakha.

Jis tarah ‘Christmas’ ke sath huya, usi tarah yaha bhi hua ki kisi badshah ke dil mein khayal aa gaya.

Ki jab isayi log Hazrat ’Eesa ’Alayhis Salam ka youm-e-paidayish manate hain. To hum Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ ka youm-e-paidayish kyon na manayein?

Yahin se shuru hota hai shaitani fitna.

Yeh keh kar us badshah ne milad ka silsila shuru kar diya.

Shuru mein yahan bhi yehi hua ki milad hua jiske Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ ki seerat ka bayan hua. Naat padhi gayi. Lekin ab dekhlein ki baat kaha tak pahunch gayi hai.

‘12 Rabiul Awwal’ ko milad ka silsila shuru hua tha. Jo ki ab fitne aur fasad aur ghair shara’yi rasm riwaz mein tabdeel ho chuka hai. Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ke youm-e-wiladat ke din jashn manana, juloos nikalna.

Aur dj ka bajna wo bhi remix mein bajna. Yeh tareeqa to Islam ka nahi hai. Han gunah ka mujeeb (qubooliyat) zaroor hai. Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ se mohabbat zahir karne ke liye humein yeh fitne karne ki to qatayi (bilkul) zaroorat nahi hai.

Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ Ki Ek Khas Hadith Jisme Aapke Aala Martabe Ka Zikr Hai

ALLAH Ke Habeeb Mu’hammad ﷺ ne farmaya:

“Jisne meri ita’at ki, usne ALLAH ki ita’at ki. Aur jisne meri nafarmani ki usne ALLAH ki nafarmani ki.”

[Sahih Bukhari Hadees #7137]

ALLAH ko raazi karne ka rasta bohot asan hai. Ki hum uske Nabi ki ittiba (ita’at) karein.

Unki chhoti-chhoti sunnaton ko apne rozmarra ke zindagi mein layein. Isse humari duniya aur akhirat dono behtar hogi. Aap Huzoor Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ke bataye raste par chalke khud ko ALLAH ke narazgi se bachalein.

Lekin logo ne to Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ke youm-e-wiladat ko jashn aur youm-e-paidayish ko fitne aur gunah mein tabdeel kar diya hai.

Yeh Tareeqa ‘Ghair Islami’ hai.

Aur aisa karne se gunah ke ilawa kuchh hasil na hoga. Hum Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ki ummat hain. Aur agar humein unse mohabbat hai. To hum unke raste pe chalkar neki kamayenge.

Humein ek din ke jashn karne ki jo gumrahi hai aur gunah hai. Iski zaroorat nahi hai. Han hum apni akhri sanso tak apne Nabi-e-Paak Mu’hammad ﷺ ke naqs-e-qadam par chalne ki poori koshish karenge.

Hum unki tamam sunnato ki pairwi (follow) karenge jisse ke ALLAH humse raazi ho jaye. Aur agar hume apne Nabi Sarkar Mustafa Mu’hammed ﷺ se mohabbat hai. To hum namaz qayem karenge.

Ghareebon ki madad karenge.

Aapke tamam nek amaal ko apni zindagi mein lane ki koshish karenge. ALLAH hume hidayet de aur aise gunaho se gumrahi se bachaye. Jo Roz-e-Hashr ALLAH ki narazgi ka sabab banegi.

Ameen ALLAHumma Ameen.

12 रबी-उल-अव्वल क्या है?

फितने के इस दौर में तमाम मुसलमानो को ये जानना बहोत ही ज़रूरी है के 12 रबी उल अव्वल क्या है आख़िर? जिसे ‘ईद-ए-मिलाद-उन-नबी’ और कुछ लोग बारा वफात भी कहते है|

12 रबी उल अव्वल क्या है?

क्या वाक़ई ये ईद-ए-मिलाद-उन-नबी है या फिर 12 रबी अव्वल है? एक खुशी का दिन है या ग़म का| चलिए हम 12 रबी-उल-अव्वल की हक़ीक़त जानते है| और ये होती क्या है आख़िर?

रसूल-ए-अकरम ﷺ की वफात कैसे हुई?

रिवायात में ये आता है के आप ﷺ के विसाल के कई बरस पहले एक औरत जो यहूदी थी| उसने आप ﷺ को दा’अवत दी| आप ﷺ अपने 2 सहाबा के साथ उस दा’अवत में तशरीफ़ ले गये| उस यहूदिया औरत ने आपके खाने में ज़हर मिला दिया|

एक रिवायत में ये भी आयात है के बकरी का गोश्त था जिसमे ज़हर मिला दिया गया था| वो दोनो सहाबा इन्तेक़ाल फ़र्मा गये| हुज़ूर ﷺ ने वो लुक़मा चबाकर जब आपको अंदेशा हो गया तो उसे थूंक दिया| लेकिन ज़हर का असर ना गया|

एक रिवायत में ये भी आया है के बकरी के गोश्त जो ज़हर आलूद था उसने गवाही दी के मैं ज़हर आलूद हूँ|

रिवायात में ये आया है के उस ज़हर का असर आपको ता-उम्र रहा और आप ﷺ की वफात का बाइस बना| कभी वो मर्ज़ बढ़ जाता कभी कम हो जाता और आख़िर कार आपका विसल 12 रबी-उल-अव्वल के रोज़ हज़रत ‘आयशा र.अ. के घर में आपके हुजरे के अंदर हो गया|

हज़रत ‘आयशा र.अ. के घर के सामने ही मस्जिद थी| आप ﷺ ने जब हुजरा मुबारक से परदा उठाया तो देखा के फज्र की नमाज़ हो रही थी| आप खुशी से हंस पड़े| रिवायत में ये भी आया है के हज़रत अबू बक्र सिद्दीक़ ने उस दिन इमामत की| और आप ﷺ की वफात के बाद आप ही ख़लीफा के औहदे पर बैठे और हक़दार भी थे|

बहर हाल जब आप ﷺ परदा उठा कर खुशी से हंस पड़े तो सहाबा इकराम की खुशी की इंतेहा ना थी| मगर आप ﷺ ने इशारे से उन्हे रोका और फिर से परदा डाल दिया| सहाबा को प्यारे नबी का इस दुनिया में ये आख़िरी दीदार था|

काई बार ग़शी बेहोशी हुई|

हज़रत फ़ातिमा र.अ. की ज़ुबान से शिद्दत-ए-ग़म मे ये अल्फ़ाज़ निकल गये “हाए रे मेरे बाप की बेचैनी!” आप ﷺ ने फरमाया “ऐ बेटी! तुम्हारा बाप आज के बाद कभी बेचैन ना होगा|”

बुखारी, जिल्द:2, सफह:241, बाब:मर्ज़-उन-नबी ﷺ

रसूल-ए-अकरम ﷺ के आखरी अल्फ़ाज़ मुबारक

वफात से थोड़ी देर पहले आपके सीना मुबारक मे साँस की घरघराहट महसू होने लगी| इतने में आपके लब मुबारक हिले और लोगों ने ये अल्फ़ाज़ सुने “नमाज़ और ग़ुलामो का ख़याल रखो|”

आपके पास पानी की एक लगन थी इसमे बार-बार हाथ डालते और अपने चेहरा-ए-अक़दस पर मलते, और कालमे पढ़ते| अपनी चादर मुबारक को कभी मुँह पर डालते तो कभी हटा देते|

हज़रत हज़रत ‘आयशा र.अ. आपके सर-ए-मुबारक को अपने सीने से लगाए बैठी हुई थी| इतने मे आपने हाथ उठाकर उंगली से इशारा किया और 3 मर्तबा फरमाया

तर्जुमा: अब कोई नही! बल्कि वो बड़ा रफ़ीक़ चाहिए).”

यही अल्फ़ाज़ ज़ुबान-ए-मुक़द्दस पर थे के आपके हाथ लटक गये| और आँख उपर की तरफ खुली रह गयी|

इन्ना लिल्लाहे वा इन्ना इलयहे राज़ी’ऊन!

सहीः अल-बुखारी जिल्द 2 पेज 640

आप की वफात और पैदाइश में ‘उल्मा-ए-किराम का इत्तिफाक है के महीना रबी-उल अव्वल का था और तारीख 12 थी|

अल्लाह के नबी ﷺ की वफात का सहाबा पर क्या असर हुआ?

अल्लाह के रसोल ﷺ की वफात पर सहाबा इकराम को इतना सदमा हुआ की इसका बयान ही नही किया जा सकता|

हज़रत उस्मान र.अ. पर ऐसा वक़्त आ गया की वो इधर-उधर मारे-मारे फिरते थे| किसी से ना कुछ सुनते थे ना किसी से कुछ बात करते थे| इस क़दर रंज-ओ-ग़म का आलम था|

हज़रत अली र.अ. रंजो ग़म में इस तरह निढाल हो गये थे के उनमे उठने-बैठने की ताक़त बाक़ी ना रही|

हज़रत अब्दुल्लाह बिन उनैस र.अ. को जब नबी-ए-करीम ﷺ की वफात की खबर मिली तो उन्हे इस क़दर शदीद सदमा पहुँचा के दिल का दौरा ही पद गया और वो इन्तेक़ाल फ़ार्मा गये|

हज़रत उमर र.अ. तो इस क़दर बेचैन हो गये थे की उन्होने तलवार निकाल ली और इधर-उधर टहलने लगे और कहने लगे “अगर किसी ने ये कहा के मोहम्मद ﷺ का इन्तेक़ाल हो गया तो मैं उसकी गर्दन उड़ा दूँगा|”

हुज़ूर ﷺ की वफात के बाद अबू बक्र सिद्दीक़ र.अ. का ख़ुतबाह

हज़रत अबू बक्र सिद्दीक़ र.अ. को जब ये पता चला के आप ﷺ परदह फ़र्मा चुके है तो आप सीधे हज़रत ‘आयशा र.अ. के हुजरे में आए और आप ﷺ के रूखे अनवर से चादर हटाकर आप ﷺ के दोनो आँखों के दरमियाँ में बहोत ही गरमजोशी के साथ बोसा दिया और फरमाया, “आप अपनी ज़िंदगी और वफात दोनो ही हालत में पाकिज़ाह रहे मेरे मा-बाप आप पर फिदा हो हरगिज़ अल्लाह त’आला आप पर दो मौतो को जमा नही फरमाएगा आपकी जो मौत लिखी हुई थी आप उस मौत के ज़रिए वफात पा चुके है|”

इसके बाद हज़रत अबू बक्र सिद्दीक़ र.अ. मस्जिद में तशरीफ़ लाए और लोगों से मुखातिब करते हुए ख़ुतबाह दिया|

तुम मे से जो शख्स मुहम्मद ﷺ की पूजा करता था वो जान ले के मुहम्मद ﷺ की वफात हो चुकी है| और तुम मे जो अल्लाह की इबादत करता था वो जान ले के अल्लाह ता’आला ज़िंदा है वो काभ नही मरता|

फिर उसके बाद हज़रत अबू बक्र सिद्दीक़ र.अ. ने सुरह आले ‘इमरान की तिलावत फरमाई|

“और मुहम्मद ﷺ तो एक रसूल है, उनसे पहले बहोत से रसूल हो चुके है| तो क्या अगर वो इन्तेक़ाल कर जाए या शहीद हो जाए तो क्या तुम उल्टे पाँव फिर जाओगे और वो उल्टे पाँव फ़िरेगा वो अल्लाह का कुछ नुक़सान नही करेगा और अंक़रीब अल्लाह ता’आला शुक्र करने वालों को सवाब देगा|”

सुरह आले-‘इमरान #3:144

हज़रत अबू बक्र सिद्दीक़ र.अ. का ख़ुतबाह सुनकर बहोत से साहबी इस आयात को दोहराने लगे और उन्होने खुद पर क़ाबू पाया और उनको यक़ीन हो गया के मुहम्मद ﷺ इस दुनिया से परदह फ़ार्मा चुके है|

12 रबी-उल-अव्वल से हमें क्या सीखने को मिलता है

12 रबी उल अव्वल वो दिन है जब हज़रत फ़ातिमा र.आ. के सर से वॉलीड का साया उठ गया|

ये वो दिन है जब सहबा इकराम सदमे की वजह से गश खाकर गिर रहे थे| कोई कहीं गिरा कोई कहीं बेहोश हो रहा था|

जी हाँ ये वोही दिन है जब आप ﷺ पर वही का नुज़ूल होना बंद हो चुका था|

12 रबी उल अव्वल वो दिन है जब अज़वाज-ए-मुतहहारात बेवा हो चुकी थी|

12 रबी उल अव्वल वो दिन है जब दुश्मन मुसलमानो के बीच घुसने का मौक़ा पा गये और उनमे नफ़रत फैलाना शुरू कर दिया|

यही वो मुनाफ़िक़ थे जिनके लिए 12 रबी उल अव्वल खुशी का दिन था|

12 वफात और 12 रबी उल अव्वल दोनो अलग है या एक?

यक़ीन जानिए आज से कुछ साल पहले तक 12 रबी उल अव्वल 12 वफात के ही नाम से जाना जाता था| लेकिन धीरे-धीरे शैतान का फितना इतना फैला के इस दिन का नाम बदल कर ईद यानी ईद-ए-मिलाद-उन-नबी कर दिया गया|

12 रबी उल अव्वल को क्या करना चाहिए?

12 वफात यानी 12 रबी उल अव्वल को आख़िर हमें क्या करना चाहिए?

लोग इस दिन जश्न मानते है खुशियों का इज़हार करते है| दूर ना जाओ ये हम मुसलमानो ही के अंदर होता है| ये दिन खुशियों का इज़हार करने का नही बल्कि दिल ही दिल में रंज-ओ-ग़म रखकर ना के ज़हिरी तौर पर बलके अंदर से संजीदगी से रहते हुए| एहतरम से रहें|

और आप ﷺ की बरगाह-ए-अक़दस में दूरूद-ओ-सलाम पेश करें| ये उन्हे पहुँचेगा वो आपको सवाब हासिल होगा|

क़तैई इस दिन जुलूस निकाल कर ये ना ज़ाहिर करें के ये दिन हमारे नबी ﷺ का बर्थडे है| ये ग़लत और शैतानी फितना है|

आपसे दिल से गुज़ारिश करूँगा खुद भी समझे और अपने प्यारों को भी समझाए ताकि वो इस गुनाह में शुमार ना होये|

बेशक हुज़ूर ﷺ की पैदाइश का दिन यही है और ये हर मोमिन के लिए खुशी का बाइस भी है| लेकिन हमारी खुशियाँ शरीयत की पाबंद है| इस दिन खुशियाँ मानने में सियासी रंगों में ना रंगे| ग़ैर मुसलमानों पर खुशी मे इस दिन फख्र दिखाने वेल ना बने|

हुज़ूर ﷺ और सहाबा इकराम की ज़िंदगियों को अपनी ज़िंदगियों में उतरे वही हमारे लिए सच्ची दलील है|

12 रबी उल अव्वल क्या है और क्यों मानते हैं?

‘12 रबी उल अव्वल’ जिसे आजकल मुसलमान ‘ईद मिलाद उन नबी’ भी कहते हैं ये इस्लामी कॅलंडर के मुताबिक़ रबी-उल-अव्वल के माह (महीने) में 12 तारीख को होती है| चलिए जानते है के दीन की रोशनी में इसकी क्या हक़ीक़त है? और सहांबा-ए-किराम के इस दिन के क्या मामूल थे?

‘12 रबी उल अव्वल’ मानना क्या यह इस्लाम में जायेज़ है? या नाजायज़ है? हम तफ़सील से पढ़ेंगे|

नबी-ए-करीम ﷺ की सीरत और हुमारी ज़िंदगी

आपका तज़किरा बाइस-ए-स’आदत

‘12 रबी उल अव्वल’ हुमारे मुआशरे (ज़माना), हुमारे मुल्क और खास कर बेरी-सगीर में बा-क़ाएदः एक जश्न और एक त्योहार की शक्ल इकतियार कर चुका है| जब ‘रबी-उल-अव्वल’ का महीना आता है तो सारे मुल्क में सीरत-उन-नबी और मिलाद-उन-नबी का एक ग़ैर मुतनाही सिलसिला शुरू हो जाता है|

ज़ाहिर है की हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ का मुबारक ताज़किरा इतनी बड़ी सा’आदत है| की उसके बराबर कोई और स’आदत नही हो सकती| लेकिन मुश्किल यह है हमारे मुआशरे (ज़माने) आपके मुबारक ताज़किरे को इस ‘रबी-उल-अव्वल’ के महीने के साथ नही|

बल्कि सिर्फ़ ‘12 रबी-उल-अव्वल अव्वल’ के साथ मख़सूस (मुक़र्रर) कर दिया गया है| और यह कहा है की चूँकि ‘12 रबी-उल-अव्वल’ को हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ की विलादत हुई|

इसलिए आपका यौंम-ए-विलादत (वफात का दिन) मनाया जाएगा| और इसमे आपकी सीरत और विलादत का बयान होगा| लेकिन यह सब कुच्छ करते वक़्त हम भूल जाते हैं, की जिस ज़ात-ए-अक़दस मुहम्मद ﷺ की विलादत का यह जश्न मनाया जा रहा है|

खुद उस ज़ात-ए-अक़दस मुहम्मद ﷺ की क्या तालीम है? और उस तालीम के अंदर किस क़िस्म का तसवउर मौजूद है या नही?

12 रबी-उल-अव्वल या एईद-ए-मिलाद-उन-नबी?

तारीख-ए-इंसानियत का अज़ीम वाक़ई’आह

इसमे किसी मुसलमान को शुबह (शक़) नही हो सकता की आप हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ का दुनिया में तशरीफ़ लाना, तारीख-ए-इंसानियत का अज़ीम (खास) वाक़ई’आह है|

इससे ज़्यादा अज़ीम, इससे ज़्यादा मसर्रत वाला, इससे ज़्यादा मुबारक और मुक़द्दस वाक़ई’आह इस रूह-ए-ज़मीन पे पेश नही आया|

इंसानियत को नबी-ए-करीम ﷺ की तालीमत का नूर मिला| आपकी मुक़द्दस शख्सियत की बरकतें नसीब हुईं| यह इतना बड़ा वाक़ई’आह है की, तारीख का कोई और वक़ीया इतना बड़ा नही हो सकता|

और अगर इस्लाम में किसी का यौंम-ए-पैदाइश (पैदाइश का दिन) मानने का कोई तसव्वुर होता, तो हुज़ूर पूरनूर ﷺ के यौम-ए-पैदाइश से ज़्यादा कोई दिन इस बात का मुस्तहिक (क़ाबिल) नही था|

की उसको मनाया जाए, और उसको ‘ईद’ क़रार दिया जाए| लेकिन नबुव्वत के बाद आप तेईस (23) साल इस दुनिया में रहे| और हर साल ‘रबीूल अव्वल’ का महीने आता था|

लेकिन ना सिर्फ़ यह की आप ने ‘12 रबी-उल-अव्वल’ को यौम-ए-पैदाइश नही मनाया बल्कि आपके किसी साहबी के ख़याल में भी यह नही गुज़रा|

चूँकि ‘रबी-उल-अव्वल’ आपकी पैदाइश का भी दिन है, इसलिए इसको क्या किसी खास तरीक़े से मानना चाहिए?

12 रबीूल अव्वल और सहांबा-ए-इकराम

इसके बाद हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ इस दुनिया से तशरीफ़ ले गये|

और तक़रीबन एक लाख पचीस हज़ार (1,25,000) साहब-ए-इकराम इस दुनिया में छोड़ गये| साहब-ए-किराम ऐसे थे की, हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ के एक सांस के बदले अपनी पूरी जान क़ुर्बान करने के लिए तय्यार|

आपके जान-निसार (जान देने वेल), आप पर फिदा-कार, आपके आशिक़ थे| लेकिन कोई एक साहबी ऐसा नही मिलेगा जिसने एहतिमाम करके यह दिन मनाया हो|

या इस दिन कोई जलसा मुन’अक़िद किया हो| या कोई जुलूस निकाला हो, या कोई चिराग़ा किया हो, या कोई झंडियाँ सजाई हों| सहाबा-ए-किराम ने ऐसा क्यों नही किया? इसलिए की इस्लाम कोई रस्म-ओ-रिवाज़ का दीं नही है|

जैसा की दूसरे मज़हब वाले हैं, की उनके यहा चाँद (कुच्छ) रस्मो को अदा करने का नाम दीं है|. जब वो लोग ये रस्में अदा करलें तो बस फिर छुट्टी हो गयी, बल्कि इस्लाम अमल का दीन है|

और हम मुसलमानो पर ये फ़र्ज़ है की पैदा होने से मरते दम तक हर इंसान अपनी इस्लाह की फ़िक्र में लगा रहे| और हुज़ूर नबी-ए-करीम मुहम्मद ﷺ की सुन्नत की इत्तीबा (इता’अत) में लगा रहे|

शुरू में यहाँ भी यही हुआ की मिलाद हुआ जिसके हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ की सीरत का बयान हुआ| नात पढ़ी गयी| लेकिन अब देखलें की बात कहा तक पहुँच गयी है|

‘12 रबी उल अव्वल’ को मिलाद का सिलसिला शुरू हुआ था. जो की अब फिटने और फ़साद और घैर शरा’ई रस्म रिवाज़ में तब्दील हो चुका है. नबी-ए-करीम  ﷺ के यौम-ए-विलादत के दिन जश्न मानना, जुलूस निकालना|

और गानों का बजना वो भी रीमिक्स में बजना| यह तरीक़ा तो इस्लाम का नही है| हाँ गुनाह का मुजीब (क़ुबूलियत) ज़रूर है| नबी-ए-करीम ﷺ से मोहब्बत ज़ाहिर करने के लिए हूमें यह फितने करने की तो क़तई (बिल्कुल) ज़रूरत नही है|

नबी-ए-करीम ﷺ की एक खास हिदायत जिसमे आपके आला मर्तबे का ज़िक्र है

अल्लाह के हबीब ﷺ ने फरमाया:

“जिसने मेरी इता’अत की, उसने अल्लाह की इता’अत की| और जिसने मेरी नाफ़रमनी की उसने अल्लाह की नाफ़रमनी की|”

[सहीह: बुखारी हदीस #7137]

अल्लाह को राज़ी करने का रास्ता बहोत आसान है| की हम उसके नबी की इत्तिबा (इता’अत) करें|

उनकी छोटी-छोटी सुन्नतों को अपने रोज़मर्रा के ज़िंदगी में लायें| इससे हुमारी दुनिया और आख़िरत दोनो बेहतर होगी. आप हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ के बताए रास्ते पर छलके खुद को अल्लाह के नाराज़गी से बचलें|

लेकिन लोगो ने तो नबी-ए-करीम  ﷺ के यौं-ए-विलादत को जश्न और यौम-ए-पैदाइश को फितने और गुनाह में तब्दील कर दिया है|

यह तरीक़ा ‘ग़ैर इस्लामी’ है|

मिलाद-उन-नबी की शुरुआत कब हुई?

अल्लाह त’आला इंसानी नफ्सीयत और उसकी कमज़ोरियों से वाक़िफ़ है| अल्लाह ता’आला यह जानते थे की अगर उसको ज़रा सी शोशा (छूट) दी गयी| तो कहाँ से कहाँ बात पहुँचेगी| इसलिए किसी दिन के मानने का कोई तसव्वुर नही रखा|

जिस तरह ‘क्रिस्मस’ के साथ हुया, उसी तरह यहा भी हुआ की किसी बादशाह के दिल में ख़याल आ गया|

की जब ईसाई लोग हज़रत ’ईसा ’अलायहिस सलाम का यौम-ए-पैदाइश मानते हैं| तो हम हुज़ूर नबी-ए-करीम ﷺ का यौं-ए-पैदाइश क्यों ना मनायें?

यहीं से शुरू होता है शैतानी फितना|

यह कह कर उस बादशाह ने मिलाद का सिलसिला शुरू कर दिया|

और ऐसा करने से गुनाह के इलावा कुछ हासिल ना होगा| हम नबी-ए-करीम मुहम्मद ﷺ की उम्मत हैं| और अगर हमें उनसे मोहब्बत है| तो हम उनके रास्ते पे चलकर नेकी कमाएँगे|

हमें एक दिन के जश्न करने की जो गुमराही है और गुनाह है| इसकी ज़रूरत नही है| हाँ हम अपनी आखरी सांसो तक अपने नबी-ए-पाक ﷺ के नाक़स-ए-क़दम पर चलने की पूरी कोशिश करेंगे|

हम उनकी तमाम सुन्नतों की पैरवी (फॉलो) करेंगे जिससे के अल्लाह हुंसे राज़ी हो जाए| और अगर ह्यूम अपने नबी सरकार मुस्तफ़ा ﷺ से मोहब्बत है| तो हम नमाज़ क़ायम करेंगे|

ग़रीबों की मदद करेंगे|

आपके तमाम नेक अमाल को अपनी ज़िंदगी में लाने की कोशिश करेंगे| अल्लाह हमें हिदायत दे और ऐसे गुनाहो से गुमराही से बचाए| जो रोज़-ए-हश्र अल्लाह की नाराज़गी का सबब बनेगी|

आमीन अल्लाहुम्मा आमीन|

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

6 Comments

  1. Aslaamualaikum brother, I have been trying to contact you on various occasions on Facebook with no luck. Do you have a number I can contact u via WhatsApp?

  2. imran bhai ma bhtt pareshan hn rishta psnd krgay tha mra larka ,mjja bht psnd hy mgr jawab ni ara unki trf sy larka UAE hota 2 bar a chuka hmara ghr larka khud b aya plz mjha btayn kia krn

  3. Apsy ijazat chahe ya wahabud ky wazify k. Or ek bat bhi pochni hai ky wazify ki ijazat lye bagir nai kr sakty hai??

    1. Sis aap follower hain to kisi bhi jaiz maqsad ke liye wazaif kar sakti hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *